part 48

514 27 0
                                    

De mara.

"Wo nahi dega, mein kya karoon? Woh be had mayoos tha. Mujhe nahi pata Bashim! Kahin se bhi ho, tum paisay ka bandobast karo, warna Haris mar jaye ga."

Hashim ne bechargi aur karb se sar jhataka.

"Bashim! Kuch karo. Hamare paas din bohot kam rahe gaye hain. Humein paisay chahiyein har haal mein. Karta hoon kuch." Woh jis shikastgi ke aalam mein aya tha, usi tarah wapas laut gaya. Us ki siyah peshani par tafakur ki lakiron ka jaal bicha tha aur chaal mein mayoosi wazeh thi.

Woh muztarib ki ungliyan marorati khari usay jaate dekhti rahi, phir ek nazar band kamray ke darwazay par daali jahan un ka beta so raha tha aur jhat kar waapas sang ki taraf palat gayi, jahan bohot se kaam us ke muntazir thay.

DJ ne darwaza khola toh woh usay aine ke samne khari dikhayi di. Woh darwaza band karke aage ayi aur Haya ke samne khari hokar poori fursat se aur bohot mashkook nigahon se usay dekha.

Us ke haath mein muskara brush tha aur woh aaine mein dekhti, aankhein khole ihitayat se palakon se brush mas kar rahi thi. Gehra ka jal, siyah sunehri sa aye shade aur labon pe jamakti gulabi lipstick woh bohot mehnat se tayar ho rahi thi.

Baalon yun set kar rakhe thay ke upar se seedhe aate baal kaanon ke neeche se mudd kar ghonghrale ho jaate thay. Baalon pe usne kuch laga rkha tha ke woh giley giley se lagte thay aur jo frock usne pehna rakha tha, us ki peti qadeem tareeq ke sunehri skoon ki bhari thi. Aasteen bohot chhoti thi aur un par bhi sunehri sikay latak rahe thay. Neeche lambe frock ki kaliyan siyah thi. Takhno se zara sa jhilkta pa jam bhi siyah tha.

Kidar ki tayyariyan hain? DJ ne usay sar se paer tak dekha.

"Dinner ki!" Us ne lip gloss ke chand qatray labon par lagaye aur aaine mein dekhte hue honth aapas mein mas kar ke khole.

"Kis ke saath?"

Jihan ke saath! Be sakhta labon se phisla, lamhe bhar ko woh chup ho gayi, phir laparwahi se shane uchkaaye. Waise woh shadi shuda hai.

"Acha! Woh do ghante sardi mein balcony mein khara rehta hai, chulhe ke taron mein haath daal kar use theek karta hai, sara kitchen saaf kar ke jaata hai, phir tumhein dinner pe bulata hai aur tum us sari tayyari ke saath ja rahi ho. Phir soch lo, woh ab bhi shadi shuda hai?"

"Bakwas! Woh hasta huye kursi pe bethi aur jhuk kar apni siyah high heels pehne lagi.

"Nah batao, mein bhi pata laga kar rahoon gi." DJ munh pe haath pherati apni kursi par beth gayi.

Hayaanay gun gunate hue meiz par rakha apna chhota sunehri klich uthaya. Wahi davr bhai ki mehndi wala kheech, jo usne jahaz mein bhi uthara tha. Usay woh zyada istemaal nahi karti thi, ab bhi kholaa to andar ek taehha kiya ho aur ting card aur istilaat ka calling card bhi rakha tha jo unho ne Abu Dhabi mein khareeda tha. Usne mobile, paisay aur spanji ka ID card andar rakha. Clutch chhota tha, haalay ka diya gaya mota, bhadd amm mobile is mein poora nahi araha tha, to usne mobile haath mein pakad liya aur "Acha mein chali" keh kar hanger pe larka apna safaid narm coat ek haath se kheench kar utara aur baahar leke gayi. Bar ek lambi jeel se pathri wali sarak par chalte hue usne coat seedha kiya aur pehna, phir chalte chalte samne se button band kiye. Gore Russell ka stop zara door tha. Usay wahan tak paidal jana tha. Woh coat ki jebon mein haath daale, sar jhukaaye teez teez sarak par chalti jarahi thi. Shaam ki thandi ho usay us ke giley ghonghrale baal kamar pe ud rahe thay.

Jis lamhe woh Gore Sol stop ke qareeb pohanchi, usay Gore Sol door spanji ke gate se bahar nikalti dikhayi di. Hale ne kaha tha, jis din tumhari Gore Sol chhoti gi us din haalay noor tumhein bohot yaad aaye gi. Aur is pal besi aur dukh se us door jaati Gore Sol ko dekh kar usay waqai haalay noor bohot yaad aayi thi.

Usne jeb se mobile nikala aur Jihan Sikandar ko message likha.

"Meri Gore Sol chhot gayi hai, mujhe pick kar lo, mein stop par khadi hoon."

Woh kitni hi der wahan tak sarak pe tehelti rahi, magar us ka jawab nahi aaya, shayad is ghareeb ke paas jawab dene ka bhi credit nahi tha.

