part 87

405 20 1
                                    

Aaj ki qist delete honay ki wajah se socha kah copy kar loon kisi group se... lekin yeh kya... pehlay safhay se to kuch lafz aur lines hi ghayab thay jo maine add kar diye, iss se aglay dohai safhay saray se hi...

Ghayab...

Agar kisi member ko meri baat se ikhtilaf ho to woh khud check kar sakta hai.

Late post ke liye ek bar phir maazrat.

Usne hairat se box ki us side ko dekha. Jiska rang tapish ke sath siyah ho raha tha aur upar sunehri se alfaz ubhar rahe thay. Woh shayad laashoore tor par chhay harfi lafz ki tawqee kar rahi thi, magar yahan to... Haya ne box aag se hata kar dekha. Us par likhe wo fraz wazeh thay. Woh koi nazmiya sher tha.

Marked on Homer's doubts

A Stick with twin Sprouts

(Homer ke shubhatain par nishaan zada ek chhadi jiska dono kain hoti hain).

Woh abhi in alfaz pe theek se ulajh bhi na saki ke uski nigaah us siyah hoti taraf se munsal jagah par pari. Jo zarasi tapish us jagah ko mili thi, usne wahan chand adhoore haroof zahir kiye thay. Haya ne woh taraf aag ke samne ki. Adhoore alfaz mukammal ho kar ek sher mein dhal gaye.

Round the emeralad crusified

And the Freedom Petrified

(Musallub zada zumarad aur thehri hui azadi ke gird).

Kisi ehsaas ke tehat usne teesri musal deewar ko aanch dikhayi. Box ki teesri taraf bhi kisi jaadui asar ki tarah siyah parne lagi aur upar jaise koi andekha qalam sunehri roshni se likhne laga.

Snapped there a bloody pine.Udhar khoon mein dooba sanobar cheekhta tha aur afaqi ansoo bikhrte thay.

Ab ko dibaar se mutasal do deewaron aur teesri jo ko dibaar ke bilkul mutawazi thi, haroof se bhari ja chuki thi. Baqi upar dakhni ki satah jahan har Euclid ka qoul likha tha, reh gayi thi, ya phir nichli taraf. Usne dono ko aanch dikhayi, magar kuch na howa. Ab sirf code bar wali taraf bachi thi. Haya ne ihtiyaat se us ko angaroon ke qareeb kiya.

Jaise jaise tapish lakri ko choo thi gayi, code bar ke چھ چوکٹوں ke upar sher ubhar ta gaya.

A Love lost in symbolic smell

Under which the lines dwell

(Alamti khushboo mein ek pyaar kho gaya, jis ke neeche lakeeren rehti hain.)

Puzzle box ka aakhri sher.

Aath misron ki nazm poori ho gayi thi. Ab yeh nazm kis taraf ishara kar rahi thi? Yeh us ko abhi sochna tha.

Pehli bar use bure tarah se mutasim ki kami mehsoos hui thi.

Baharein phool chunne ke liye gayi thi aur ab neeche darakhton mein udhar udhar bhagi phir rahi thi. Nicholas ka gham ab tak usay bhool bhulai chuka tha. Woh Aaishay ke sath ek darakht tale chhatai par bethi, us ki hidayat ke mutabiq haath mein pakde lakdi ke tukre ko tarash rahi thi, sahar ki narm si dhoop, sanobar ke darakhton se chhan chhan kar un par giri thi.

Ek puzzle box banane ke liye paanch sau sotay (507) lakdi ke chhote bade tukre darkar hote thay. Khaasa mehnat talab kaam tha. Aaishay ne Anatoliya ke ek gaon mein kisi maimar cheeni karigar se yeh fun seekha tha.

Tumhein vouchers mangwane ki zaroorat nahi thi. Abdul Rahman ki to qeemti tohfe dene ki adat hai. Youn hi baharein ki adatein bigarti jayengi."

Us ki baat par haya ne sir uthaya. Usne dheeli chhoti bandh kar aage ko daal rakhi thi aur chand latain chehre ke atraaf mein jhool rahi thi.Main to apni taraf se dena chahti thi magar usne meri poori baat hi nahi suni. Ab le hi aya hai to wapas kya karna? Woh sar jhuka kar randi lakdi ke tukre par aage peeche ragadne lage. Lakdi ke bar yek roll shuda chhap se neeche gir rahe thay.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now