part 61

408 21 0
                                    

Jo Abba woh zara khare andaz mein darusti se turk mein kuch bola to DJ se kuch kehti hale ne chonk kar kitchen ki taraf dekha.

"Jihan!" phuphone tanbeehi nigahon se use ghoora. Usne jawab mein khasi talkhi se kuch kehate hue botle mez pe rakhi.

Hale ne qadaray bechaini se pehlu badla. Haya uske chehre ke uljhe tasurat bugz dekh rahi thi, woh kuch der baad zara soch kar boli.

"Haya! Istiqlal Street mein aaj Levi's pe sale lagi hai, woh check na kar lein?"

Uthne ka ek bahana. Haya gehri saans le kar khadi ho gayi. DJ aur Anjum Baji bhi kuch kuch samajh pa rahe thi. "Haan! Chalo main zara phupho ko bata doon." Woh kitchen ki taraf aayi. Baqi larkiyan sofaon se apne apne bags uthane lagi.

"Acha phupho! Hum log chalte hain. Humein aage shopping pe jana hai." Kitchen ki chokhat mein khadi ho kar usne Jihan Sikander ko qatayi "nazar andaz karte hue" bataya. Woh fridge ka darwaza kholte kuch nikal raha tha.

"Aray! Abhi to aayi thin. Abhi se ja rahe ho?" Phupho ek malmat zada nigah Jihan pe daal kar tezi se uski taraf aayin. Phir woh israr karte rahi, magar woh nahi ruki. Dobara anay ka wada kar ke woh bohot khush dili se unko Khuda hafiz kar ke bahar nikli. Dhoor meet pe rakhe apne jooton mein paon dalne tak uske chehre se muskurahat ghaib ho gayi thi aur uski jagah spot ki sakhti ne le li thi. Woh un charon ke aage khamoshi se sarak ke kinare chalne lagi. Jab woh colony ka mod mur kar doosri gali mein dakhil hui to woh tezi se balay ki janib ghoomi.

"Hale...! Jihan ne phupho se kya kaha tha?"

"Jhane do Haya! Hale ne nigahain charai. Scarf mein lipta uska chehra qadaray pheeka sa tha."

"Hale! Mujhe batao, usne kya kaha tha?"

"Haya! Woh kisi aur baat par upset hoga. Tum chhoro is qisse ko."

Hale nor choolgha lo! Main tum se kuch pooch rahi hoon." Usne kandhon se pakad kar Hale ko jhunjhortay hue usKa pura naam liya (Choolu yani ke is gaon ki Hale Noor).

"Acha theek hai phir suno. Usne pehle poocha ke yeh kab aayi hain, phir kaha ke unke liye itna phelawa karne ki kya zaroorat hai? Aur usne kaha ke main sara din kuton ki tarah is liye nahi kamata ke aap yun zaya kar dein."

Uske kandhon par rakhe Haya ke haath neeche ja gire. Bohat aahista se woh palat gayi.

"Haya... chhod do!" Anjum Baji ne peechay se kandha thapthapa kar usay tasalli di.

"Chhod hi to diya hai. Aaj ke baad main kabhi phupho ke ghar qadam nahi rakhungi. Main itni arzoo'n to nahi hoon ke mere maghroor rishtedar meri yun to hain karein."

Woh coat ki jebon mein haath dale, seedhe mein dekhte hue unke aage chalti jarahi thi. Aaj uska dil bohot buri tarah dukha tha.

Raat Subanji ke gird-o-nawah par apne par phelaye hue thi. Sabza zaroon par jami baraf ab paani ban kar jheel mein beh rahi thi. Bahar ki taza hawa har so phool khila rahi thi. Dorm blocks ki chokor khatray bahar se roshan dikhai de rahe thay. Raat beet chuki thi, magar hostel jag raha tha. Spring break shuru hone mein chand din hi thay, aur chhuttiyon se pehle ye unki dorm mein aakhri raatein thi phir baari baari sab ko apne apne tour par nikal jana tha.

Khadija, Haya, Tali aur Cherry ke dorm mein rung apne urooj par thi. Haya ki kursi pe sweater land Z k Sara extension ka receiver kaan se lagaye bethi thi. Muskurahat dabaaye, ungli par sonhari balon ki latt lete hue woh keh rahi thi, "Mere favorite color to blue hai. Oh! Tumhara bhi yahi hai Momen?" Woh kehne ke sath bohot muskil se hansi rokiye hue thi. Momen kafi dino se uski tawajjuh lene ki koshish kar raha tha, magar woh usko dikhane ke liye Holland ke latife ke sath nazar aati thi. Latife khalis Dutch aur Catholic tha, magar Afghanistan mein paida hone ke sabab uske maan baap ne uska naam apne kisi Afghan dost Latife ke naam par rakha tha. Youn woh tamam Palestinianon ka bohot acha dost ban chuka tha, siwaye Momen ke.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now