part 39

497 23 2
                                    

Subanji mein hum watan? DJ ne be yaqeeni se palkain jhupki. Aglay hi pal woh dono apne apne coat utha kar khanachor is ki janib lapakain thi.

Woh larki apni kitaabein sambhalti chali aarahi thi. Inn dono ko dekh ko thatki. Woh DJ ki shalwar qameez aur Haya ka faraq pajama be yaqeeni se dekh rahi thi aur woh dono us ki shalwar qameez.

Aap Pakistani hain? Haya par josh se us ke paas gayi. Haya DJ us se zara peechay thi.

Nahi, mein Indian hoon.

DJ dheeli par gayi. Rehnay do Haya! Mujhe abhi World Cup ka gham nahin bhoola.

Us ne sargoshi ki. Teen saal pehle Misbah-ul-Haq ka aakhri ball par out ho na DJ ko kabhi nahin bhulta tha.

Haya ne zor se apna paon DJ ke jootay par rakh kar dabaaya.

Hum Pakistani exchange students hain. Haya Suleman aur yeh Khadija Rana. Aap?

Mein Anjam hoon. Mein aur mere paisband P.H.D kar rahe hain aur hum yahan parhate bhi hain. Idhar faculty mein hamara apartment hai, wahi rehte hain hum, kabhi aana idhar. Anjam inn dono se zyada par josh ho gayi thi.

Sure... Anjam baji. DJ inn ka musalman ho na sun kar phir se khush ho gayi thi. Woh teeno kaafi deer wahan khari baatein karte rahi aur jab DJ ko yaad aaya ke ghor silai me panch minute hain to Anjam baji ko jaldi se

khuda hafiz bol kar woh apna coat haathon mein pakde bahir bhagi.

Woh taqseem park mein sangi bench par bethi thi.

Us ne apna safed lamba uni coat ab zard faraq par pehn liya tha aur sar
jhukaaye haath mein pakri shikan zara chit pe se seen phupho ka number mobile pe mila rahi thi. Abhi tak us ne is number ko mobile mein mehfooz nahin kiya tha.

Wahan door tak sabza phela tha. Khush numa phool aur rangon titlion ki bahata hua us ke lambe baal ura rahi thi. Woh

mosam se lutf andoz hoti huye phone pe jaati ghanti sunne lagi.

Hello. Bohat dair baad Jihan ne phone uthaya.

Jihan... mein Haya... us ke andaaz mein khaft dar aayi. Us ne keh rakha tha us liye aaj ja rahi thi.

Warna us surk coat ne to usay khoob be waqoof kiya tha. Haan Haya bolo? Woh masroof salig rahe thi.

Woh mein taqseem pe hoon, tum mujhe yahan se pick kar ke ghar le jaa sakte ho? Aaj weekend tha to...

Sorry Haya! Mein shehar se bahar hoon, tum ghar Mammi ko phone kar lena.

Yeh tumhare ghar ka number nahin hai? Us ne hairat se chit ko dekha.

Nahi, yeh to mere mobile number hai.

To kya us ne Davar bhai ki mehndi wale roz Jihan ke mobile pe phone mila diya tha?

Oh... mujhe phupho ka number likhwa do.

Jihan ne foran number likhwaya.

Acha mein drive kar raha hoon, phir baat hoti hai. Mazeed kuch sunay bina us ne phone band kar diya.

Woh dil masoos kar rahi thi. Ajeeb ajnabi sa apna tha.

Phupho usay lene aayi thi. Woh jo chand leeraz ki bachat ke chakkar mein cap kar ke nahi gayi thi, khoob sharminda hui thi.

Gaadi nahin thi to batatein, mein to aise hi.

Koi baat nahin, gaadi to Jihan ke paas hi hoti hai. Aur woh mazeed sharminda hui. Phir gardan mor kar khari ki ke baahar doratay darakht dekhne lagi.

Gayin.

Isay phupho kitchen mein hi le aayain. Hasb e adat woh kaam mein masroof ho gaye

Yeh mere liye itna bekaar palne ki kya zaroorat thi? Woh arid gard phele aashyad dekh kar khafa hui.

Koi baat nahin, tum meri beti ho, mein haath bana doon gi, is liye mein ne yeh sab shuru kar diya. Dono ke darmiyan

pechli mulaqat ke nakushgawar ikhtitam ka koi tazkira na hua, jaise kuch hua hi na ho.

