part 56

488 25 0
                                    

Police station... Come to police station.

Aur jab woh police officer Z ke sath police station pohanchi to androni kamray mein use woh dono nazar aaye.

DJ kursi par sir dono haathon mein thamay bethi thi jabkeh jihan ungli uthaye darusti se samne bethay officer se kuch keh raha tha. Officer jo abba nafy mein sir hilate hue kuch kehne ki koshish kar raha tha. Magar woh nahi sun raha tha. Chokhat par aahat hui to woh bolte bolte ruka aur gardan modi. Woh bheegi aankhon se darwaze mein khadi thi. Uski uthi ungli neeche gir gayi, lab bheench gaye. Ek dum hi woh kursi ke peeche se nikal kar uski janib aya.

Kidar the tum?

Uski aankhon se ansoo tap tap girne lage. Main kho gayi thi. Woh bacha mera purse le kar bha gaya to... to adhe bewak ada ne tumhe uske peeche bhagate dekha. Aqal naam ki cheez hai bhi tume ya nahi? Ek purs ke liye tum uske peeche bhageue? Phir bhi chhut jaye gi ya woh tumhe koi nuksan na pahunchade, tumhe us baat ka koi khayal

Tha? Woh ghusse se chilaya.

Kyun nah bhagti main uske peeche? Purs mein mera passport tha, Spanish ka card tha, baad mein pareshani hoti

Aur jo pareshani hamein hui woh... hum is dedh ghante mein pagalon ki tarah pure jazeera pe dhond
Rahe the. Janti ho hamari kya halat thi?

DJ jo uske chalane ke baa'is ruk gayi thi. Ab aage badi aur uske gale lagi. Haya! Tum bilkul pagal ho. Uski ankhain rone se motorma thi woh dono phir rone lagi thi.

Hadd hoti hai ghair-zimadari ki. Ainda mein tum dono ke sath kahin nahi le jaunga. Woh bhanakar kehta wapas police

Officer ki taraf palat gaya. Woh abhi tak ro rahi thi. Use pata tha ke wapsi pe jihan ki bohat si baatein suni
Padegi.
               .................................

Woh dono lakri ka darwaza dhakel kar andar aaye to har sovand hear achha tha. Long room se timtimati zard roshni jhankRahi thi.

Aane! Usne jangli phoolon ki tokri lobby mein rakhe stand par dhari aur bachi ka hath thamay long room ki taraf Aayi.

Sofay par woh mumar khatoon usi tarah bathi thi. Unke hath mein chand note thay, jo woh gin kar alag kar rahi
Thi. Sath hi woh laraka khada un noton ko dekh raha tha.

Salam alaikum aane! Kaise ho Abdullah? Usne bachi ki ungli chhod di aur kandhay se purse utarate hue
Bari meez ki taraf aayi.

Main theek hoon Aaishay, larke ne mumar khatoon ke badaaye gaye note pakre, gine aur bahar bhag gaya. Woh baqi note wapas bato mein rakhne lagi.

Bijli wala pole theek hua? Bato band karte hue unhone poocha.

Wahan banday kaam kar to rahe hain. Abhi gali mein daakhil hotay hue hum ne dekha tha. Abdullah kyun aaya tha? Woh meez ke sath khadi apna purse kholti keh rahi thi. Mera kaam tha. Unhone bachi ka hath thamate hue sar sari sa Jawab diya. Jawab unke sath soofay pe abeethi thi.

Kaam bhi tha aur aane ne usse paise bhi diye Aaishay gull! Tum ne dekha, woh subah Quran parhne kab se nahi aaya, roz

Bahaane bana deta hain. Bachi naak sukodti keh rahi thi.

Apne purse ko khankalti Aaishay ne palat kar khafgi se use dekha.

Buri baat hai Bahaare! Kisi ke peechay uska yun zikr nahi karte. Woh ek nazar us par daal kar waapas apne purse par main se kuch dhoondhne lagi thi.

Aur yeh woh ladki thi na? Chand lamhe mom ki tarah pighal kar gir gaye to usne purse ki cheezen haath se ulta phulta karate

Hue poocha. Idhar kyun aayi thi?

Yeh Abdul Rahman ke maslay hain, woh khud hi nipat lay ga. Unhone taalna chaha.

Acha. Woh udasi se hansi. Yani masla abhi tak nipta nahi hai, kya keh rahi thi?

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now