part 30

758 22 1
                                    

Zara sa paoon phelay aur aap ki tang is gayab mein se neeche phail jaye. Woh teenon girte.**

**Pari bimushkil haya ka samaan oopar laayein.**

**Kamra to acha hai, hum yahan rahen ge? Haya ne haath ki thayi chabi se apni dormitory ka darwaza dhakela to beikhtiyar labon se nikla.**

**Hum nahi, sirf tum, kyunkeh Khadija ka block B2 hai. Woh jo samne hai. Usne ungli se door barfelay maidan mein bani imarat ki janib ishara kiya.**

**Kya matlab, main udhar akeli? Woh dang reh gayi.**

**Bad mein room badalwa sakti ho dorm officer se kah kar. Abhi tum araam karo. Har kamre mein char students hote hain. Har student ki telephone extension uski mez par hoti hai. Aaj kal chhutiyan hain, aksar talebilm apne ghar gaye huye hain. Tumhara kamra khali hai magar tum jakar apne bed par hi so na, terk ladkiyon ke bistar par koi so jaye to woh bohot bar aamanat hain. Koi masla ho to mere adroom block B4 mein hai, okay? Woh muskurakar boli to Haya ne sar hila diya.**

**DJ ne bechargi se use dekha aur haath ke sath seedhiyan utarne lagi.**

**Hale! Suno, is building ke peechay kya hai? Kisi khayal ke tahet usne poocha. Hale muskurakar palat kar boli jungle phir woh dono zeene utar gayi.**

**Haya ek jhur jhuri le kar palat kar andar kamre mein qadam rakha.**

**Kamra khoobsurati se arasta tha. Har deewar ke sath ek ek double story bunk rakha tha. Aam tor par aise bunks mein neeche ek bed aur upar bhi bed hota hai lekin is mein neeche badi si writing table pari thi. Iske sath hi lakdi ki seedhi upar jati thi, jahan ek araamday bed tha. Mez pe ek telephone rakha tha. Woh charon bunks ko dekhti apne naam ki mez ki kursi kheench kar nidal si baith gayi.**

**Woh ek thaka dene wala din sabit ho raha tha, magar abhi woh thaknay ke bajaye ajeeb si udaasi mein garmi thi.**

**Ghair mulk, ghair khitay, ghair jaga aur tanha kamra. Jis ke peechay jungle tha. Usay janay kyun bechaini hone lagi. Woh fresh hone ke liye uthi aur darwaze ki taraf barhi, taake bahar kahin bath room dhoondhe, abhi usne darwaza khol dya tha ke do kamre chor kar ek kamre ka darwaza khula aur usmein se ek ladka bag uthaye nikla. Usne jaldi se darwaza band kiya aur phir mukhalf kar diya. Girls hostel mein ladka? Agar Pakistan mein hoti to yakeenan yehi sochti. Magar yeh baat to sponge ke perspectives mein parh chuki thi ke woh mixed hostel tha. Albata ek kamre ke ander sirf ek hi sanf ke afraad reh sakte the.**

**Woh bad dil si ho kar wapas kar si baithe.**

**Samne wali deewar par ek safaid aur siyah tasveer awaazan thi, pencil se banaya gaya woh khaka ek kulhadi ka tha, jis ke fal se khoon ki boondain gir rahi thin.**

**Khaka be rang tha, magar khoon ke qatro ko shokh surk rang se banaya gaya tha.**

**Usne jhur jhuri le kar dosri deewar ko dekha.**

**Wahan ek ladki ke chehre ka be rang pencil se bana khaka laga hua tha, woh takleef ki shadeed se aankhein miche huye thi uski gardan par chhuri chal rahi thi aur us se bhar ke surkh khoon ke qatre tipak rahe the.**

**Woh muztarib si uth khari hui. Us tasveer wali deewar ke sath lage bung ki mez pe bahut se chaku aur chhurian qatar mein rakhe the. Har size har qism aur har dhaar ka chaku. Jin ke lohe ke fal madham roshni mein chamak rahe the.**

**Woh ek dam bohot khaufzada ho kar bahar nikli.**

**Corridor mein bohot andhera tha. Door neeche barf se dhake maidan dikhayi de rahe the. Woh tezi se seedhiyon ki taraf bharri, jaise hi usne pehle zeene par qadam rakha upar balkoni mein laga bulb ek dam jal utha.**

**Woh thhat kar ruki aur gardan ghoomai. Corridor khali tha wahan koi nahi tha. Phir bulb kiss ne jalaya?**

**Uski gardan ki pichhe ke baal khare hone lage. Dhadakte dil ke sath woh plate aur zeene utarne lagi. Tab hi ek dam thak ki awaaz ke sath upar koi darwaza band hua. Usne pathar ban jaane ke khauf se pichhe mur kar nahi dekha aur tezi se seedhiyan phalangti chali gayi.**

**Aakhri zeene se utar kar usne jaise hi barf zaar par qadam rakha upar balcony mein jalte bulb ka pata jhuka.**

**Bahar zor o shor se barf giri thi. Taaza pari barf se us ke qadam phisalne lage the. Safed safed galay us ke baalon aur jacket pe aatheray the. Woh girte phirte DJ ke block ki taraf bhadh rahi thi. Usay pehli dafa apni mangi gayi kisi dua pe pachhtawa hua tha. Kash! Aaj yeh barf na parti.**

"Beeto ki dosri manzil ki balcony mein dam lene koor ki. Usay manzil yaad thi magar kamray ka number bhool chuka tha.

