part 29

809 27 10
                                    

"Ghaas pe nahin chalna...

Aur mulaqat ke waqt Turk khandaan ke baray ka haath chumna hai.

Is ki zaroorat nahin thi. Is takalluf ko rehnay do. Inn dono ne ghar ke daakhilii darwaaze ke baahar bachay hue meet par joote utaare to andar se aati woh moshfiq aur mamur khatoon piyaar bhari khafgi se boli thi. Pehle din koi

Asool nahin hote, salaam aleikum aur Turki mein khush aamdeed.

Aap ke asoolon ki pasdari mein hamare liye fakhr hai. Haya muskuratay hue ab ka haath thaama aur sar jhuka kar

In ka haath ki pishak ko labon se lagaya.

Mamur khatoon, Miss Abdullah ka chehra khushi se damak utha. Andar aajao. Woh raasta dene ke liye ek taraf hattin. Inn ki surkh baalon wali beti aage badi aur carpet shoes Haya aur DJ ke qadmon mein rakhe. Woh reshmi kapron se bane coat shoes ki shakal ke joote thay. Dono ne jhuk kar woh joote pehne aur andar daakhil hui.

Is Turk ghar ka farsh lakri ka bana tha. Lounge room ke farsh pe bohat khubsurat qaleen bichay hue thay. Woh bath room haath dhone aayi to dekha, wahan alag tootni waghera nahin thi. Balkay ek taraf qataar mein nal lagay hue thay. Albatta, bath room

Ke farsh par bhi ragz aur couch bichay hue thay, herat angaiz!

Woh waapas aayi to dining hall mein khana lagaya ja raha tha. DJ jhuk kar piyar se Miss Abdullah ki nawasi arwah se kuch keh rahi thi. Woh teen khawatin aur mushkil mamool chhota sa kanbah tha aur chunkay woh dono larkiyan thi, so hale ne aise Turk khandaan ka chunao kiya tha, jis mein koi mard nah ho. Isi pal Miss Abdullah soap ka bara sa piyala uthaaye aayin. Balle

Mustaidi se un ki help karwa rahi thi.

Tum kya keh thi, tumhara koi rishtedaar bhi hai idhar? Unho ne soap ka piyala meez par rakha. Haya ne ek nazar us mughboobe ko dekha.

Ji... meri phupho hain idhar. Woh soap kar dazdeeda nigahon se dekhte hue boli.

Kiddhar rehti hain?

Idhar! Usne purs se murta tara kaaghaz nikal kar hallay ko thamaya. Balle ne ek nazar us kaaghaz ko dekha aur phir asbaat

Mein sar hila diya. Kal mein milwa doongi tumhein un se, khana shuru karo. Usne kaaghaz waapas Haya ki taraf barha diya.

DJ! Hum waqai Turkey mein bhookon marenge. Is mughboobe ki shakal dekho, mujhe to phir se matli ho rahi hai. Haya jabr muskuratay hue hole se Urdu mein boli. Miss Abdullah ne na samjhi se usay dekha. Yeh keh rahi hai ke in khawatin ka khuloos usay sharminda kar raha hai. DJ ne jaldi se tarjumani karte hue

Meiz ke neeche se us ka pair zor se kheencha.

Oh shukriya. Miss Abdullah muskura kar khana pesh karne lagi.

Soap darasal masoor ki daal ka shorba tha awar do jaise Turk mein usay chor ba kehtay thay. Woh zaiqay mein shakal se barh

Kar bad maza tha. Chand lamha baad hi dono Pakistani exchange students ki bardaasht jawab dene lagi.

Haya mujhe ulti aane wali hai.

Aur mein marnay ke qareeb hoon.

Woh badqat chehron par muskurahat sajaaye chamcha bhar rahi thi. Turk khawateen bohat marghoobiyat se soap pee rahi

Thi.

Chor ba khatam hua to khana aaya. Woh is se bhi barh kar bad maza tha. Ek chawalon ka pulao tha. Pulao shakal mein uble chawalon

Se mukhtalif nah tha. Saath chane ka salan aur murghi ki gravy thi jo ke Manchurian ki tarah dikhti thi.

Woh dhaai din ki bhooki thi aur upar se yeh bad maza khane mazeed halat kharab kar rahe thay. Wohi Turk khawateen hi

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now