part 52

520 26 0
                                    

Acha... Kaise hain wo?

Ukhad "bad lahaz, bad tameez, bad tehzeeb, be maroof" ulte dimaagh ke log hain yahan ke.

Wo kehti gayi aur wo be ikhtiyar hasta chala gaya.

Aur Pakistan ke log kaise hote hain, Haya Suleman! Khub hans kar wo bola tha.

Kam az kam turkon se toh behtar hote hain. Usne roti ka aakhri tukda bhi door achal diya.

Jihan abhi tak hans raha tha.

"Ladkiyan aisi tarah magan si gaa rahi thi.

Wo teeno sath sath bewak ada ki is bel khate sarak par neeche utar rahe the. Haya ek haath se stool aur doosre se urte baalon ko samet ke pakde hue chal rahi thi.

Use yun lag raha tha ke wo purane zamanon mein wapas chali gayi hai. Ek qadeem jazeera pe jo sari duniya se alag tha samundar ke darmiyan waqe tha. Wo sadiyon purane shehzadon ke jazeera the aur wo khud koi amar hui shehzadi thi.

Shehzadon ke jazeera ya Princes Islands) Turkey mein adalar... adalar yani jazeera,aur laar yani shehzadon ke) mar mara ke samundar mein qareeb qareeb waqe no jazairon ke giroh ko kaha jata tha. Gaye

waqton mein sultanon apne takht o taj ke liye khatarnak lagte shehzadon ko jala watan kar ke un no jaziron pe bheja karte the, jis se us ka naam princes islands pad gaya.

waqton mein sultanon apne takht o taj ke liye khatarnak lagte shehzadon ko jala watan kar ke un no jaziron pe bheja karte the, jis se us ka naam princes islands pad gaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Bewak ada" un mein sab se bara jazeera tha. "Bewak" yani bara aur "ada" yani jazeera. Bewak adad neya ke traffic, rush aur hungame se door ek par sukoon, chhota sa jazeera tha. Wahan gariyan, buses aur doosri autoz nahi hoti thi. Safar karne ke liye qadeem waqton ki tarah ghoda gariyan aur bhaagiyan thi ya phir bayi cycle.

DJ aur Jihan us se chand qadam age nikal gaye the aur wo qadeem zamanon ke romance mein khoyi zara peechay reh gayi thi. Wo dono baatein bhi kar rahe the. Un mein ab khasi be takallufi ho chuki thi. Jihan us se restaurants ke mutalliq kuch bata raha tha.

Yahan bohot zyada aqsam ke kabab milte hain, ghaleban dedh so aqsam ke, aur yeh restaurants ya toh soup free deta hai, ya apple tea.

Wo be tawajju se un ki baatein sunti qadam utar rahi thi.

Is jagah sarak dono taraf se restaurants mein gharri thi. Un ke darwazay khulay the aur samne

braamde mein shed tale kar siyan aur mezein bhi thi.

Siyan hown ka ek hujoom har so phela tha.

Sarak ke darmiyan ek jagah mujma salga tha. Wo teeno bhi be ikhtiyar dekhne ke liye ruk gaye.

Siyahon ke darmiyan gharri wo ek khoobsurat si turk bachi thi. Wo gehre jamoni baghair asteen farak mein
malboos thi, ghongralay baal kandhe pe aage ko daale hue the. Wo red carpet pe khari kisi adakara ki tarah kamar pe haath rakhe ek masoom sa pose banae khari thi aur ard gardaire mein khari siyahain khatta khatt apne kamron mein us ki tasveer mein maqeid kar rahe the.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now