Barn ki awaz par woh apne haal mein laut ayi jahan ek siyah chamakti us ke aine samne khadi thi.Driver ne button daba kar apni taraf ka sheesha neeche kiya aur zara sa chehra mor kar usay mukhatib kiya. "Madam Suleiman? Taqasam uska square, Jihan Sikandar."

Driver ne kuch alfaz ada kiye to usne sar hila diya aur darwaza khol kar pichli nishist par beth gayi. Woh yaqeenan Jihan ka driver tha, go ke usne maflar chehre ke gird lapet rakha tha aur sar par topi bhi li rakhi thi. Haya bas us ki ek jhalak hi dekhi thi, phir bhi usey guman guzra ke usne us siyah faam Habshi ko kahin dekha rakha hai. Kahan, yeh sochne ka iqtezah nahi tha. Woh muskuratay hue Jihan ko bohot shukriya. "Mein pohanch rahi hoon," likhne lagi.

Zara ki zara usne nigah utha kar back view mirror mein ek do baar dekha bhi. Magar driver ne usey kuch yun set kar rakha tha ke woh sirf apna chehra dekh sakti thi.

Taqasam square pe tareeki ke panchhi ne apne par phaila rakhe thay aur usi munasibat se har soo batian jagmaagar thi. Pura square in maqsoodi roshniyon se chamak raha tha. Mojsma e Azadi ke atraaf se mukhalif simtoun mein sarkain nikal rahi thi. Wahan har soo traffic ka rash tha.

Mojsma e Azadi ko charon atraaf se ghas ke ek gol qitaa arzi ne gher rakha tha, jaise kisi phool ki char patiyon hon aur har pati ke kinaron ki lakir pe pathrieli rosh banay hui thi. Wahan logon ki khoob chal phir thi.

Driver ne square ke muqabil ek imarat ki baharuni diwar ke saath gaadi khadi ki. "Jihan Sikandar!" Usne ungli se is deewar ke saath saath doosri ishaara kiya, jahan Jihan Sikandar ki safaid car khadi thi yun ke woh deewar ke us kinaray par thi to yeh siyah car us kinaray par.

Usne darwaza khola aur bariq ehtiyaat se bahar sarak par rakhi. Taqasam square ko us ki heels pasand nahi theen, usay andaaza tha.

Woh apni gadi ke saath hi khara tha. Unit khol kar woh jhuke hue, kuch tarein jor raha tha. Siyah jacket aur jeans mein malbous, hamesha ki tarah aam se hilye mein.

Woh coat ki jebon mein haath daale sach sach kar chalte is tak aayi. Woh kuch gun gunate hue ek taar ko doosri ke saath jor raha tha. Heel ki tik tik par ruka aur gardan ghuma kar dekha.

"Salam Aleikum!" Usay dekh kar muskurate hue seedha hawa."Main kya kar rahi hoon is tareek kone mein? Meri car har khaas moqay par daga deti hai, ab bhi masla kar rahi hai, khair mein fix kar loonga." Usne haath jhaadte hue laparwahi se bola.

"Woh toh tum kar loge, mujhe pata hai. Jihan Sikandar ke paas har maslay ka hal hota hai. Woh dheere se nahi."

"Tum batao! Pore square pe mujhe talashtay tumhein kitni der lagi? Aur bus pe aayi ho?"

"Nahi, tumhari bheji gayi chauffeur drone car mein aayi hoon."

Woh dheere se hans diya.

"Yeh taanz kahan se seekh liye ho tumne? Main itna ghareeb bhi nahi hoon ke tum yun mazaak udaao." Woh hans kar sar jhatkaata.

Ab unit band kar raha tha.

Haya gardan phair kar peechay dekha. Taweel diwar ke us saray pe woh siyah car usi tarah khadi thi.

"Tumhein meri image nahi mili thi?" Woh qadre bechaini se boli.

"Image?" Jihan ne jeb thapthapayi. "Meri mobile kahan gaya?" Usne doosri jeb mein haath daala aur apna smartphone nikala. Phir uski screen ko ungli se chhua.

"Nahi!" Usne screen Haya ke chehre ke samne ki. Wahan Inbox khula tha aur Haya ka koi message nahi tha. Haya ne be ikhtiyar apne haath mein pakde phone ko dekha. Us par message rakhne ka nishaan nazar aa raha tha. Usne jaldi se button dabaate hue outbox kholaa. Uske dono message wahi rakhe thay. "Oh! Balance khatam tha, toh zahir hai phir message kaise jaata?"

"Koi khaas baat thi kya?" Woh car ko lock laga raha tha.

"Tumne mujhe is paar Kangaria mein dinner karwana hai ya kisi mehboob jagah par?" Woh baat badal gayi aur kankhyon se usne us lish pusht chamakti siyah car ko dekha, jo door khadi thi. Use kisne bheja, woh kuch bhi samajhne se qaasir thi.

"Agar yeh car mera itna waqt zaya nahi karati toh main ab tak kisi restaurant mein jagah dhoondh chuki hoti. Lekin ab bhi der nahi hui." Dono saath saath sarak ke kinaray chalte rahe.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now