part 37

609 20 1
                                    

Wapas baita to haya apni kalai sehla rahi thi. Tumhein chot aayi hai. Dikhao, zyada jal to nahi gaya. Usne haath badhaya, magar haya ne kalai peechay kar li. Zara si chot se main zakhmi to nahi hui. Bohat zindagi guzari hai maine. Bazahir muskurakar woh dard ko daba gayi.

Haatheli surkh par chuki thi aur shadeed jal rahi thi.

Meri baat aur hai, haath dikhao. Magar usne haath goud mein rakh liya.

Theek hai, it's okay, coffee ka shukriya, ab hamein chalna chahiye. Woh uth khadi hui. Phool wali baat usay bhool gayi thi.

Magar coffee to khatam kar lo. Woh qadray preshani se khara hua.

Rehne do, intehai bad tahzeeb waiter zahir hi hain yahan ke, chalo.

Wapsi par woh use metro station tak chhorne aaya tha. Zeer zameen jaati seedhiyon ke dahanay pe woh dono amne samne khade thay.

Tum wapas taqseem nahi aoge?

Nahi, woh daftar yahan qareeb hi hai, jis se kaam ke silsile mein milne aaya tha, us taraf.

Jihan ne bazu utha kar dour ek taraf ishara kiya. Usne safed shirt ki aasteen yunhi kahniyon tak mod rakhi thi. Aur coat bazu par daal rakha tha. Tie ki knot ab tak dheeli ho chuki thi. Woh yakeenan uska ek working day kharab kar chuki thi.

Waise tum kya karte ho? Woh coat ki jebon mein haath daale khadi gardan uthaye use dekh rahi thi.

Main ek ghareeb sarees store owner hoon, Istiqlal Street pe jo pehla bar gar kong hai, woh mera hai. Istiqlal Street Taxasim Square ke bilkul sath hai. Dekhi hai na tumne?

Oh haan. Usne gardan dain se baain aur baain se dain hulayi.

Tum is weekend pe ghar kyun nahi aajate? Mami khush hongi. Aur tum? Be-sakhta labon se phelai.

Main to weekend pe bhi restaurant hota hoon.

Phir faida, usne socha.

Koshish karungi. Woh muskuradi, usne daaya haath jeb se nikaal kar baal peechay hataaye. Tumhara haath abhi tak surkh hai, agar kisi dost ne pooch liya to kya kahogi? Keh doongi ke gadli barf ke saath kichad thi ghaas pe, wahi phisal gayi. Usne la parwahi se shanay achkaaye.

Ab cousin ke saath coffee peene ka qissa to sunane se rahi.)

Phail gayi to haatheli ragri gayi?

Haan!

Aur ghutne? Jihan ne muskurakar us ki jeans ki taraf dekha.

Matlab? Haya nay abru uthaye.

Ladki! Khoor story poori banaiya karo. Agar tum haatheliyon ke bil kichad mein giro to asoolan tumhare ghutnon pe bhi ragad aani chahiye. Phir woh chand qadam chal kar ghaas ke qatay ki taraf gaya, jhuk kar teen ungliyon se mitti uthayi aur wapas aakar us ke samne ki. Usay apni jeans pe laga do, varna tumhari friend yakeen nahi karenge.

Itna bhi koi shakki mizaj nahi hota Ja
Juhan Sikander! Usne hans kar apne poore par zaraasi geeli mitti li aur jhuk kar ghutnon ke oopar jeans pe mal di, phir haath jharaate huye seedhi hui.

Main koshish karunga ke haftay ki subah sara kaam khatam kar ke ghar aaon, tum haftay ki shaam zaroor aana.

Pehli baar usay ehsaas hua tha ke woh kam go, sanjeeda tabiyat ka, liye rehne wala shakhs zaroor hai, magar gharoor bhi hai aur jaldi ghalti nahi maanta, magar andar se woh bohot khayal rakhne wala bhi hai aur bareek been bhi. Jo mamooli baatein woh nazar andaz kar deti thi, woh Jihan ki zairik nigahon se chipi nahi rehti thi.

Woh jab hostel wapas aayi to DJ aur Hailey ek risala kholay kisi taweel bahas mein magn thi, DJ ki nigaah sab se pehle us ke surkh haath par pari.

Ek jagah gadli baraf ke saath kichad thi, wahi phisal gayi.DJ ne be ikhtiyar us ke ghutnon pe lage kichad ko dekha, phir asbat mein sar hilaya. Haan lag raha hai. Hayaat badalne ki gharz se boli. Haye haale yeh balkoni ki batti kaun jilata hai? Jaise hi us ke neeche jao, to woh jal uthti hai.

