part 76

414 20 1
                                    

Nind achi hai lekin ziadti agar achi cheez ki bhi ho to nuqsaan deh hoti hai. Yeh kheeray ka soup hai aur sath nashte haye abhi aankhon pe bazor khay leti rahi. Aur yeh Abdul Rehman ki call hai, woh tum se baat karna chahta hai."

Usne bazu chehre se hataya. Sabz scarf chehre ke gird lapete, neeche sarmei aur gulabi phool daar skirt pe lamba safed sweater pehne woh haath mein pakda cardless phone uski janib barhate hue thi.

"Lo, baat karo uske kam umr chehre pe masoomiyat bharri shafafiyat thi aur uski aankhein jo raat ko haya ko bhori lagi thi, subah ki roshni mein sabz lag rahi thi. Woh duniya ka sab se shafaf, sab se khoobsoorat chehra tha." Mujhe isse baat nahi karni," woh boli to uski awaaz beethi hui thi. Bohat cheekhne ke baais ab gala jawaab de gaya tha.

"Woh keh rahi hai, usse tum se baat nahi karni." Usne phone kaan se laga kar narm lehje mein angrezi mein bataya.

"Woh keh raha hai, ek dafa uski baat sun lo."

"Usse keh do, jo usne mere liye kiya, main uski ehsaan mand hoon, shukar guzar hoon lekin uske badle mein agar woh mujhe yun azziyat dena chahta hai to main abhi isi waqt uske ghar se chali jaaongi." Woh be had khayal se boli. Ayesha Gul ka chehra jowa baywisa hi narm aur shafaf raha. Usne sun kar phone kaan se lagaya aur sari baat mano angrezi mein dohra di. Phir phone band kar diya.

"Woh keh raha hai ke woh India mein zara phans gaya hai, woh idhar nahi aayega aur aaye ga bhi nahi agar tum yeh nahi chahti aur tum jab tak chaho idhar reh sakti ho. Main yahan baith jaaunga," usne cardless meiz pe rakhte hue kursi ki taraf ishaara kiya.

Woh na ajnabiyo se jaldi ghulti milti thi aur na usse Pasha ke ghar walon se raah warsem barhane mein dilchaspi thi magar is larki ka chehra itna narm aur dostana tha ke khud bakhud uski gardan asbat mein hil gayi.

Shukriya." Woh usi madhur muskurahat ke sath kehti kursi pe tek lagakar bethi, safed sweater mein muqaid kanian kursi ke dono baazuon pe rakhi aur hatheliyon ko ek dosre mein phansaye adat se apni ungli mein ghumane lagi."Tumhari tabiyat ab kaisi hai?"

"Theek hai," woh kehni ke baad zara si seedhi ho kar beth gayi thi.

"Tum Abdul Rehman ki taraf se pareshan mat hona, usne kaha ke nahi aayega to nahi aayega. Jo usne tumhare liye kiya, woh uska farz tha. Safir ki family se hamare purane talluqat hain jab tumne safir ko phone kiya to usne foran Abdul Rehman ko approach kiya, yun police ki madad le kar woh tumhein wahan se nikaal laye."

"Mujhe kis ne agwah kiya tha?" woh bohot der baad bas itna hi keh paayi.

"Yahan bohot se aise group hain jo Russia, Maldives aur Ukraine se larkiyan agwah kar ke ya dhokay se idhar laate hain, is ke ilawa un tourists larkiyon ko jo ka taluq kisi ghareeb mulk se ho ke unke ghar walay turki aakar zyada der tak case ka taaqub na kar sakein, unko bhi yeh agwah karte hain. Ek dafa un ke paas pohnchnay ke baad sab larkiyan 'Natasha' ban jaati hain. Aur yeh un Natashas ko aage bech dete hain aur un se white slavery karwai jaati hai."

Usne takleef se aankhein moond li thi. Usay yaad aagaya tha. Natasha, Turkey mein kaam karne wali Russian call girl ko kehte hain.

"Tum chor do yeh sab, apne ghar phone kar lo. Do din ho gaye hain, tumhein un ko apni khairiyat ki ittila deni chahiye."

Usne jawab nahi diya. Bas khali khali nigahon se khidki ke jalidar par dekhti rahi jo ho usay holay holay phar phara raha tha. Us ke paas jawab tha bhi nahi.

"Main aur Bahare jungle tak ja rahe hain, tum chalo gi?"

Usne bina dard ke inkaar mein gardan hila di. Ayesha ke chehre par zara si udasi phail gayi.

"Chalo, jaise tumhari khushi. Aaj nahi to kal zaroor humare saath chalna."

Usne foran khud hi nayi umeed dhoond nikali aur uth kar khadi hui. Nashta zaroor karna. Mehman bhuka reh hai to mizban ka dil bohat dukhta hai." Shaguftagi se kehte hue usne kursi wapas rakhi aur bahar chali gayi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now