part 24 [WELCOME ME O SABANCI]

5.9K 61 45
                                    

[DISCLAIMER:This story is a translation of well known work called Heaven's leaves written by Nimra Ahmed . I did not own this story I am just translating this urdu novel to roman english.]

Welcome me O Sabanci (khush aamdeed kaho, O Sabanci!)


"Bhai to chale gaye thay mujhe drop kar ke, main aapke sail se unko call kar loon ke wo mujhe pick kar lein? Depot Metal Inclyo se nikalte hue Khadijah ne pareshani zaahir ki to usne muskuratay hue sir jhatka."


"No problem, main aapko drop kar doongi Khadijah. Aap mujhe DJ aur tum keh sakti hain."

"Shiver." Usne parking mein khadi gaadi ka lock khola. Mujhe Jinnah Super tak jana tha. Yun na karein ke kuch shopping kar lein? Aap ne kuch to lena hoga Khadijah? Uski taakid ke bawajood bhi woh takalluf khatam na kar saki. Sweater to lena hai wahan bahut sardi hogi."

Phir wahi chalte hain.

"Saino Shor ke bil-muqabil Chubutra khali tha magar din ke waqt woh itna veeran nahi lag raha tha, jitna pichli raat lagaa tha. Aur woh awaaz... woh sir jhat kar aage barh gayi."

"Oh, Needle Impressions par sale lagi hai. Chalein, kuch dekh lete hain." Woh kafi dino se soch rahi thi ke yahan se koi acha shirt piece laye aur aaj to sale bhi lagi thi. Woh aur Khadijah aage peechey shehzay ka darwaza dhakel kar andar dakhil hui.

Shop ke andar wahi makhsoos mahol tha heater ki garmi aur bahar ki thandi ka mela jula asar. Zar-d-spot lights se chamakti chhat aur har taraf show cases par phelay kadhayi wale kapray.

Woh mahwsi stand pe lage numayne dekhti aahista aahista qadam barha rahi thi. Samne work table tha jis ke peechay khada mustaid sales man use dekh kar foran mutawajjah hua tha.

"Jee mem"

"Yeh pink wala dikhain, jis par white embroidery hai." Usne ungli se peechay roll kaise huye thaand ki taraf daishaara kiya. Salesman ne gardan pher kar dekha.

"Mem! Yeh maine samne rakha hai, yeh samne hi pada hai." Woh us se chand foot baayein janib ishaara kar raha tha jahan ek family khadi us kapray ka maiyanah kar rahi thi.

"Oh, thanks." Woh chand qadam chal kar baayein janib aayi, jahan meez par woh khubsurat kadhai wala shirt ka front phaila hua tha.

Haya ke bilkul baayein janib ek nojawan sir jhukaye kapray ko haath se masal kar chek kar raha tha. Us ke saath ek nafees, maamarsa kisi aurat aur ek kam umar oonchi poni tail wali larki khadi thi.

"Mein yeh pink wala le leti hoon, Thaniya Baby ka compilation fancy hai, us par suit kare ga, kyun bhai?" Woh ab nojawan ki raaye mang rahi thi. Haya chahati hue bhi unki taraf mutawajjah hui. Usay bas yahi jaldi thi ke kab woh nojawan us kapray ko chhode aur woh usay dekh paaye. Us waqt bhi gulabi shirt ka kapra us khush ke haath mein tha. Us ne usay haath mein yun pakda hua tha ke us ki hatheli wali taraf oopar thi. Haya us ke haath mein pakre kapray ko dekh rahi thi, dafatan us ki nigahain kapray se us shakhs ki kilay par phailti gayin. Woh buri tarah chonki. Us ki kilay par kaantay ka surk gulabi nishaan tha, jaise jhala ho... ya... koi birthmark...

Woh us ke saath hi khada tha. Gulabi kapray ko haath mein masal kar chek karta hua woh mukammal tor par apni family ki taraf mutawajjah tha. Woh yahan se us ka naim rukh hi dekh sakti thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now