part 54

486 23 0
                                    

Jihan ko"Ticket lenay mein khaas der lag gayi. Paanch bajay wali ferry shaam ki aakhri ferry thi, so sayahuron ka saara hujoom ticket ki khirki ke aagay mojood tha. Ab is ke baad agli jahaaz raat ke aath bajay chalna tha aur phir agli subah tak koi jahaaz nahi chalta tha. Jo reh gaya woh jazire pe raat basar kare ya phir tair kar waapas jana paray ga. Agar tum dono issi raftaar se chalti rahi toh ferry nikal jaegi aur tumhein waqai tair kar waapas jana pare ga." Usne un dono ki sust rawayyat per khaas jhinjhla kar bola tha. Jo ab woh qadray khifat se zara tez chalnay lage.

Bandar gah kheecha kheecha sayahuron se bhari hui thi. Woh teeno is raah mein bimushkil rasta banate aage barh rahe the. Jihan aage tha aur woh dono peechay. Ab usay apnay restaurant ki fikar honay lagi thi. Property ki malika ne aakar phir se koi hungama kya tha. Jihan usay is sarey mamlay per qadray pareshan aur mutasif laga tha. Yun ke woh tasurat chhupane ki mukammal koshish kar raha tha. Magar woh us ka har rang ab pehchanay lagay thi.

Woh teeno ferry ki taraf jaatay board ki jaanib barh rahe thay jab kisi ne Haya ki kahani ko zara sa chhua.

"Mom...Madam..."

Woh thak kar khara ho gaya aur gardan mudi.

Us ke aqab mein ek barah baras ka ek tareek larka khara tha. Woh koi thailay wala tha, us ne gardan ke gird aur dono haathon mein bohot say haar aur motiyon ki lariyan doriyon mein baandh kar uthayi hui thi aur ab woh lariyon ka ek gucha Haya ke chehre ke samne kar ke dekhat, tarhib dilanay ki koshish kar raha tha.

Woh kabhi na rukti magar woh motiyon aur un ki chamak itni khubsurat thi ke usay thahar nahin para woh be ikhtiyar woh lariyan ungliyon mein utha kar ulta palat kar dekhnay lag gayi. Woh balon mein porani wali lariyan thi aur itni haseen thi ke chand lamhon ke liye woh lambe balon ki deewani larki ara gird ko bhool baiti.

Dj...Haya?

Jihan door se usay awazain de raha tha. Us ne sar utha kar dekha. Jihan aur DJ ferry ke takhton pe charr chuke thay aur ab jhinjhila hatt bharay koofat se usay bula rahay thay.

"Aik minute!" Woh ungli shehadat utha kar unko ruknay ka ishara karti phir kar jaldi jaldi lariyan dekhne lag gayi.

"Haan?" Us ne doriyan alag kar ke poocha."Tin leira... tin aira.

Yeh toh bohot zyada hain." Usne khofgi se bachche ko dekha. Peechay jihan usay nagawari bhare andaaz mein phir se awaaz de raha tha.

"Tum jao, jagah talash karo, main do minute mein aa rahi hoon." Usne unko mutmain karne ke liye jane ka ishara kiya. Un tak awaaz shayad pohanch gayi thi, tabhi woh dono sar hila kar muray aur ferry ke andaruni rastay ki janib barh gaye.

Ferry nikalne mein abhi teen minute thay aur woh un teen minuteon ko zaya nahi karna chahti thi. Sevan leira... usne hatmi andaaz mein larkay ko kaha aur paisay nikalne ke liye soneri pich kholi. Us se pehle ke woh note nikalti, larkay ne ek dam purs jhapat kar bhaga khara hua.

Lamhe bhar ko usay samajh nahi aayi ke hua kya hai aur jab samajh aaya toh woh... "Recordo mera purse!" Woh chalati hui us ke peeche lipki. Jihan, DJ, ferry us afat mein usay sab bhool gaya.

Larka phurtey se bhagta ja raha tha. Sayah afratafri mein ferry ki taraf barh rahe thay. Kisi ke paas tawajjo karne ko waqt nahi tha. Woh tez qadmon se dourta is larkay ke peeche aayi. Woh bazaar ki taraf mud gaya aur ab ek gali ke aien wust mein khara tha, Haya jaise hi bhagti hui us gali mein dakhil hui, larkay ne chonk kar usay dekha aur phir se bhaga khara hua.

"Ruko... ruko!" Woh ghuse se chalti us ke peeche dour rahi thi. Larka khaas phir tila lag raha tha, magar woh itna tez nahi bhagta tha. Teen galiyan ubor kar woh is rehaishi ilaqe mein dakhil hua aur sirpatt dor ta hua daien taraf ki train ke bangalon mein se ek ka gate ubor kar gaya.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now