part 60

457 27 4
                                    

"Magar tum ne usay phone kar ke bohot ghalti ki."

"Tu bighat rahi hoon na woh ghalti. Us zalim shakhs ne ye nahi socha ke jahan ke paas us restaurant ke ilawa kuch nahi hai aur usne usko tabah barbaad kar diya. Ab yaqeenan woh uski landlady ko shehar de ga ke woh restaurant waapas hasil kar le." Woh sakht nadim thi.

"Tumhein kya lagta hai, woh tum se waqai mohabbat karta hai?"

"Kisi ko aziyat pahunchana mohabbat nahi hoti."

Kuchh deer woh yun hi usi baat ko har pehlu se discuss karti rahi, phir DJ ne haath utha kar hatmi andaaz mein kaha, "Ek baat to tay hai, ab ye mamla khatam ho chuka hai. Woh ab tumhare peechay nahi aayega." Woh sar hila kar uth gayi.

"Haan!" Raat bohot beet chuki thi, ab unko waapas jana tha. Sabza zaar pe chalte dorm block ki taraf barhte hue woh soch rahi thi ke apne maslay kisi ko batane se woh hal nahi hote. Dil ka bojh kisi ke samne halka karte karte baaz dafa hum apni zaat ko hi doosre ke samne halka kar dete hain. Pareshaniyan batane se kam ho sakti hain, khatam nahi, jaise is ki pareshani abhi tak us ke saath thi.

Classroom ki khidkiyon se sooraj ki roshni chhan kar andar aa rahi thi. Subah ki nam ho abar baar sheeshiyon se takra kar waapas palat jaati, Geo Information ke system ke professor apne makhsoos andaaz mein lecture le rahe the. Us ke saath beti DJ bazahir bohot tawajjuh se lecture sunti rajister par likh rahi thi. Woh har chand lafz likh kar sar utha kar professor ko dekhti, zara ghor se un ke agle alfaaz sunti aur phir samajh kar sar hilati dobara likhne lag jati.

Haya ne ek nigaah us ke register par dali. Wahan us ka chalta qalam likh raha tha.

"Tum logon ka spring break ka kya program hai? Kidhar jao ge aur kaun kaun tumhare saath ja raha hai?" Aakhri lafz likh kar us ne gardan seedhi kar ke poore etemad se professor ko dekhte huye register daiyn janib bethe Muatasim ko paas kar diya. Yeh un ki aur Filistiniyon ki waahid mushtarka class thi.

Muatasim ne ek nigaah khule register pe dali, aur phir sar jhuka kar kuchh likhne laga. Jab register waapas mila to us pe English mein"Likha tha: 'Hum Turkey ke tour pe ja rahe hain. Saat din mein saat shehr. Hum paanchon aur Tali. Aur tum logon ka kya program hai?'

"Ab phir yeh Tali!" DJ Koefte se jawab likhne lagi.

"Hum bhi saat dinon mein saat shehr ghoomne ka soch rahe hain."

Usne register aage paas kar diya aur phir zara take lagakar baith gayi.

Muatasim ab safha par chand alfaaz ghis raha tha.

"To humare saath chalona."

"Tum logon ko kab nikalna hai?"

"Pehli chhuti waale din."

"Hum ne doosri chhuti pe nikalna hai, so tumhare saath mushkil hogi. Chalo phir chhutiyon ke baad milenge."

No problem! Muatasim ne saath ek muskurata hua chehra banaya.

Hayadanat par dant jamaye bemushkil jamaiyaan rokne ki koshish kar rahi thi. Use is class se zyada boring koi class nahi lagti thi.

Dafaat Muatasim ne register DJ ki taraf barhayi to us pe likhe alfaaz ko parh kar DJ ne register Haya ke samne rakh diya. Haya ne zara si gardan jhuka kar dekha. Upar usne English mein likha tha, "Translate in Urdu please." Is ke neeche Arabic ibarat likhi thi, "Kif haalak?"

Haya ne qalam ungliyon ke darmiyan pakra aur Urdu hijon mein likha.

"Aap ka kya haal hai?" Aur register waapas kar diya. Muatasim aur Hussain ko aaj kal DJ se Urdu alfaaz seekhne ka shoq chadha hua tha. Is class mein woh yun sara waqt Arabic alfaaz likh likh kar un ko dete the.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now