Usne honton ke garr raha thon ka piyala bana kar zor se awaaz di.

'Dee hai. Tum kahan ho?'

'Dee hai.'

'Dee Jay......'

Aik darwaza jhat se khula aur kisi ne haath se pakar kar usay andar rakhein khincha.

Agar tum do minute mazeed taakhir kar tein toh main mar chuki hoti. Haya Dee Jay bhi us ki tarah tanha aur khofzada lag rahi thi.

Magar is kamray mein aakar Haya ka saara khof uran chho ho chuka tha.

'Drummet, tumharay liye hi toh aayi hoon. Mujhe pata tha, tum akeli dar hi hogi, warna mera kya hai main toh kahin bhi reh leti hoon.' Woh la parwahi se shanay achka kar boli, phir be ikhtiyar jamaayi roki. Khof khatam ho toh neend taari hone lagi.

Magar Dee Jay! Main so jaaungi kidhar?

In teen khali bed zepar kante bichay huay hain kya?

Magar Hale ne kaha tha ke Turk ladkiyaan........

Fayal hal yahan na Hale Noor hai, na hi Turk ladkiyaan.

Magar Allah toh dekh raha hai! Ghair mulk mein is ka soya huwa khof Khuda jaag utha tha.

Aur mujhe umeed hai ke Allah Taala Hale Noor ko pata nahi lagne de ga. Ab bistar mein ghoso aur so jao. Khuda jaane mujhe kis pagal kutte ne kata tha, jo ter ki aagayi. Agay jheel, peechay jungle, itni wehshat....

Dee Jay kambal mein late barabar barabar rahi thi. Neend se toh woh bhi be haal hone lagi thi.

Sodi Jay ke qareebi bank ki seirhiyan phelang kar upar kambal mein late gayi.

Woh kachi neend mein thi jab Dee Jay ne use pukara.

'Ho? Us ki palken itni bhujal thi ke unhein khol nahi pa rahi thi.

Samne walay kamray bade handsum ladke rehte hain, main ne unhein kamray mein jate dekha hai.

Acha..... Is ka zehan ghonudgi mein doob raha tha. Aur suno, woh pulao itna bura bhi nahi tha, hamein safar ki thakawat se wajah bar alag, aur suno.........

Magar Dee Jay ke baat mukamal hone se qabal hi woh so chuki thi.

Darwaze par madham si dastak hui toh woh surat se kursi se uthi. Ek nazar soti Dee Jay pe dali, doosri apne zere istemal bank pe jo do baar se bana suit aur shekan ke banaya gaya tha aur jis pe Turk ladkiyon ke aitmad ke khoon kaise jane ki koi nishani baqi nahi thi..... aur darwaza khol diya.

Salaam Alaikum exchange students! Hale Noor hashash bhashash si muskurati hui khadi thi. Woh yun thi goya dhalay hui chaandni. Siyah scarf chehre ke gird lapete, halki sabz lambi jacket tale safed jeans pehne, shanay peh bag aur haath mein chabiyo ka gucha pakde woh puri tayyari ke saath ai thi.

W Alaikum Assalam, ao Hale!

Main tumhare droom mein gayi thi lekin tum wahan nahi thein. Main ne andaza kiya ke tum yahin hogi. Hale ne apna bag miz pe rakh kar kursi kheench kar nafasat se bethi.

Haan main Ali Subah hi idhar aa gayi thi. Dee Jay ki yaad aa rahi thi.

Khadija Sohail hai? Hale ne gardan unchi kar ke upar dekha, jahan Dee Jay do mote kambal khud pe daale sohail thi.

Haan aur shayad der tak sooti rahi thi.

Oh..... Main ne socha tha ke tumhare phone register karwaane chalein aaj. Turkey mein ghair mulki phone par Turk sim card ek hafte ke baad block ho jaata hai.

Haan bilkul, tum log jao aur mere phone bhi le jao, main do ghante mazeed soungi.

Kambalon ke andar se awaaz aayi toh Hale muskuradi, muskurati hui us ki chamakti surmai aankhein chhoti ho gayi thi.

Chalo Haya! Hum dono chalte hain.

Woh dono saath saath khadi ho gayi thi. Haya subah apne kamray mein ja kar fresh hokar ai thi. Abhi woh siyah churri..."

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now