part 83

407 23 0
                                    

Magar kuch to badla hai haya! Woh kaffi ke ghoont lete, zara uljhan se usko dekh raha tha.

Haan, kuch to badla hai. "Woh asbaat mein sar hila kar gaindoun ka karatib dikhate ladke ko dekhne lage. Ek doli tha jo kisi nagar un farishte ki tarah uska pehra deta tha, ek Major Ahmed tha jo uski khamoshi sunne ke liye teen ghante phone kaan se lagaye rakhta tha, ek Abdul Rahman tha jo doosre mulk mein hone ke bawajood uski madad ke liye aata tha aur ek Ja
Jihan Sikandar tha jo uski wazahat par mutma'in ho jata tha, jo uske chehre ke zakhm to dekh sakta tha

Magar un ke peechay uski jali hui rooh usse nazar nahi aati thi, jo nazar ata hai woh to sab dekh lete hain, jo nahi

Nazar ata woh koi koi hi dekh sakta hai aur jihan aise logon mein shamil nahi tha.

Dafata message tone baji to Jihan ne mobile jeb se nikala aur dekha.

"Mein ko bata kar nahi aya tha, unki tafteesh shuru ho gayi hai." Woh paigham ka jawab type karte hue muskura kar kehne laga.

"Tum jitni unki mante ho, mein jaanti hoon."

Woh mujh se kuch manwati nahi hain, warna shayad mein unki waqai manta." Usne paigham bhej kar cell phone wahi meinz par dal

Diya. Haya ne ek nazar uske phone ko dekha.

"To woh someone special kaun tha jis ne tumhein yeh phone gift kiya tha?" Jihan ne mobile utha kar uski taraf
Barhaya.

"To woh someone special kaun tha jis ne tumhein yeh phone gift kiya tha?" Jahan ne mobile utha kar uski taraf

Barhaya.

"Yeh tum rakh lo, mein aur le loonga. Itne sawal poochti ho na tum mere phone ke baare mein?" Haya ne phone uske

Haath se le kar waapas meinz par rakha.

"Baatein ko talo mat. Mere sawal ka jawab do."

"Nahi, tum fikar na karo, kisi ladki ne nahi diya tha. Yeh mera official phone tha, meri job ka phone. Mere boss ne diya

Tha."

"Tumhara boss?" Uski aankhon mein uljhan ubhri. Magar tum to apna kaam karte hona?"

Hamesha se to apna nahi karta tha. Yeh restaurant to dedh do saal pehle khola tha, iss se pehle to bohot si jobs ki hain." Woh zard gendain uchalte bachay ko dekh kar dheema sa muskuraya kar keh raha tha. Iss waqt uski aankhon mein koi aisa narm sa tasur tha jo Haya ne sirf ek dafa pehle dekha tha. Jaise woh kuch yaad kar raha tha. Koi gumshuda kahani.

"Ek baat kahun Jihan? Mujhe lagta hai ke tumhein apni job aur apna boss bohot pasand tha." Woh bhaagor uske chehre ke tasurats ko dekhte hue boli to Jihan ne buri tarah se chonk kar use dekha.

"Tumhein aisa kyun laga?"

"Kyunki abhi apne boss aur job ka zikr karte hue tumhari aankhon mein jo chamak aur jo mohabbat dhar aayi hai na, yeh main ne pehle tab dekhi thi jab tum hamare kitchen mein mujhe iss special gift ke bare mein batarahe the aur ab bhi yeh sab kehtey hue tumhara chehra ek dam se itna glow karne laga ke mujhe laga iss zikr se wabasta koi khaas yaad tumhare zehan mein chal rahi hai."

"Tum to chehre parhne lag gayi ho." Woh jaise sanbhal kar muskuraya.

"Batao na, tumhein apni peechli job bohot pasand thi?" "Haan, bohot zyada bade aish the tab, apni rajdhani, apni jagah ki baat hi kuch aur hoti hai." Woh apne chehre ke tasurats ko hamaawar rakhe. "Dobara kahin."

"Peechay na jane ki koshish kar raha tha."

"To woh job kyun chhod di?" "Baaz dafa insaan ko bohot kuch chhorna parta hai, apni saltanat se khud ko khud jala watan karna parta hai. Inn shehzadon ke jaziron ko Turki mein "Adalar" kehte hain kyunki yahan inn shehzadon ko jala watan kar ke bheja jata tha jo sultan ko apne takht ke liye khatra lagte the." Woh baat ko kahin aur le gaya.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now