part 77

405 19 1
                                    

Wo lhaaf phenk kar tezi se bahar bhagi. Lakri ka gol chakkar khaata zaina usne doratay qadmon se aaboor kiya aur bina kisi taraf dekhe, bahar ka darwaza paar kar gayi. Baghichay mein utar kar gate se bahar nikal gayi.

Raat har suu pheli thi. Barish tar intadar bars rahi thi. Siyah aasman par kabhi kabhi bijli numoodar hoti toh pal bhar ko sadak aur sare bunglay roshan ho jate, phir andhera achha jata. Wo dono baazu seenay par late is barasti barish mein sadak par chalti ja rahi thi. Aasman ke thal goya ult gaye the, barish taratar girti usko bhigo rahi thi.

Uska paon kisi pathar se takraaya to usay thokar lagi. Wo ghutnon ke bal zameen par gir gayi. Hatheliyan chhil gayin, ghutnon par bhi kharashiyan aayi. Usne hatheliyan jharatay hue uthna chaha, kamar mein dard ki shadeed lehar uthi. Wo wapas beth gayi, sadak ke wasat mein.

Pani se uska libaas bheeg chuka tha. Baal motee latoon ki soorat chehre ke ataraf se chipak gaye the, uske andar ki aag sard parne lagi thi. Jumani partay lab kampakapane lage toh wo uth khadi hui. Kisi mamool ki tarah chalti hue wapas us safed mehal tak aayi thi.

Long room ki angithi mein do lakdiyan jal rahi thi. Andhere kamray mein aag aur upar lage madham se zard bulb ki roshni ne ajab fasoon phela rakha tha. Jaate hue usne yeh sab nahi dekha tha magar ab chaukhat par khadi dekhi thi. Aaishay bare sofa par sir jhukaye bethi samne mez par rakhe kaghaz par paimane se lakeer khinch rahi thi. Aahat par usne gardan modi.

"Aao betho." Wo narmi se kehti sofe ke ek taraf ho gayi aur dono haathon se wo lamba sa kaghaz roll karne lagi. "Yeh aag bujha do!" Wo aatish daan mein bhadakate sholaon ko dekhte hue boli toh uski awaz bawak ada ki barish ki tarah gili thi.

Aaishay bintur do ke uthi aur aatish daan ke sath laga sonch ghumaaya. Aag buj gayi. Masnui angaare surk reh gaye jo darasal heater ke rod the jis se bhadakne wali aag us masnui lakdiyon ke upar yun ubharti goya asli lakdiyan jal rahi hoon.

"Ab aao." Aaishay apni baat dohra kar roll kar ke late ka ghudz par rubber band charhane lagi.

Wo mechanical andaaz mein chalti aage aayi aur sofa ke dosray kinaray par tik gayi. Uski nigahain bujhtay angaron parThay jo apna surk rang kho rahe thay.

Apne ghar phone kar lo, woh log pareshan honge.

Mujhe dar lagta hai. Main sab ko face kaise karungi? Aatish dan par jami us ki bari bari aankhon mein sarsimigi teer rahe thi. "Jis Allah ne tumhari pehli madad ki hai, woh ab bhi karega.

Teen din ho gaye hain, ab tak sab ko pata chal gaya hoga.

"Jab tumhara qasoor nahi hai to daro bhi mat," Aaishay ne card leis us ki taraf barhaya. "Agar unhone koi ghalt baat ki toh main dobara nahi kahungi magar ek dafa koshish kar lo."

Usne card leis pakarte hue Aaishay ko dekha. Siyah scarf mein leta us ka chehra madham roshni mein bhi damak raha tha. Ab us ki ankhain gehri lag rahi thi. Siyahi ma'il gehri. Usne wall clock ko dekha. Yahan adhi raat thi toh wahan noo, das baje honge. Ghar ka number usay zubani yaad tha, woh bheegi ungliyon se button press karne lagi, phir phone kan se lagaya.

Aaishay apne paimane, par kaar aur pencil samaat kar chhoti theli mein daalne lagi.

"Hello," Woh Fatima ki awaaz thi.

"Hello amma? Main Haya... " Us ki awaaz mein ansuon ki numi thi. "Kaisi hain aap?

"Main theek hoon, sorry beta! Main tumhe itne din phone nahi kar saki. Asal mein Mahwish ki dawatein ho rahi hain, aaj kal poori family mein, kabhi kidhar toh kabhi kidhar itni mashroof rahi ke roz phone karna hi reh gaya tha.

" Aya... Abba kedar?" Us se bola nahi jaraha tha.

"Woh yahan hi bethe hain, Karachi gaye thay, aaj hi wapas hue hain... Amma aur bhi kuch keh rahi thi. Us ki seene mein atki hui sansain balakhir behal huein. Dikhte sir mein dard zara kam hua.Amma se Phupho ka number le kar usne unhein call kiya.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang