part 41

535 28 2
                                    

Ne idhar ghar banwaya. Tab woh Pakistan Army ki taraf se yahan posted thay. Mein Istanbul mein hi paida hua tha aur Abba ki dobara Islamabad posting hone ke baad bhi mein aur Ammi idhar dada ke saath rehte thay. Mere dada bohot achhe, bohot azeem insaan thay. Unhone mujhe bohot kuch sikhaya tha. Deen, dunya, izzat, bahaduri aur waqar se jeene aur shaan se marnay ka sabak unhone hi mujhe diya tha. Mein aath saal ka tha, jab woh fot hue toh mein aur Ammi kuch Arse ke liye Pakistan aaye. Aur tab hi woh waqia hua, jisne hamari zindagi badal di.

Haya ka saans ruk gaya. Tab hi toh unka nikaah hua tha, toh kya woh bakhabar thay?

"Jin dino mein aur Ammi Pakistan mein thay, balkay tumhare ghar mein thay, Abba Anafa Natar ki farar hogaye. Farar iss liye ke unhone ek hassas muqam ke blueprints unko bech diye thay jo hamesha kharidnay ke liye tayar rehte hain. Saboot unhone koi nahi chhoda, magar tafteesh shuru hui toh bohot kuch khulne laga. Abba ne Turkey se bhi apna istifa bhejwa diya. Peechay adalat mein muqadma chala aur woh ghaddar thehraye gaye. Unke jurm ki fehrist khaas taur se taweel thi. Unko saza-e-maut sunadi gayi aur unhone Turkey mein siyasi panah hasil kar li. Kuch ta'alluqat kam aaye aur kuch rishwatien, Abba ko Turkey hukumat kabhi deport nahi kar saki, naahi Interpol ne koi qadam uthaya.

Qissa mukhtasar, Abba
Jis din Pakistan ki sarzameen par qadam rakheinge, woh giraftar ho jainge aur unko phansi de di jaye gi. Yeh Baat tumhare waliden ko pata hai, magar badnami ke dar se kisi ko batayi nahi jaati."

Woh kisi bhi jazbe se aari nigaahon se samne baar ko dekhta raha tha. Haya yak tak usse dekhe gayi. Uske ghar mein

Phupho ke shohar ka zikr koi nahi karta tha. Shayad danista tor par aisa kiya jata tha.

"Mein ek ghaddar ka beta hoon. Mere Abba mulk dushman hain. Iss zillat ke bawajood hum Abba ke saath rehne par majboor hain. Ehsaas-e-jurm hai ya qudrat ki taraf se saza, woh waqt guzrne ke saath saath apna zehan kho rahe hain. Saza-e-maut ka khauf unke liye nasoor banta jaraha hai. Jo unhone tumhare saath kiya, us pe unko maaf kar dena. Woh mere Abba hain aur bawajood is ke ke yeh haqeeqat bohot jagah mere asar jhukka deti hai mein unse
Mohabbat karne par majboor hoon."

Haya ne gheeri saans li. Uske kisi qisse mein uska qissa nahi tha, kisi dastaan mein uski dastaan nahi thi. "Mein kaam se bahar ja raha hoon, aaj khana kha kar jana." Woh utha aur darwaza khol kar andar chala gaya. Shayad woh abhi sirf tanhai chahta tha. Haya gardan mod kar usse jaate hue dekhne lagi. Woh nange paon lakdi ke farsh pe chalte seedhiyon ki Taraf barh raha tha.

                ******************

Haya... Khadija!

Tali ne unhein us waqt pukara, jab woh dono DJ ke bank par bethi, uski shopping pe tabsarah kar rahe thay. Woh chaudah February ki do dopahar thi. Aur Turkey aaye athwan roz tha aur DJ jo Valentine's Day ki ronak dekhne aayi thi, aaj toh qasam

gayi thi mayoos lut aayi thi. Pakistan ke baraks Turkey har kaam chhod kar surkh rang mein nahin nahate, balkay surkh phoolon ki farokht ke Istanbul mein Valentine's Day ke koi asar nahin thay. Jab DJ khoob mayoos ho chuki toh usne yeh keh kar apne khayalat mein tameem kar liya ke "bhaad mein gaya Saint Valentine, hamein is tehwar se kya lena dena."

Unki is guftagu mein mukhalif hone wali Israeli exchange student thi.

"Haan? Woh dono jhuk kar neeche dekhne lage, jahan Tali unke bank se neeche latkati seedhi ke saath khadi thi.

Woh ladke tumhara poochh rahe thay?"

Haya aur DJ ne ek doosre ko dekha aur phir Tali ko.

"Kaun se ladke?

Woh palastini exchange students jo saath waale dorm mein rehte hain. Woh mujhse poochh rahe thay ke woh Pakistani ladkiyan kaisi hain aur yeh ke unko koi masla toh nahin hai, aur yeh bhi ke tum dono aaj ki shaam ki chai ka munh room mein unke saath piyo. Woh tumhara intezar karenge, OK? An Israeli muskurahat unki taraf uthalti, woh haath hilakar bahar nikli.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now