part 31

674 24 4
                                    

Dar pa jaye aur takhno tak aati siyah lambi qameez mein malbus thi. Shefon ka dupatta gardan ke gird mufllar ki tarah peyte, wai thi jis ke button samne se khule the. Aur oopar lamba siyah sweater pehne hue.

Kuch din mere khush qismat din hote hain, jab mere paas kaar hoti hai aur kuch din bad qismat din jab mere paas kaar nahein hoti. Aur aaj mera aakhri qismat din hai. Hale ne uthate hue bataya. Abhi hum qareebi dukaanon mein jayenge, agar wahan se phone register na huye toh jawahar chalen ge, us ke baad wahan se Jahangir.

Jawahar?? Haiyyane abru uthai, Jahangir ko us ne kisi tareekh ka naam samajh kar nazar andaz kar diya.

Jawahar shopping mall hai. Europe ka sab se bara aur duniya ka chhata bara shopping mall!

Oh accha jaise Pak Tours... Upar kambalon se awaz aayi.

Pak Tours? Hale ne gardan utha kar Khadija ke kambalon ko dekha.

Hamara Pak Tours, Asia ke sab se bade shopping mall mein shumar hota hai. Woh ghunoda awaz mein boli.

Nice! Hale sataish se muskurakar bahar nikal gayi.

Haya ne us ke jane ki tasalli kar li, phir lipak kar peechay aayi aur seedhi par chadh kar DJ ka kambal kheecha.

Yeh Pak Tours Asia ka sab se bara mall kab se ho gaya?

Us ne kaun sa ja kar check kar lena hai. Thoda show marnay mein kya haraj hai?

DJ ghardap se kambal mein ghus gayi.

............Iffa Noor・・・・........

Hale drive karte hue martabaan bar maazrat kar rahi thi. Phone register nahein ho sakte the. Avea ki dukaan pehle to mili nahein, doosri mobile companies ki dukaanain hi har jagah theen. Youn jaise aap ko Zong ki dukaan ki talash ho aur har taraf Ufone ki dukaanain hon. Bemushkil ek dukaan mili toh us ka manager shop band kar ke jaa raha tha.

Lakh mantoon par bhi us ne dukaan nahein kholi aur chala gaya. Ab Hale musalsal sharmindagi ka izhaar kar rahi thi.

Bas karo wale! Baad mein ho jaye ga, ab mujhe sharminda mat karo. Khair, tumhara doosra kaam toh karo, Jahangir chalte hain.

Hale ne gehri saans andar khinchi. Gaari sarak par rawan dawan thi aur khidki ke bahar har so baraf dikhayi de rahi thi.

Tum dress dikhao, hum pohanchne wale hain.

Kudhar? Haya ne nasamajhi se drive karti Hale ko dekha.

Jahangir aur kudhar?

Wahan kya hai?

Tumhari auntie ka ghar, kal kaha tha ke tumhein le jaaun gi, subah bataya bhi tha, bhool gayi?

Tum... mujhe idhar le kar jaa rahi ho? Woh haka baka reh gayi.

Haan na... ab address batao, street number to mujhe yaad raha tha, aage batao.

Oh Hale! Us ne harda bara kar purse se tircha mur asa kaaghaz nikala... Us ne kaaghaz par dekha, wahan ilaqe ka naam Cihangir likha tha, woh usay Sahangir padhti thi, ab usay yaad aaya ke turkon ka si, jem ki awaaz se padha jata ma tha. Zara achhe tha. Agar usay zara sa bhi andaaza hota ke idhar jana hai to woh tahaafein hi utha leti jo aman ne bheje.

Kapre hi pehn leti, thoda sa makeup hi kar leti.

Lo, yeh toh samne hi tha. Ab tum jao, mujhe idhar thoda kaam hai, mera number tumne phone mein feed kar liya hai na? Jab farigh hona toh mujhe call kar lena. Main aaongi, ghanta toh mujhe lag hi jaye ga, phir khana saath khaaien ge.

Gaari ruk chuki thi. Haya ne be tawajohi se kaski hidayat suni aur darwaza khol kar neeche utri.

Us ke darwaze band karte hi Hale gaari zan se bhaga le gayi.

Woh ek khoobsurat chhota sa bangla tha. Bahar ki chaar deewari ki bajaye safed rang ki lakdi ki baarh lagi thi. Gate bhi lakdi ki baarh ka bana tha. Gate ke peechay chhota sa bagicha tha aur us ke aage woh bangla.

Banglay ki gulabi chhat makhroti thi. Daakhilki safed darwaza zara ooncha tha us tak chadhne ke liye do steps bane the. Steps ke dono atraf khush rang phoolon wale gamlay rakhe the. To yeh thi woh chhoti si jannat, jis mein woh rehta tha, aur jis se bahar nikalne ka us ne kabhi nahi socha tha.

Woh gate ko dhakel kar, pathron ki rosh par chalti un steps tak aayi, oonchay safed darwaze par sunehri rang ki takhti lagi thi.

Sikandar Shah

Woh turk hujoon mein likha naam us ke phupha ka hi tha. Ghanti ki talash mein us ne idhar udhar nigah daudayi. Is ghar mein bohot si lakdi ki khidkiyan bani thi aur shayad koi khidki khuli bhi thi, jis se musalsal ek thak thak ki awaz arahi thi jaise koi hathore ya kulhaare ko lakdi par zor se maar raha ho. Us ne kapkapi anguthi ghanti par rakhi aur sunehri dor nabe ke chamakte dhaat mein apna tasweer dekha.

Ka jal se labrez bari bari siyah aankhein, dono shaanon par phisl kar neeche girte lambe baal aur sardi se surkh padti naak. Woh siyah libas mein cheeni ki moorat lag rahi thi, gabrayi hui pareshan ki moorat.

Us ne ghanti se ungli hatai to theek theek ki awaz band ho gayi.

Chand lamhe baad lakdi ke farsh pe qadmon ki chaap sunayi di. Koi anjaani zaban mein bar bara ta darwaza kholne araha tha.

Woh lab kaat te hue kisi mujrim ki tarah sar jhukaaye khadi thi, jab darwaza khula. Chokhat par bichhay dor meet pe usay

darwaza kholne wale ke paon dikhayi diye. Us ki nighahein dheere se oopar uthati gayin.

Blue jeans aur oopar grey sweater mein malbus, woh ek haath mein hathori pakde khadi tha. Sweater ki aastiniyon us ne

kohnion tak mod rakhi thi aur us ke kasharti baaz o jhalak rahe the.

Haya ne dheere se chehra utha kar usay dekha. Us ka saans lamhe bhar ko sakht hua tha. Woh waisa hi tha jaise apne bachpan

ki tasveer mein lagata tha. Wohi bhoore ma'il baal jo bohat stylish andaaz mein mathay par girte the. Par kashish

aankhein, uthi maghroor naak, sunehri rangat ke teekhe naqoosh, woh mathay pe teyoori liye aankhein skeed rahe

tha.

Sun kamseen? Us ne turk mein kuch poocha to woh chonki.

S...Sabina Sikandar... Sabina Sikandar ka ghar yehi hai?

Ji yehi hai. Woh angrezi mein bata kar sawaliya jaanchti nigaahon se us ka chehra dekhne laga.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Donde viven las historias. Descúbrelo ahora