part 57

515 26 1
                                    

Istiqbal street waise hi rush se bhari thi. Wo dono baazu mein baazu daale tez tez chal rahi thi. Yeh unki dosti ki alamat har gaz nahi thi. Balkay Istiqbal street ke jeeb kutron se bachao ke liye wo apne milay kandhon se purs lardakti thi taake chheenay najaskeen. Haya toh us waqai ke baad bohot muhtaat ho gayi thi. Ab bhi usne apne safaid coat ke oopar purs yun daal rakha tha ke baayein kandhe se strip guzaar kar daai'n pehlu se purs latka raha tha. Baal khule the aur doopta gardan ke gird lapta tha. DJ ne bhi isi tarah shalwar qameez pe siyah labma coat pehan rakha tha.

Burger King mein khoob ghuma ghumi thi. Ishteha angaiz si mehak sare mein pheli thi. Wo dono aage peechay chalte hue kitchen ki taraf khulte darwazay ki taraf aayen. Samne tawil sanchin tha. Idhar udhar apron aur topiyan pehne, do, chaar afrad a, ja rahe the. Ek slab ke saath wo bhi khara tha. Jeans aur shirt pe safed apron pehne, haath mein bara to ka liye wo cutting board pe rakhe gosht ke bare bare tukron ko kata khat kaat raha tha.

"Good morning manager!"

Dono ne chaukhat mein khare ho kar ba awaz buland pukara to is ka tezi se chalta hath roka. Usne gardan utha kar unko dekha, phir sar se paaon tak unka jaiza liya.

Dono jo garaz pehne phooley hue handbags uthaye hue thein. Haya ke haath mein roll kiya hua Istanbul ka naqsha tha aur DJ ke haath mein ek guide book. Goya ke wo poori poori tayyari ke saath aayi thein.

"Good morning!" Wo wapas gosht ki taraf mutwajjah hua aur doosre haath se ek chhoti si stand pe lagi takhti utha kar samne counter pe peech kar rakhi. Us pe likha tha:

"I am busy, don't disturb."

Haya aur Khadija ne ek doosre ko dekha. Phir Haya aur Khadija chaukhat ke saath take lagaye baazu seenay pe lipat zair lab muskurati hue usay dekhne lagi, jabke Khadija muskurahat dabaaye aage barhi.

"Hum top quality police ja rahe hain!" Khadija ne counter ke samne aakar itlaa diya.

Istiqbal street se bahar niklo, taxis se Munichi bus pakro, wo pohanch gayi. Wo sar jhukaye ek haath mein. Gosht ka tukra pakde doosre se khat khat chhada chala raha tha.

"Magar hamein ek hand guide bhi chahiye.""Handsome guide bhi masroof hai. Kisi ghair handsome guide se rabta karo."

DJ ne palat kar Haya ko dekha. Usne muskuratay hue shanay uchkaaya wo wapas jihan ki taraf ghoome.

"Toh aap humare saath nahi chalenge?"

"Bilkul bhi nahi. Tum mein se phir koi top pay ke qalay mein gum ho jayegi aur mera pura din barbaad ho jayega."

"Ek dafa phir soch len. Likh kar de doon?" Wo kehte hue tukron ko ek taraf tokri mein rakhne laga. Uske haath machine style mein chal rahe the. "Acha... ek baat batain, Istiqbal street mein jeeb kutrey hote hain na?" DJ ne uske silver smartphone ko dekhte hue kaha jo qareeb hi charging pe laga tha.

"Haan!"

"Toh samjhein aap ki jeeb kut gayi." DJ ne haath barha kar phone uthaya, taar nikali aur Haya ke saath akhri hui. Phone wala haath usne kamar ke peechhe kar liya.

"Kya matlab?" Usay shadeed qasam ka jhuth ka laga tha. Wo bhaag tha rok kar unhein dekhne laga tha.

"Matlab yeh ke agar aap humare saath top quality police nahi chalien to hum is mobile ko bech kar adha jo aher to khareed lenge. Waise phone achaa rakha hua hai aap ne." Wo ult palat kar mobile dekhne lage. Pakistani rupay mein do, dhai lakh se kam ka toh nahi hoga."

Wo chhira rakh kar unke sar pe aa pahuncha.

"Mera phone wapas karo." Kari nigaahon se unhein dekhte hue usne haath barhaya. "Top qapai se wapsi per de doon gi. Wada!"

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now