part 74

392 20 0
                                    

Kisi ne us ke munh par haath rakha aur koi sooyi ki nok thi jo us ki gardan ke aar paar kahin kabhi thi. Lamhe bhar ka amal tha. Us ki aankhon ke aage andhere badal chhane lage. Dil-o-dimagh ke sun hone se pehle jo aakhri baat usne sochi thi, woh yeh thi ke koi usay peeche ki taraf ghaseet raha tha... Aur phir...

Har taraf andhera tha.

Usne dheere se aankhein kholin. Badqat palken oopar ko uthi thi, un par jaise bohot bojh saathaa. Har su andhera tha. Gahp andhera. Woh aise pari thi ke kamar deewar se lagi thi aur ghutne seenay se. Woh jaise ek bohot tang o tareek jagah par bohot se samaan ke andar kahin phansi baithi thi.

Usne aankhein chand ek baar jhapkaayin. Manzar waisa hi raha. Andhera, tareeki, bas itna ehsaas hua ke woh kisi tang se kamray mein hai, jahan us ke dono atraaf wazni cheezein ruk rukhi hain.

Usne kahniyon ke bal uthna chaha to daien haath mein kheenchao tha. Usne haath kheenchna chaha. Zara sa loha khanka. Us ki daien kalaai mein hathkari dali thi aur woh deewar se bandhi thi. Usne zor se kalaai ko jhatka, magar be-sodh.

Us ke sir aur kamar mein be-tahasha dard ho raha tha, jaise koi chot lagi ho. Bimushkil woh apne aap par qabu paate hue, doosre haath ke sahare zara si seedhi ho kar baithi. Baien janib koi bojh sa us ke upar girne laga. Usne azaad haath se usay pare dhakela to woh naram sa bojh doosri janib zara si larhak gaya.

Hayane gardan mori. Dard ki ek tmein be ikhti'ar uthi. Us ke labon se karah nikli. Peeche deewar lakdi ke phatton se bani thi aur phatton mein bareek si daraziyan thin. Ab zara aankhein andheray ki aadi hui thin to usay nazar aya. Un darazon se raat ki tareeki mein zardi roshni jhank rahi thi. Woh bad waqt chehra us darz ke qareeb laayi aur aankhein sekad kar jhanka.

Bahar har su samundar tha. Siyah paani jo raat ke is pehar zardi roshniyon mein chamak raha tha. Pul ki roshniyan. Haan, woh pul hi tha. Woh Bosphorus ke samundar par bane is pul ke aas paas hi kahin thi. Magar woh Bosphorus burj nahi tha, woh zara mukhtalif lag raha tha, shayad woh theek se dekh nahi parahi thi.

Baien taraf mojood bojh phir se us par larhakne laga. Usne kooft se usay pare dhakela to us ka haath toot gaya.

Woh nam haath chehre ke qareeb layi aur door se aati roshni mein dekhna chaha. Usay nami ka rang to nazar nahi aya magarHo... woh khoon tha.

Woh mutawakkash si ho kar haath apne kapron se ragarne lagi. Us ka coat us ke jism pe nahi tha. Jo wahi khayal usay us waqt aaya tha, woh bohot takleef deh tha.

Abdul Rahman Pasha ne agwa kar waliya tha.

Zor zor se woh apna haath sunehri sukoon se ragar rahi thi, jab us ki ungliyan zara bhari si cheez se takraai. Woh thahri gayi aur usay dekha.

Us ka chhota sunehri kalesh jo Farak ki belt ke saath nathi thi. Us ke sar mein dard se tees uthe rahe the. Zehan mein apni phupho ki aakhri guftagu gunj rahi thi. Usne shaam mein unhein yaqeen dilaya tha ke raat khane par woh un ke saath hogi. Ab jaane kaun sa waqt tha, phuphone uska intezaar kya hoga aur usay na pa kar... Kya un ke zehan mein aaya hoga ke woh agwa ho gayi hai?

Usne apne azad haath se page khola. Andar us ka patla sa Pakistani phone rakha tha. Unhon ne us ka phone kyun nahi liya, woh samajh gayi thi. Us ka turk phone kheench kar unhone samjha hoga ke woh usay rabte ke har zariye se mehroom kar chuke hain aur Farak ke saath nathi keech par hum rang hone ke bawajood kisi ne ghor nahi kiya hoga. Unhein maloom nahi tha ke us ke paas do phone thay. Magar Abdul Rahman Pasha ko to maloom tha lekin...

Usne screen ko chhua to woh roshni hui. Band kamre mein madham si safed roshni jal uthi. Us mobile mein Mahwish ki mehndi wale roz hi usne balance dalwaya tha aur yeh Pakistani number tha, jis ki roaming on thi. Maloom nahi kitne paise bachay thay, ek call ke to honge. Usne dhadkate dil ke saath balance check kiya. Us mein itne hi paise thay ke woh Turkey ke kisi number par tees second ki call kar sakti bas. Itni si deer mein bhi woh jihan ko apni
suarat-e-haal samjha sakti thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now