part 95

446 21 2
                                    

Kar peechay apni mahsina ko dekhna chaha, lecture shuru ho chuka tha, tamam sar jhukne lage thay. Woh us larki ko dekh na paayi, so chehra mor liya. Uske dil o dimaagh sun ho chuke thay. Kisi khwaab ki si kefiyat mein usne likhna shuru kiya. Sab itna aasaan ho ga, usne kabhi tasawwur bhi nahi kiya tha.

Yahi rakkha tha, kahan ja sakta hai. Woh weak and pale aayi thi aur ab Ayesha aur Bahare saari study chhan kar mayoosi se keh rahi thi. Woh bohot qeemti tha. Main use khoone ki muthamal nahi ho sakti. Saath khadi Bahare ka chehra zard o sur jhuka hua tha. Uske haath dheere se chal rahe thay aaj. Shayad woh beemar thi.

Tumhein kya hua Bahare ka phool? Woh Bahare ka pajmurdah andaz kafi der se mehsoos kar rahi thi, so pooche bina reh saki.

Bahare ne gardan utha kar khali khali, khamosh nigahon se use dekha.

Wahi purana masla, subah Bahare ko ek seep mila, jis mein moti nahi thay, halankeh mujhe to aaj ek bhi seep nahi mili.

Ayesha apne ghar se puzzle box kho jaane par bohot udaas thi.

Ab mere seep se moti kabhi nahi niklega. Bahare badi buraai. Woh dono mehsoos kiye bina study table ke darwaz khol khol kar dekh rahi thi.

Woh box Abdul Rehman ke haath na lag jaaye, mujhe is baat ka dar hai. Woh box use nahi milna chahiye Ayesha!

Bahare ki jhuki gardan mazeed jhuk gayi.

Mulaazimah kabhi chori nahi karti, usne bhi box nahi dekha. Kahan dhoondein. Haya thake thake se andaaz mein kursi par gir si gayi. Uska dil bohot bura ho raha tha.

Aye I'm sorry Haya! Ayesha ne udaasgi se kaha. Iss pal kamre mein dabi dabi siskiyan goonjne lagi. Haya ne chonk kar Bahare ko dekha. Woh sar jhukaye hule hule ro rahi thi.

Bahare! Kya hua? Woh dono bhag kar uske paas aayein. Bahare ne bheega chehra uthaya. Woh box Abdul Rehman ke paas hai. Usne mujhe tumhein batane se mana kiya tha. Kya? Woh saans lena bhool gayi. Ayesha khud shashd ressi khadi reh gayi.Magar mujhe pata hai keh usne woh kahin rakha hai. Main tumhein laa deti hoon. Bahare ek dam uthi aur bahar bhag gayi.

Woh dono sakht, shashdar hi apni jagah khadi thay.

Panch minute baad hi Bahare waapas aayi to uska bheega chehra khushi se chamak raha tha. Uske haath mein puzzle box tha. Woh yeh lo, tumhari amaanat. Usne box Haya ki taraf barhaya. Bahare gul! Haya Saliman tum se bohot pyaar karti hai. Usne be ikhtiyaar jhuk kar us nanhi pari ke dono gaal choohe aur tum use daantna mat. Sach bolne par kisi ko daanta nahi karte. Usne saath hi Ayesha ko keh diya tha, jo Bahare se zara si khaufnaak rahi thi, magar uski baat samajh kar muskuradi.

Haya ka puzzle box hi hai, us mein koi shak nahi tha.

Aanay kisi ke ghar gayi hui thi. Khana khane ke baad woh Haya ko waapas chhorne ke liye ghar se nikal aayin. Bahare qareebi club se Abdul Rehman ka ghoda le aayi thi aur ab us par beti in dono ke aqab mein chali aayi thi.

Usne Abdul Rehman se riding sikhayi hai. Bahare se achi riding pooray andaaz mein koi bhi nahi kar sakta.

Woh bas muskura kar reh gayi. Abdul Rehman ka naam woh aakhri naam tha, jo us waqt woh sunna chahti thi. Usne uska box kyun rakha, woh yahi samajhne se qasir thi.

Tum peh yeh scarf bohot acha lagta hai Haya! Usay kabhi mat chhorna.

Nahi chhodungi. Main Spangi se jeet gayi, main Aata Tark se jeet gayi, mujhe aur kya chahiye.

Tumhein kuch bhi chhodna pare, usay mat chhodna! Ayesha ne dha rayya. Haya ne muskura kar sar hila diya.

Unke aqab mein ghode ki peeth par beti Bahare ne achambhay se Ayesha ko dekha tha. Uski behan itne asraar se apni baat dha raty to nahi thi, phir ab kyun?

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now