part 32

638 19 1
                                    

Usay lagawa Bosporus ke bal pe hatheliyan phelaye khadi hai, aur neelay paniyon ko cho kar aati hui us ke bal peechay ko

arhi hai. Woh kisi gehre khawab ke zair asar thi. Haseen khawab ke. Urra

mein un ki mehman hoon. Pakistan se aayi hoon. Woh atak atak kar bol rahi thi. Us ke samne us ki sari khud etimadi ho gayi thi. Ek dam khud ko bohat kamzor mehsoos karne lagi thi. Kaisi mehman? Us ka andaz akhara akhara sa tha, jaise woh kisi zaroori kaam mein masroof tha jis mein haya makhloq hui thi.

Mein haya hoon... Haya Suleiman... Us ne pur umeed nigahon se Jahan Sikandar ka chehra dekha. Keh abhi us ka naam sun kar us ki purkashish ankhon mein shanaakht ki koi raqm...

Kon Haya Suleiman???

Us ke qadmon tale Bosporus ka pul shaq hua tha. Woh be dam si neechay gehre paniyon mein jagri thi.

"Kon Haya Suleiman??? Be awaz dehrate hue woh sun si hui usay tak rehi thi. Us ki palkein jhapakna bhool gayi

thi. Us shakhs ke chehre par zamane bhar ki bezari aur ajnabiyaat thi. Pehchanne ya na pehchanne ka to sawal hi na tha.

Jihan Sikandar to us se waqif hi na tha.

Kon, madaam??? Us ne qadre ikta kar dehraya.

Haya ne khafif sa sar jhataka phir lab bheench liye.

Mein seen phupho se milne aayi hoon. Un ke bhai Suleiman ki beti hoon. Woh jaanti hain mujhe."

Ao ke andar aa jao" woh shane achka kar waapas palat gaya.

Woh jhijhak kar oopar zeenay pe charhi paaydaan ko dekh kar kuch yaad aaya to foran pair jooton se nikale aur lakri ka farsh par

qadam rakha.

Farsh be had sar tha. Door raahdari ke us paar jahan us ne Jahan ko jaate dekha tha wahan se hothoray ki theek

thak phir se shuru ho chuki thi. Woh raahdari uboor kar ke kitchen ke darwaze mein aakri hui. Amrici tarz ka

kitchen nafasat se aaraasta tha. Aeen wasat gol mez ke gardchar kursiyon ka phool bana tha. Ek janib counter ke sath

woh Haya ki jaanib pesh baitha kaisay khada tha us ke haath mein hathori thi. Jis se woh upar cabinet ke khule darwaze ke

jor par zor zor se zarbein laga raha tha. Woh chand lamhaun ke shash o panch ke baad dheetaan ban kar aage aayi. Aur qadre

awaz ke saath kursi khenchi. Woh be ikhtiyar chonk kar palta. Drawing room... Khair! Woh nagawari se lab bheench kar waapas cabinet ki taraf mur gaya. Us ne ek haath se

cabinet ke darwaze ke jor par kisi shay ko pakar rakha tha. Aur doosre haath se hathori maar raha tha. Haya Suleiman ne

zindagi mein kabhi itni tazleel mehsoos nahi ki thi.

Mam... Mam... Chand lamhe guzre to woh isi tarah apne kaam ki taraf mutawajjah, chehre pe dheeron sanjeedgi

liye pukaarein lagti.

Woh ungliyan marorhti tang par tang rakhe sir jhukaaye bethi thi.

Dafa'tan chaukhat pe aahat hui to sar uthaaya.

Ra-ba-dari se bartan haath mein liye subeen phupho usi pal kitchen mein dakhil hui thi.

Kandhon tak aate baab kat baal aur khule lambe iskirt ke upar surmai sweater pehne woh kuch bolti aarahi thi.

Usey baitha dekha kar thik kar rukain.

