pat 55

453 25 0
                                    

Magar jatay Jatay us ne yeh kaam mere zimme lagaya tha.
Woh ab us ki janib kaise akhri mom batti jalarahe thi.
Woh Abdul Rehman ke naam pe hairan nahi hui. Us ne dopehar mein hi us ghar ke bahar gate pe lagi sakhti dekh li thi. Us ke bawajood jab woh bacha us ghar mein dakhil hoa toh woh bhi peechle chali gayi. Woh sirf apne purs ke liye ai thi ya kisi mamay ke hal ke liye woh kisi nateeje pe pohanchne se qasir thi.

Aap ka Abdul Rehman Pasha se kia rishta hai? Woh boli toh us ki awaaz zard roshni ki manind madham thi. Aahista aahista us ka khauf zail ho raha tha.

Main Abdul Rehman ki maa hoon. Unho ne haath mein pakri mom batti mez pe rakhi aur ungli ki pooron pe lagi mom kharchi, phir palat kar us ki taraf ayi.

Abdul Rehman ne tumhe milne ka kaha tha, lekin jab tum ne inkaar kiya toh bhale woh haathon aur daaman ka saaf nahi ho, dil ka itna saaf hai ke woh ruka nahi. Albatta jatay jatay us ne mere zimme yeh kaam lagaya tha ke main tumse mil loon aur tumhe in sawalon ke jawab de doon jo tumhare zehan mein kalbalate rehte hain.

Woh dam sadhe khamoshi se us maqmar aurat ko dekhe gayi, jo thair thair kar bol rahi thi. In dono ke darmiyan rakhi kar nair table par ek photo frame rakha tha. Is mein do chehre muskurare the. Ek wohi maqmar khatoon aur dosra un ke sath ek paints, chhatis baras ka mard, jis ke baal ghanghralay aur lambay the. Aankhon pe mote frame ka chashma tha. Chehre pe chhoti si daadhi jis mein jagah jagah safed baal jhalakte the. Nihayat gahri sanwli rangat ka woh shakhs bohot hi aam sa qabool soorat mard tha.

Us se pehle ke main kuch bataoon, tum agar kuch poochna chahti ho toh pooch lo. Haiya ne photo frame se nigaah hata kar unko dekha, jo muskurati par shafqat nigaahon se usay dekh rahi thi. Woh darwaza band hone pe dar gayi thi magar ab us dar ka shaybha tak nahi tha.
Abdul Rehman Pasha mujhe phool kyun bhejta hai? Safed phool, jo shayad dushmani ki alamat hote hain. Us ke sawal pe woh hole se muskurayi.

Har shakhs ka apna ek andaaz hota hai, shayad woh is tarah phool is liye bhejta hai ta ke tumhein chonkaye, tumhari tawajju Haasil kare.

Magar woh mujhe kaise jaanta hai? Usne apni uljhan samne rakhi, jo usko musalsal pareshan kiye hue thi. Main tumhein yehi batana chahti thi. Unhone ek gehri saans li.

December mein tumne kisi charity event mein shirkat ki thi. Woh Islamabad mein usi waqt usi hotel mein tha. Wahan usne tumhein pehli baar dekha tha aur usi raat pehli baar tumhein phool bheje thay.

Ek dum se us ki do dheai mah ki bechaini ka ikhtitam ho gaya. Use foran se yaad aagaya. Jis raat use Subhanji ki taraf se selection ki mail aayi thi, usi do pehar usne yeh charity event kiya tha, jo Zara ki cousin ki kisi student federation ke taa'awun se munqooz kiya gaya tha. Is mein sheher ke kai businessmen aur doosre baa asar shakhsiyat ne shirkat ki thi. Woh aur Zara bhi yunhi chali gayi thi, yaqeenan use Abdul Rahman Pasha ne wahi dekha hoga. Yeh mumkin tha. Tumhein woh Doli naam ki khwaja saratu yaad hoga. Use Abdul Rahman ne hi tumhare taaqub pe lagaya tha. Doli us ke abba'i ghar ka par ana khadam hai. Barson se hamare saath hai aur woh sirf tumhari madad ke liye tumhare peechay aata tha. Jahan tak talluq hai us major ka, jis ko tum ne us ki maan aur behan ke saamne be izzat kiya tha, us ki madad bhi.

Abdul Rahman ne tumhari video hatwane ke liye hi li thi. Yeh alag baat hai ke is waqt Abdul Rahman is baat se la ilm tha ke woh Major Colonel Gilani ka beta hai. Colonel Gilani jaanti ho, kaun hain?

Usne dheere se inkaar mein sar hilaya.

Colonel Gilani woh thay jis ko tumhare phopha ne mulk chhorte hue apne case mein phansa diya tha. Be gunah hote hue bhi Colonel Gilani ne kai saal saza kai aur go ke woh baad mein reha ho gaye thay. Unhone qaid ki sahoolaton mein lagne wali bimariyon ke haathon zindagi bar di. Us Major ki shadi hone wali hai. Us ne tumhein sirf apne kisi zaati mansoobe ke liye phansana chaaha tha. Magar tum be fikar raho, woh ab tumhein tang nahi kare ga.

To yeh tha saara khail. Ek baa asar shakhs ke apni mohabbat ko palne ke liye istemaal kar dha kuch mahrun ki kahani. Saari ghatiyaan sulajh gayi thi.

Ab aap mujh se kya chahti hain? Woh zara sar daliye mein boli.

