part 108

382 21 0
                                    

"Thi. Kisi ka do pata baar yak tha. Us ka ek joda bhi 'Ideal Hijabi Libas' pe pura nahi utarta tha.

Dusri almari ko lock laga tha. Us ne chaabi nikalne ke liye press mein haath dala to ungliyan makhmalain dubi se takraai. Woh muskura uthi. Major Ahmed ka challenge doli ki amanat.

Us ne dibi kholi. Siyah U.S.B andar mahfooz rakhi thi. Puzzle box khul gaya. Jawahar kala kar bhi khul gaya, magar is lock ko kaise kholay? Aakhri lock. Us ki to pehli bhi nahi thi, magar pehli honi chahiye thi. Major Ahmed ne pehli ke baghair kabhi koi puzzle usay nahi diya tha. Woh taalay ke saath us ki chaabi bhi hamesha diya karta tha.

"Ooh... dibi to mein ne dekhi hi nahi." Ek dum usay khayal aya.

Woh bed par abeethi aur flesh bahar nikali. Woh saaf thi. Koi lafz, nishaan waghera nahi. Ab us ne dibi upar neeche se dekhi. Kuch bhi nahi. Us ne andar rakhe makhmalain qom ko ungliyon se pakar kar bahar nikala. Neeche dibi ke peende pe siyah mahmal ka ek aur tukra rakha tha. Us ne tukra nikal kar palat kar dekha.

Wahan sunehri dhage se do alfaaz silay thay.

Story Swapped

"Story Swapped?" Us ne uchnbhe se dehraya. Yeh flesh drive ki pehli thi us ko hal kar ke hi woh aakhri tala ki khel sakti thi. Magar is satr ka matlab kya tha? Keh kahani ko 'Swap' karne se kya murad hua bhala? Kya yeh satr Angrezi Grammar ke lehaz se durust bhi thi? Adal badal ki gayi kahani? Kahani ko Swap karne se murad to yehi hota hai na! Keh aap apni kahani kisi ko parhne dein aur woh badle mein apni kahani aap ko parhne dein. Is ajeeb si satr ka yahi matlab nikalta tha. Magar kaun si kahani?

Shayad Professor Google kuch kar sake. Yehi soch kar us ne computer on kiya aur Google pe yehi alfaaz likh kar dhoonda, magar la hasil. Do mutfarraq se alfaaz thay jin ko Ahmed ne jama kar diya tha. Yeh kul barah haroof thay, so password nahi ho sakte thay, magar password un hi mein chupa hua tha.

Raat sone se pehle tak woh un hi do alfaaz ko sochti rahi thi. Magar kisi bhi nateejay pe pohanchne se pehle hi neend agayi.

Arma ki mangni ka function Tayya Furqan ke laan mein manqoob kiya gaya tha. Function khawateen ka tha. Mardon ka intezam bahar tha, magar tayar hote waqt woh janti thi ke yeh function bhi itnaha segrigated hoga, jitna da aur bhai ka mehndi ka function tha.

Braaye naam "Zanana Hissa" jahan writers, movie makers, ladke cousin, sab aajarenge honge. Pata nahi, phir."

"Becharay baqi mardon ko alag kyun bitha ya jata tha, ya phir aisi shadiyon ko segregated kehne ki munafqat kyun thi? Society ke... ma'yaraton jin par koi ungli nahi utha sakta tha. Us ne apni bees saalih zindagi mein kabhi koi mukammal segregated shadi nahi dekhi thi. Tayya ki sakhti thi ke mangni pe dulha nahi aayega, angoothi saas pehnayegi, magar jo khandan ke ladke kaam ke bahane chakkar laga rahe honge, un par koi pabandi nahi thi.

Bahar woh abaya leti thi. Usoola usay idhar bhi abaya ya lena chahiye tha, magar mangni ka function braye naam hi sahi tha to segregated. Ladke waghera thay, magar woh zara door thay. Woh mukammal tor par mixed guede rang nahi thi.

Abaya ka maqsad zeenat chhupana aur chehra chhupana hi tha to woh yeh kaam apne libas se bhi kar sakti thi, so us ne abaya nahi liya, magar libas ka intikhab abaya ke mutabadil aur mutradif ke tor par kiya.

Kachay saib ke rang ka sabz paon ko choo ta farak, neeche trousers aur kalaai tak aati aasteen. Yeh ek mashhoor brand ka joda tha aur us ke saath net ka dupatta tha, so us ne alag se bara sa dupatta banwalya tha, kachay saib ke rang ka. Yun gale ka kaam dupatte mein chhupa gaya. Chehre ke gird bhi do pata yun lapeta ke woh peshani se kaafi aage tha. Kaan bhi chhup gaye. Sahulat thi ke kisi aadmi ko dekhte hi woh thori se ungli dupatta pakar kar upar le ja kar naqab le sakti thi. Yun abaya ke baghair bhi zeenat chhup gayi, naqab bhi ho gaya aur acha libas bhi pehn liya. Bethi bhi zara kone ki meez pe thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now