part 38

566 19 2
                                    

Jab woh spinji ke dining hall mein dopahar ka khana khati thi, raat ka khana apne kamre mein khud banana hota. Har block mein ek kitchen tha, jahan har student apna nashta aur raat ka khana tayar karta tha. Masla yeh tha ke wahan taleba ke liye khas design kiye gaye chulhe the. Iss khatrey ke pesh nazar ke kahin koi parhai mein magn chulhe par kuch rakh ke bhool jaye ya gas khuli chhod de aur nuqsaan ho jaye, woh chulhe auto-matic the. Har pandrah minute baad jab chulha khoob garam ho jata to khud-bakhud band ho jata. Phir paanch minute baad dobara jal uthata. Unko band hone se roknay ka koi tareeqa nahin tha. Aur aise bekaar chulhon pe desi khana pakaana mumkin tha. Hostel ke bila kis ke qareeb hi ek bohat bara lagzar super store "Dia Sa" tha.

"Dia" uska naam tha aur "Sa" turk mein store ko kehte the. Woh dono Dia store se ration laati aur bal adha adha taqseem kar leti. Ek raat Haya khana banati aur woh bohat acha sa desi khana hota. Dusri raat DJ ki bari hoti aur jo woh banati, woh kuch bhi hota magar khana nahin hota.

DJ mein yeh tumhare sarpar ult doon gi. Woh jab baghair bhanay ubli hui sabzi ka salan dekhti ya phir ublay chawalon pe omelette ke tukde to DJ pe khoob chilaya karti thi. Aur phir turki ke masalay... woh itne pheekay hote ke Haya chaar chaar chamach bhar ke surkh mirch daalte to bhi zara sa zaiqa aata. Khane uske bhi pheekay hote magar DJ se behtar the. Albata apne kamre mein roz jab subah hoti to DJ bank ki seedhiyan phailang kar utarti aur ussi tarah nahar munh khadi mein khadi ho jaati. Phir pat khol kar bahar chehra nikal kar zor se awaaz lagati.

"Good morning DJ hai!" Aur jawab mein door kisi block se ek larka zor se pukaar ta. Tee hai... Ghallabwa DJ ke alfaaz samajh nahi pata tha. DJ roz subah subah yehi amal dohrati thi. Iske tee be ke baad woh pukaarti "Za... leil" aur woh larka jo abba chalata da... dee. Iske baad Haya kambal se munh nikal kar cushion uthati aur DJ ko zor se de maarti. Yun uski aur us larkay ki guftagu ikhtitam pazeer hoti.

Ghar roz hi baat ho jaati thi. Albata mobile ki registration mein masla hua tha.

DJ ka tour juster ho gaya, magar Haya ke saath hua yun ke uske passport par jahan entry ki tareekh paanch February likhi thi. Wahan upar officer ke dastakhat ke bais paanch ka hissa bazuhaar chhap raha tha. Tareekh ka zara sa farq mushkil paida karne laga aur iskafon register na ho saka. Woh Turk Sim us par istemaal nahi kar sakti thi. Kyunkay haftay ke baad ghair register phone pe Turk Sim block ho jaati thi to hale ne usay apna ek purana mobile set de diya. Aur woh is badsoorat mote bhade phone ko bardasht karne par majboor ho gayi.

Apne mobile par usne apni Pakistani Sim lagadi thi. Aur woh roaming par theek chal raha tha. Tumhara kahan ka plan hai? Haya ne chawalon ki plate mein se chamach bhar kar DJ se poocha. Yeh pulao ab uska aur DJ ka mar ghobi-tareen khana ban chuka tha. Aur saath turk ko fate aur phalon ka salad. Woh dono amne-saamne dining hall mein baithi jaldi jaldi khana kha rahi thi.

Til mein susuli jana chahti hoon shopping wagaira ke liye aur tum to apni phupho ke ghar jao gi na?