Chalein! Aaj pilao to mein hi banaati hoon, mujhe recipe samjhati jayein, waise bhi takoon ki maiz is pilao ke baghair adhori lagti hai.

Woh coat stand par latka kar aasteen kalaayi se zara peechay karti wapas aayi. Dupatta us ne utaar kar kursi pe rakh diya tha

Pehle to tum chicken ki botiyon kaat do. Unhon ne tokri mein rakhe murgh masalam ki taraf ishara kiya aur khud chulhay par chadhi degchi mein chamcha hilaane lagi.

Chhuri to yeh padi hai, cutting board kahan hai? Woh idhar udhar dekhne lagi.

Cutting board o ho... woh to subah se nahi mil raha. Jihan bhi pata nahi cheezein utha kar kahan rakhta hai.

Thehro! Main ek purana board le aaon. Upar ek attic se.

Aap rehne dein, main le aati hoon, attic o par kis taraf hai?

Seedhiyon se oopar raahdari ke aakhri sarray peh, magar tumhein takleef hogi, main khud...

Aap gosht bhunain, jal na jaaye, main bas abhi aayi. Woh nange paon chalti bahar loft tak aayi.

Seedhiyon ke saath lage qad aawar aainay mein use apna aks dikhaya to zara si muskuradi. Farsh ko chhote zard farak mein woh khilte phool ki tarah lag rahi thi. Galey ka kaat khula tha aur uske daahine pe chhote chhote suraj mukhi ke phoolon ki lees neem daaire mein lagi thi. Yun lagta tha uski khubsurat lambi gardan mein suraj mukhi ke phoolon ka dheela sa baar latk raha ho. Usne ungliyon farak pehluon se zara sa uthaya aur nange paon lakdi ke zameenon par chadhne lagi.

Aur raahdari ke aghaz mein ek kamrey ka darwaza band tha, shayad woh jihan ka ek kamra tha. Abhi ghar mein dakhil hotay hue phuphone aisa kuch bataya tha.

Woh ek nazar band darwaze par daal kar aage barh gayi. Farak ab usne pehluon se chhod diya tha.

Aink mein aage peeche bohot se sandooq aur kath kabaar rakha tha. Matnaza buzab sa andar aayi. Batti na jaane kahan thi.

Usne darwaza khula rehne diya, bahar se aati roshni kafi thi.

Wahan har so samaan rakha tha, cutting board na jaane kahan tha. Woh andaza aage barhi aur ek kone wale sandooq ka khund akhool kar dhakan oopar uthaya.

Neeche lounge room se bahari darwaza khulne aur band hone ki aawaz aayi. Saath mein jihan aur phupho ki mili jhali awazen.

Yaqeenan woh aagaya tha. Woh muskurakar sandooq par jhuki.

Us mein electric ka koi tota phoota samaan rakha tha. Cutting board kahin nahi tha. Haya ne dhakan band kiya aur nasbata kone mein rakhe sandooq ki taraf aayi.

Apne aqab mein use raahdari se kisi darwazay ke hole se khulnay ki char rasnai di thi. Jihan itni jaldi oopar pohanch gaya? Magar woh palti nahi aur sandooq ko kholnay lagi, jis ke dhakan ke oopar girh d aur makri ke jaalon ki teha thi.

Usne chand cheezein ult palat ki to be ikhtiyar gard nathnon mein ghir gayi. Use zara si khansi aayi. Poora ek be had saaf tha. Masa'aye is kone mein rakhe do teen sandooqon ke, jaise unhein zamaanon se nah kholaa gaya ho.

Uski peeth pe atak ka adda khula darwaza hole se khula. Koi chaukhat mein aan khada hua tha, yun ke raahdari ki aati roshni ka rasta ruk gaya. Pal bhar mein atak... neem taareek ho gaya.

Woh palatnay hi lagi thi ke sandooq mein kisi khaaki shay ki jhalak dikhayi di. Usne donon mein pakar kar use oopar nikala.

Woh lakri ka takhta nahi tha, balkay aksar hawa kapra tha.

Hsya ne kapra khol kar seedha kiya. Ek purani gand alood kha ki shirt... sitare, tamghay aur ek naam ki takhti.

Chaukhat mein khada shakhs chhotay chhotay qadam uthata, us ki taraf barhnay laga.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now