part 82

366 25 0
                                    

Wo Kareemi aayi, Wali pehli bhi aap ne likhi thi, bilkul, lekin aap se likhwai gayi thi?

Ji, wo main ne hi likhi thi. Waise puzzle box khol liya aap ne? Us ne pehli dafa Mujeeb Ahmed ki awaz mein sar sari

Saat jasoos mehsoos kiya. Kya us ki kamzori us ke haath mein aane lagi thi?

Ji, khol liya aur mujhe wo mil gaya jo doli mujh tak pahunchana chahta tha.

Wo balon ki latt ungli par lapeti, baray itminan se keh rahi thi. Apni baat ke ikhtitam par us ne wazeh tor par kursi ke pehayon ki awaz suni, jaise revolving chair par teek laga kar baitha Mujeeb Ahmed current kha kar aage ko hawa tha.

Waqaee? Us ki awaz mein muhtaat si hairat thi. Ji! Pehli aasan thi. Main ne bojh liya. Waise jo us mein tha, wo us waqt mere haath mein hai aur us ne mujh par

Ek bohot hairat angaiz inkishaf kiya hai.

Jo box mein tha, wo aap ke haath mein hai aur us ne aap par ek inkishaf kiya hai? Wo ruk ruk kar us ke

Alfaaz dohra kar jaise tasdeeq chahta tha.

Ji bilkul!

Jo aba wo dheere se hans diya.

Nahi! Aap se abhi tak wo box nahi khula, lekin mujhe aap ka yun zehan istemal kar ke mujhe gher kar kuch aglaane

Ki koshish achi lagi.

Hayanay talamula kar mobile ko dekha. Usay kaise pata chala ke wo jhoot bol rahi hai?

Acha mujhe neend aa rahi hai. Wo zara bezaari se boli.

Aap be shak so jaien magar please phone band mat kijiye ga. Wo jaise iltija kar raha tha.

Jab main kuch bolun gi hi nahi to aap kya sunenge?

Main aap ki khamoshi sunoonga.

Main so rahi hoon. Bye! Aye us ne takye pe sir rakhte hue "jan chhoro" wale andaz mein kaha, magar phir us ne

Waqaee mobile band nahi kiya. Ek haath se phone kaan se lagaye do sar baazu aankhon par rakhe wo kab so gayi usay ilm

Nahi hua.Subah uthte hi us ne mobile check kiya to Major Ahmed ki call ka duration teen ghante aur bees minute likha araha tha. Wo dam bakhud reh gayi. Us ne to badi mushkil se das minute Major Mohammad se baat ki thi, to kya teen ghante wo us ki khamoshi sun'taraha tha? Ajeeb

Aadmi tha yeh bhi!

Phir jis roz us ne Ayesha ke saath in dono behnon ke kamray ki setting tabdeel karne program banaya, is subah us ne jihan ko apna number message kar diya baghair kisi baat ke.

Jab wo Ayesha ke hamrah bada bed andar rakh kar aur chhota bed bahar nikal kar, shower lene ke baad towel ke saath baal thapthapa kar sukhati bahar ayi to bed par rakhha us ka mobile baj raha tha.

"Jihan ka rang".

Amma se jab us ne Jjhan ka number liya tha to sirf mobile mein mehfooz hi nahi kiya balkay zubani yaad bhi kar liya. Agar kabhi

Dobara...

Assalamu Alaikum! Us ne ek dilnasheen muskurahat ke saath phone kaan se lagaya. Dusre haath se wo towel narmi se

Geelay balon mein ragar rahi thi.

Wa Alaikum Assalam! Kaisi ho? Wo bhi dosri taraf se jaise bohat ache mood mein tha.

"Bohat achi aur tum"?

Jaisa pehle tha. Aur tum phone theek kar laiya? Mammi keh rahi thi, tumhara phone kharab ho gaya tha.

Haan, bohat kuch kharab ho gaya tha. Waise abhi ek do din pehle naya phone liya hai. Wo towel kursi ki peeth par daalte hue

Boli.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now