DJ ko fate ke salan mein se tail nikal kar doosre piyale mein daal rahi thi. Woh yun hi har salan mein se tail nikala karti thi. Talay hui cheezon ko akhbar mein lapet kar dabaati aur phir khati. Haan aur tum hadeyon ka dhancha isi liye ho. Haya ne ruk karne gawari se uske amal ko dekha. Woh bina asar liye upar aaya.

Tail doosre piyale mein andalte rahe. Dining hall bay had wasee aur aareez tha. Har roz ki tarah  roshniyan jagmag arahi thi. Wahan do labhi si qataaroon mein mustateel mizain lagi thi aur dono qataaroon ke charon taraf kursiyo ki sardaab bani thi. Har taraf gahma-gahmi, rush aur shor tha.

Dafaat plate ke saath rakha Haya ka mobile baj utha. Usne chamach plate mein rakha aur nepkin se haath saaf karte hue chamakti screen ko dekha.

Tayya Farqan Home ka lang... Kaisi ho Aram? Nawalha munh mein tha, is liye uski phansi phansi awaaz nikli.

Haya Aram boul rahi hoon.

Hoon... Theek. Tum sunao. Aram ki awaaz mein zara bechaini thi.

Sab khairiyat hai, tum sunao, koi baat hui hai kya?

Nahi... Haan... Suno ek baat thi. Aram ki awaaz dheemi sar goshi mein badal gayi.

Kaho, main sun rahaihoon. Uske zehan ke parde par woh video ubhri thi par thi.

Woh... Yaar ajeeb si baat hai. Magar tum abba wagaira ko na bataana. Asal mein kal sham jab main university se waapas aayi to

gate ke qareeb ek...

Khawaja Sira tha... Usne mujPehle to main dar gayi, magar usne koi ghalat harkat nahi ki to mujhe tasalli hui. Woh mujh se tumhara poochh raha tha ke Haya baji kahan hain aur kaisi hain? America pohanch gayin khareyat se? Maine bataya ke woh America nahi, Turkey gayi hai. Phir woh kehne laga ke main tumhein us ka salam aur... woh jhijhki. Aur dua de doon.

Aur kuch?

Nahi, magar tum abba waghera ko mat batana ke main ne ek khawaja sira se baat ki hai. Yeh baat tumhein us se mukhatib hone se pehle sochni chahiye thi. Baharhal main nahi jaanti, woh kaun hai, kya naam bataya usne apna?

Doli.

Pata nahi kaun hai. Ainda mile to baat na karna, balkay nazar andaz kar ke guzar jana. Mazeed kuch baatein kar ke usne phone rakh diya aur dobara plate ki taraf mutawajjah ho gayi. Waise tumhari phupho ka koi handsome beta waisa hai? DJ ne napkin se haath saaf kar ke magan se andaaz mein poochh rahi thi.

Us ka haath ruk gaya. Woh chonk kar usay dekhne lagi. Kyun?

Tumhari chamak damak dekh kar yeh khayal aaya. DJ ne muskurahat dabaate, apni aankh ungli se peeche ki.

Hayane yun hi chamachh pakde gurdaan jhuka kar khud ko dekha. Paon ko choote zard farak aur churi daar pajame mein malbus thi. Farak ki zard chiffon ki tang chauri daar aasteeniyan kalai tak aati thi. Chiffon ka dupatta usne gird ke gird lapet rakha tha. Baal hasb e adat simat kar daayein kandhey pe aage ko daal rakhe thay.

Haan, hai ek beta magar shadi shuda hai. Woh la parwahi se shaaney uchka kar plate mein pada koftey kaante se toorne lagi.

Onhon... sara maza hi kadwa kar diya.

Oh DJ! Yeh kya? Woh DJ ke peeche kuch dekh kar ke thi.

Koftey hai aur kya. DJ ne kaante mein phanse koftey ko dekh kar kaha.

Afwah! Apne peeche dekho. Usne jhunjhla kar kaha to DJ ne gardan modi. Wahan ek qadrey farbehi mael larki chali aarahi thi. Hairat angaiz baat yeh thi ke woh shalwar qameez aur dupatte mein malbus thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now