part 85

403 22 1
                                    

Is roz sham mein mausam aur bahaar jab apne janane walon mein kisi ki fawatgi par gayi thi to Haya ne ghar thaher na yaad kiya.

Munasib samjha, magar ab tanhai kaat khane ko dor rahi thi.

Woh saara din ikatthi hoti thi, phir raat ko hotel Grand ke guards gate pe aur do guards Jeddah ke sarray pe aakar pehra dete thay to ek tahaffuz ka ehsaas ghairay raha tha. Albata ab woh bohat tanhai mehsoos kar rahi thi.

Pehle toh woh upar astudy mein aagayi, jahan uski tasveeren deewaron pe aawizaan thi. Usay yun apni tasveeren idhar dekh kar hamesha bohot koft hoti thi.

Woh metro station ki seedhiyon ke dahanay pe zara si larkhraai thi. Tooti surkh jooti paon se latak rahi thi.

Woh apne sunehri skoon wale farak mein Pasha ki siyah kaar se nikal rahi thi.

Aur bhi Turkey aur Pakistan ki bohat si tasveeren, Pasha ke banday har pal uska taaqub karte thay. Usay yaqeen tha. Woh be dil se bahar aayi. Usay blackmail karne ke liye usne bohat sa samaan ikhata kar rakha tha. Magar koi kamzori to Pasha ki bhi hogi.

Kuchh soch kar usne gardan utha kar upar dekha. Gol chakkar kha ta lakdi ka zeena teesri manzil tak jaata tha. Wahan Pasha ka kamra tha. Bahaarein baat be baat zikr karti. Raahdari ka aakhri kamra, woh idhar gayi to nahi thi.

Magar janay mein haraj bhi nahi tha. Usay us ghar ke bare mein jitna pata tha achha tha.

Woh nange paon zeene chadhti aur upar aayi. Chaabiyaan ka guchha usne Ayesha ke darwazay se nikal liya tha. Aakhri kamre ka darwaza band tha. Usne ek ek kar ke chaabiyan lagana shuru ki. Chauthi chaabi pe lock khul gaya. Usne dheere se darwaza dikhela.

Woh bohat shahana tarz ka bedroom tha. Unchi chhat, jhilmila ta fanous, deewar gir kharaki ke halkay surmai makhmalon par de.

Qaleen bhi surmai. Sara kamra gehre neelay aur surmai shade z mein arasta kiya gaya tha.

Kamre mein perfume ki khushbu pheli thi. Khushbu par perfume ke be had qeemti hone ki chugli kar rahi thi. Usne dressing table par rakhi nazuk sheeshiyon ko dekha. Ek se ek mehnga perfume idhar rakha tha.

Woh idhar idhar tehlti har shay ka jaaiza lete hue almariyon ki taraf aayi. Ek ek kar ke usne paanchon petKholnay ki koshish ki... Pehle char locks thay. Aakhri khula tha. Usne pet kholaa to andar bohat se qeemti, nafis three-piece suits hangars mein latakay thay. Nichlay khanay mein ek brief case rakha tha.

Usne ehtiyaat se brief case uthaya. Aur bed pe aabaitti. Brief case locked nahi tha. Hayanay usay khola. Andar chand files rakhi thay aur upar ek note pad pe siyah roshni se turki mein kuch naam list ki soorat mein likhay thay. Woh list utha kar parhnay lagi. Tabhi brief case se beep ki awaaz aane lagi. Woh chonki, andar kuch baj raha tha. Usne ghabra aggar jaldi se kaghaz andar daala to ungothay pe ek harf ki siyah roshni lag gayi. Bohat tezi se brief case ko wapas rak kar bistar ki chaadar ki shikan dorsti krti woh bahar nikal aayi.

Kamra lock kar ke jab woh zene utar rahi thi to lounge ka phone baj raha tha. Woh taqreeban bhagti hui neechay aayi aur phone uthaya.

"Hello?"

Jo abba lamhe bhar ki khamoshi chaayi rahi. Phir Air Peace mein se Abdul Rehman Pasha ki awaaz goonji.

"Ayesha kahan hai?"

"Woh dono kisi ke ghar gayi hain." Woh zara sambhal kar boli.

"Aap kyun pooch rahe hain?"

Chand lamhay ke liye woh khamosh raha. Phir bola to uski awaaz be had sard thi.

"Aindah agar aap mere kamray mein gayi ya mere brief case ko kholnay ki koshish ki to apne pairo pe ghar nahi jasakengi, samjhi?" Bohat zebt se bola tha.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now