Haya... Mera bacha... Tum kab aayi?

Bar counter pe takriban gira ke woh walhanha andaz mein us ki taraf lipki. Woh jo Jahan ke sard mehar rawai pe bad dil ki

bethi thi gur bara kar uthi bohat garam josh se usay galey laga kar us ki peshani chumi. Phir be had mohabbat o apnaiyat

bhari tum ankhon se muskra kar us ka chehra dekha. Fatima ne bataya tha ke tum kuch roz tak aao gi milne. Mein soch rahi

thi ke tum thakan utar lo gi to mein khud hi tum se milne aaon gi. Kaisi ho tum?? Kitni pyari hogayi ho.

Woh ab us ke saath wali kursi pe bethi mohabbat se us ka haath thaame keh rahi thi.

Mein theek hoon phupho. Aap kaisi hain??

Woh badqat muskurati unhi ki tarah angrezi mein guftagu kar rahi thi. Tum kitni badi hogayi ho.

Aankhein to bilkul Suleiman bhai jaisi hain. Log kehte hain meri aankhein meri aman se milti hain phupho! Woh halka sa

jata gayi bhai mujhe to tum mere bhai ka hi aks lagti ho aur sab kaise hain??

Woh ek ek ka haal poochti gain. Woh sab ki khairiyat bata kar kehne lagi.

Aap dawar bhai ki shadi mein nahi aayi?? Dawar bhi kitna bada ho gaya hai ke mashallah shadi bhi ho gayi. Kaisi rahi

shadi?? Mein ne video dekhi thi tumhari.Us ne chonk kar unhein dekha.

Kon si video?? Us ka saans rukne laga. Ek dam hi kamre mein bohot ghatna ho gayi thi.

Woh jo Dawar ke waleema par stage par banayi gayi thi.

Tum ne red frock pehan rakhi thi. Mein ne Rohail ke Facebook par dekhi thi.

Rohail se contact hain aap ka??

Us ki ruki saans ek khushgawar hairat ke saath behaal hui. "Aur aap Facebook use karti hain??

Woh in dono ki janib peesh kaise cabinet ke darwaze pe usi tarah zor mein lagarahatha.

Haan bas Rohail ki albums dekhne ke liye karti hoon. Tum istemaal karti ho Facebook???

Nahi. Pehle karti thi phir chhod diya. Mujhe yeh social networks pasand nahi hain. Har shakhs aap ki zindagi mein

jhaank raha hota hai. Insaan ki koi privacy hi nahi rehti.

Hoon... Oh Haya tum Jahan se mili??

Ek dam khayal aane par unhone gardan phair kar apne bete ko dekha. Jo chehre par dheeron sakhti liye apne kaam ki

taraf mutawajjah tha.

Jahan tum Haya se mili ho?? Yeh Suleiman bhai ki beti hai. Rohail ki behan aur tumhari first cousin.

Hoon, mil chuka hoon... Woh ab jhuk kar draz se keel nikaal raha tha.

Yeh rishtadariyan ya darrakhne ke maamle mein bohot poori hain. Waise koshish to karta hai aur usay rishtey yaad bhi rehte

hain.

Darasal phupho insaan ko rishtey tab yaad rehte hain jab us ke maan baap usay rishtey yaad dilayein. Bachon ka kya qasoor?

Sara qasoor waliden ka hota hai. Agar waliden hi kabhi aulaad ko rishtey daron se na milayein to ilzam kis ke sir rakha

jaaye??

Seen phupho ka jo shor kharosh se chamakta chehra fade par gaya. Magar woh isi tarah talkhi se keh rahi thi. Jahan ab bhi kaam

mein masroof tha.

Masla, ab aap log hain. Aap kayi dahaiyon se idhar muqeem hain. Aur shayad aap ka wapas aane aur apne khooni rishton

se milne ka dil hi nahi chahata. To hai na yeh un fitrat. Nahin??

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now