part 100

510 20 3
                                    

Jay ke saath class mein khaane ki aadat.

Rostrum ke aqab mein deewar is khoobsurat banner se dhaki thi, jis par English mein chhupa tha "Face Veil Mandatory or Recommended".

Usne do ungliyon aur angoothe ko packet mein daal kar chand dane nikale aur munh mein rakhe. Woh scarf kar le, yeh uske taqwa ki inteha thi. Sawal chehre ka naqab wajib tha ya mustahab, kya farq parta tha? Seminar English mein tha. So dis sanbhaale khadi Meron scarf wali Arabic khatoon English mein he keh rahi thi.

"Wajib woh cheez hoti hai jo karein to sawab, na karein to gunah, jabke mustahab woh kaam hain jo karein to sawab, magar na karne par gunah nahi hai. Ab is baat par to sab raazi hain ke ladkiyon ka sir aur jism dhakna wajib, lekin kya chehra bhi dhakna lazmi hai?

Haya ke daiyn janib glass walay par ekdam se koi parinda atak kar aya tha. Woh chonki. Woh nahi si chidiya thi jo sheeshe se takra kar neeche gir gayi thi.

Jab mein kehti hoon ke chehra dhakna wajib nahi, sirf mustahab hai to iski wajah woh hadees hai ke jab Hazrat Asma bint Abu Bakr, Rasool Allah صلى الله عليه وآله وسلم ke paas aayi aur unka libaas zara barabar tha to Aap صلى الله عليه وآله وسلم ne farmaya ke "Asma! Jab ladki jo woh ho jaati hai to siwaye is aur is ke (chehre aur haathon ki taraf ishaara kar ke kuch nazar nahi ana chahiye. Is se zahir hota hai ke chehra khula rehne pe gunah nahi hota.

Giri hui chidiya ab sanbhal kar farsh par phadak rahi thi. Chand ek baar usne sheeshe ki deewar par panje maarkar chadhne ki koshish ki, magar nakam rahi.

Aur phir jab Hajj ke moqe par ek ladki jo oont par sawar aap se bachche ke Hajj ke bare mein poochh rahi thi to Aap صلى الله عليه وآله وسلم ke peechhe khade Fazl رضي الله عنه laashoory tor par us ladki ke chehre ko dekh rahe the to Aap صلى الله عليه وآله وسلم ne haath peechhe kar ke Fazl رضي الله عنه ka chehra doosri jaanib pheer diya, jabke us ladki ko chehraDhaknay ka nahi kaha. Dusri taraf aap Salallaho Alaihe Wasallam ke zamana mein azwaj mutahararat aur Sahabiyat jo hijab odhti thi, woh mustahab ke darje ka tha, wajib ka nahi. So jo Surah Noor mein hai ke woh apni zeenatain chhupayein, siwaye is ke ke jo khud zahir ho jaye to us "jo khud zahir ho jaye" mein surmah, angoothi waghera ke saath chehra bhi shamil hai.

Chiriya phar pharati hui kab ki ud chuki thi. Woh moong phali chhaatay hue sir astbat mein hilaati muqarrar ko sun rahi thi. Woh mazeed chand dalail de kar apni kursi par wapas ja chuki thi aur tab tak woh mutmain ho chuki thi. Usay unki saari baat theek lagi thi.

Main doctor Fariha se ikhtilaf ki jasarat karungi. Dias par anay wali grey scarf wali muqarrar apni baat shuru kar chuki thi. Woh darasal behas thi. Haya aur hale bari bari apni packet mein ungliyan daal kar moong phali nikalti hue, poori tarah unki taraf mutawajjah thi.

Rahi Asma bint Abu Bakr رضي الله عنها wali hadees, us ki tashreeh to muharram rishton ke lehaaz se bhi ki jasakti hai ke woh Rasool Allah صلى الله عليه وآله وسلم ki saali thi aur usi hadees se hum daleel lete hain ke behnawi se chehre ka pardah nahi hota aur Hazrat Fazl رضي الله عنه والا waqia Hajj ke moqe ka tha aur Hajj par Aap Salallaho Alaihe Wasallam ne sakhti se niqab ya dastane pehnne se mana farmaya tha. Jis se zahir hota hai ke niqab karna us zamane mein ek ka maan practice thi.

Do fakhtain tezi se urti hui aayin aur sheeshe ki deewar se takraaien. Hayanay gerdan mor kar dekha. Woh ab takra kar neeche ja giri thi aur agle hi pal uth kar ud gayin.

Hazrat Aisha رضي الله عنها kehti hain ke jab giraabanon ko dhanp lene ka hukm nazil hua tha to Madinay ki aurton ne woh hukm sunte hi apni odhniyan hisson mein phaari aur sar se paon tak khud ko us se dhanp liya. Yahan dhanpne se muraad chehra dhanpna bhi hai. So "jo khud zahir ho jaye" mein angoothi, surmah, jooti to aati hai, magar chehra nahi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now