Tum yeh ghar dekh rahi ho? Bewaq ada mein is waqt bijli ka koi pole maramat ke bais kaam nahi kar raha, so is ilaqa mein bijli band hai, warna jis ghar mein tum baithi ho, woh bewaq ada ka sab se khoobsurat, sab se aala shan mahal hai.Yeh daulat, yeh shaan o shaukat, yeh taqat, yeh sab kuch aur aik aisa shakhs jo tum se waqai mohabbat karta hai, yeh sab tumhara ho sakta hai, agar tum use qabool kar lo. Agar tum Abdul Rahman se shadi kar lo. Main ne yehi kehne ke liye tumhein idhar bulaya hai.

Haya ne ek gehri saans andar kheenchi.

Aap ko pata hai jab koi shakhs kisi aurat ko azziyat deta hai aur us ki be izzati ka bai'as banta hai to kya hota hai woh aurat us ki izzat karna chor deti hai. Main ne bhi Abdul Rahman Pasha ki izzat karna chor di hai. Main shadi shuda hoon, is liye mera jawab saaf inkaar hai.

Kiya hai, is ek mamooli se restaurant owner ke paas jo Abdul Rahman ke paas nahi hai? Woh zara hairaan hui thi.

Is ke paas Haiya Suleiman hai aur Abdul Rahman Pasha ke paas Haya Suleiman nahi hai. Woh bohot istihza se chaba chaba kar boli thi.

Woh khatoon la jawab ki khamosh ho gayin.

Aur agar woh na rahe, to bhi tumhara jawab inkaar hi hoga? Woh ek dum andar tak kanp gayi.

Yeh dhamki hai?

Nahi, mahaz ek sawal hai.

Mere jawab phir bhi inkaar hoga.

Theek hai, phir tum be fikar ho jao. Abdul Rahman zabardasti ka qail nahi hai. Nah woh ishq mein jogi lene wala shakhs hai. Woh aaj ke baad na tumhein phone kare ga, na tumhara peechha karwa'e ga, na hi tumhare raaste mein aaye ga. Waise bhi woh do dheai mah se qabal India se wapas nahi aaya ga aur us ke aane tak tum ja chuki ho gi. Us ne mujh se kaha tha ke agar tumhara jawab inkaar mein ho to main tumhein is cheez ki guarantee de doon ke woh tumhein ab kabhi pareshan nahi kare ga. Tum ja sakti ho. Aakhri ferry aath baje niklegi, agar tum chaho to ticket ke paisay.

Bohot shukriya. Mere paas paisay hain. Us ne apna clutch uthaya aur tezi se uthi.

Sunno! Tum achi larki ho. Kabhi dobara Bewaq Ada aana ho to idhar zaroor ana, mujhe tum se mil kar khushi ho gi.Magar mujhe nahi ho gi. Woh waapas palat gayi.

Neem tareek raahdari ke doosre sire pe bane darwaze ka naab usne ghoomaya to woh khul gaya. Woh darwaza khol kar bahar aayi. Patthar ban jaane ke khauf se usne peechay mur kar nahi dekha.

Bahar shaam ki neelgoh roshni doob rahi thi. Har soo andher achhaane lage the. Woh darwaza band kar ke aage rosh par aayi. Usi pal bahar se kisi ne safed gate kholaa. Neem andheray mein bhi use woh dono saaf nazar aa rahi thi. Woh tareek mein baatein kar rahi thi, haath mein haath daale chali aayi thi. Wahi gehri jamoni farak wali bachi aur bhure scarf wali bari ladki jis ke bazu mein jungli phoolon se bhari tokri thi.

Woh magn si bachi ka haath thaame chali aayi thi. Use samne se aata dekh kar thithak kar ruki. Haya tez qadam uthate hue sar gaye bhar gayi. Bhure scarf wali ladki ruk kar gardan moday use jaate dekhi gayi.

Bachi ne use jhunjhura, to woh chonki, phir sar jhatak kar andar ki taraf jaate abnosi darwaze ki janib barh gayi.

Haya tez tez qadam uthaate hue sarak ke kinaray chal rahi thi. Samundar ki taraf se aati hui mazeed sard ho chali thi. Neelgoh siyah parhti shaam dam tor rahi thi. Jab tak woh waapas bandar gah par pahunchi, shaam andheray mein badal chuki thi.

Taareek raat, veeran samundar, par asraar jazeera uska dil chahta tha ke koi mehfooz jagah mile to woh phoot phoot kar ro de. Abhi to woh ronay ki himmat bhi nahi kar pa rahi thi.

Raat ki ferry kitne baje aaye gi? Usne ticket ki khidki se jhankaate afsar se poocha. Us ka mobile jihan sath laya tha, magar woh waapas nahi le saki thi aur jihan aur DJ ke mobile numbers usay zubani yaad nahi the.

Aur nahi kahin se call kar leti. Woh chale gaye honge aur pareshan honge. Woh andaza kar sakti thi. Aath baje. Ticket lene jawab dete hue bghor usay dekha, phir sath rakha kaghaz utha kar dekha.

Are you Haiya Suleiman? Pakistan tou rest? (Tourist?) Us ne kehne ke sath woh printout us ke samne kiya, jis mein us ki aur DJ ki aaj do dopahar ki kheenchi tasveer print ki gayi thi.

Lein... AIM... meri ferry nikal gayi thi, kya mere friend's yaad abhi hain? Farat jazbaat se us ki aankhein dhubdba gayi thi. Usne soch bhi kaise liya ke woh usay chhod kar chale gaye honge?

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now