Haale jo ghoor se us ke coat ko dekh rahi thi, us ke sawaal par nigaahen utha kar use dekha. Un mein auto-matic sensor lage hain, woh apni roh mein kisi insaan ki mojoodgi ya phir tez hawa, andhi waghera mein khud-bakhud jal uthte hain.

Aur darwaza bohat deer se band hua, khud-bakhud. In darwazon ke catches slow hain. Ye chaukhat pe deer aakar lagte hain, ta ke har waqt ki thah-thah se talaba ki parhai disturb na ho.

Darwaze.

DJ ne samajh kar sar hilaya. Hamare haan bhi hostels mein aisi lights aur nahi hote. Haya ne DJ ki baat tezi se kahi. Aur Paak Tower Asia ka doosra bara maal nahi hai, hamein ghalt fehmi hui thi. Woh jevahir dekh aayi thi aur use is barhk par khafat hui thi.

Haya DJ ne ehtijaj-e-gha ghoora. Haale abhi tak haya ka coat dekh rahi thi. Haya almary ki taraf chali gayi to haale gheri saans le kar boli.

Phir haya! Tumhein kisi hand sum ladke ne coffee play? Woh jo tooti jooti wala shap par almary mein rakh rahi thi, bari tarah chonk kar palti.

Nahi.......... kyun? Woh tezi se boli.

Coffee, chai, lunch.......... kuch bhi nahi?

Nahi, magar kyun?

Tum aqalmand, jo surkh coat pehen kar gayi thi, sheher ki sair pe Istanbul mein, agar itna zyada surkh rang pehen kar aur heavy makeup kar ke bahar nikla jaaye to us ka ek hi matlab hota hai ke............. Haale ne Muskurahat dabaai keh "You are clanging for an 'A' date, or are you turning into a nightstand! Here, people don't even go out wearing so much red on Valentine's Day. (Chal Haya, celebrate your freedom)

Acha! Pata nahi." Woh danistaan ki taraf se rukh mor kar Almary mein cheezein ult palat karne lagi.

"Yeh dawat kis khushi mein hai?"

"Tumhare is khoobsurat coat ki khushi mein."

Mari ki tazhik ke us ke kaanon se dhuan nikalne laga. Woh Jihan ki muskurahatein, woh shaistagi, woh restaurant le jana, woh sab kisi apnayat ke jazbay ke tehat nahi tha, balkay ........... balkay woh use koi bakao mal ki tarah samajh raha tha, khud ko plate mein rakh kar pesh karne wali larki? Koi professional...........

Us ke dil pe bohot se ansoo gir rahe the.

Jihan Sikandar hamesha use be izzat kar deta tha.

"Hain............ sachii??"

Aahista aahista woh Jihan Sikandar ke Istanbul mein adjust hoti ja rahi thi.

DJ ki neend aur nisyan albata usay aajiz kar dete the. DJ ko zara kahin tick mil jaati, woh aankhein band kar ke sone ke liye tayar ho jaati aur phir us ka bhulakkar pain. Haya jab bhi kuch photo copy karwane jaati, use wahan lawaris paray kisi register, kisi notice ke jhute, kisi kitaab par hamesha shanaasi ka guman guzarta. Woh use utha kar dekhti to bada bada DJ " likha hota tha. Woh har cheez wapas la kar DJ ke sar par maarta thi. Aur DJ " Yeh idhar kaise pahunch gaya" keh kar hansne lag jaati.

Spanji mein un ka ek makhsoos ID card bana tha. Us par tasveer khinchwane ki shart aur gardan khuli rakhna thi. Woh mobile ke prepaid card ki tarah thi. Gursul ka ticket, photo ka pair ki raqam aur do dopahar ke khane ka bill usi card par ada hota tha. Us mein mobile ke easy load ki tarah balance dalwaya jaata tha. Unhein un paanch mah mein har mahine ek hazaar euro ka scholarship milna tha, magar chand technical masail ke baa's us kisi bhi scholarship exchange students ke February ke ek hazaar euro nahi aaye the. Ummed thi ke March mein ek do hazaar mil jaayenge aur phir aage har mahine ba qaidgi se mila karenge. Tab tak Pakistan se aayi raqam se guzaara karna tha. So aaj kal sab ek change students ka haath tang tha.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now