part 107

384 16 3
                                    

Haya darwaza kar ek taraf khari ho gayi, saaf suthar guest room. Kuch khao ge? Usne chokhat par khare kisi rasmi mizban ke lehje mein poocha. Jihan ne bag bed par rakha aur sath baitha.

Bas ek cup chai. Mere sir mein dard hai. Woh jhuk kar jo gurz ke tasme khool raha tha. Woh ulte qadmon waapas palta. Chand minute baad jaldi jaldi chai bana kar laayi. Woh bed par neem daraaz aankhon pe bazoor khaye hue tha. Chai! Usne cup side table par rakha. Woh hila tak nahi.

Jihan!

Magar woh so chuka tha.

Haya ki nigaahen uske paon par pheli. Jo gurz ke tasme khool chuka tha, magar utaare nahi. Pata nahi kyun usey tars sa aaya. Shayad woh thaka hua tha. Shayad bimar tha. Usne ae siyaan kiya aur darwaza band kar ke bahar aayi. Subah woh der se uthi. Lounge mein aayi to phupho aur Fatima chai pe rahi thi. Gyarah baj chuke the. Noor Bano! Mera nashta Anwari Bano ko pukar kar woh unke paas aayi. Fatima Lahore walon ka tazkira kar rahi thi.

Aap log kab aaye?

Subah aath bajay pahunch gaye the. Tum soorhi thi. Fatima muskura kar kehne lagi.

Hoon, achha! Jihan uth gaya? Haya ki nigaah seerhiyon ke oopar pheli to yun na labon se nikla. Woh dono ek dam usey dekhne lagi.

Jihan?

Adhaa... D*m seedhi hui. Woh subah pahunch gaya tha. Upar kamre mein hai. Aap ko nahi pata chala?

Nahi... Woh aaya? Sabina Sikander ke chehre par ek dam chamak si ubhri. Khushgawar si hairat. Woh baap ke janaze ke teesre din pahunch raha hai, magar idhar koi naraz nahi.

Ji mein dekhti hoon. Woh khud hi uth aayi.

Upar uske kamre ka darwaza khula to yakh bastha ho chuka tha. Ae siyaan tab ka aan tha. Usne jaldi se ae siyaan band kiya.Aur pankha chala diya.

Jihan usi halat mein jooton samet leta tha. Aankhon par bazoor khaye. Woh shayad neend mein bhi kisi ko apni aankhein nahi padhne deta tha. Tapai pe dhari chai purani aur thandi ho chuki thi. Socha, uthaale, phir khayal aaya ke rehne de.

Isko pata to chale ke woh uske liye chai le aayi thi.

Woh do dopahar ke khanay tak bhi nahi utha. Phupho usko disturb nahi karna chahti thin, so uske uthne ka intezaar kar rahi thin. Seh pahar mein Zara aagayi. Mausam achha tha. Dono ne shopping plan kar li, magar jab woh abaya pehen kar bahar aayi to phir se action replay shuru ho gaya.

Tumne abaya kab se lena shuru kar diya?

Wahi hairat, sawal, tafteesh, tashweesh.

Ek lamba aur jamea sa jawab de kar bhi usse laga ke Zara ghair mutmain hai aur ghair aaram dah bhi. Shopping karte, jootay dekhte, kapray nikalwate aur phir aakhir mein Raahat Bakery ke samne parking lot mein baithe "Scope" ka splash peete hue Zara bar bar ek ghair aaram dah nigaah us par daalti. Jo poore itminan se abaya aur naqab mein baithi, splash pe rahi thi.

Yaar! Chehre se to utar do.

Zara! Mera na dam ghat raha hai, na hi marne lagi hoon. Main bilkul comfortable baithi hoon. Agar tum nahi ho to batao. Woh ek dam bohot sanjeedgi se kehne lagi.

Woh Haya Saleemani thi. Woh Ayeshe Gul ki tarah har baat narmi se sah jaane wali nahi thi. Jab woh apne zamana-e-jahiliyat ke libaas par kisi ko bolne ka moqa nahi deti thi to ab naqab par kyun kisi ko bolne de? Sirf hijabi ladki sabr kyun kare? Uski raaye mein bohot zyada chup rehne ko bhi kamzori samjha jata tha.

Nahi, nahi! Main to tumhare liye keh rahi thi. Zara zara muu khula gayi thi.

Woh sar jhatk kar splash peene lagi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now