110

355 22 0
                                    

"Yani ke Tinder ki neelami hai aur hamein neelami jeetni hai? Usne dabay dabay josh se uski baat kahi. Guzarte guzarte kabhi koi soap serial dekhti thi to usmein amooman Tinderz ki neelami ho rahi hoti aur mukhalif companies boli laga rahi hoti hain. So kam az kam kuch to pata tha usay construction company ke mutalliq. Baqir Sahab lamhe bhar ko khamosh hue, phir

Nafi mein sar hilaya.

Nahi mam, Tinder ki neelami ka mamla nahi hai.

Acha! Usne khufat chhupate hue sar hila diya. Ab wo darmiyan mein nahi bolengi. Khamosh reh kar bas sunegi.

Asal mein ek group trade center banana chahta hai. Wo is ke liye mukhtalif companies ke ideas dekhna chahte hain ke kaun unki zameen ko behtareen taur par istemal karke trade center bana sakta hai. Agar hamara idea upper wow ho gaya to project hamein mil jayega. Main head architect ko bhejta hoon. Wo aap ko mazeer brief kar denge. Baqir Sahab moadab

Andaz mein uthate hue bole.

Head architect Rizwan Baig Sahab darmiyan-e-umer ke tajruba kar insaan the, magar unka andaz yun tha, goya unke samne koi unpadh ladki bethi ho, jis ko brief karna wo apni shan mein toheen samajhte hain. Jan boojh kar mushkil

Istilahat istemal karte hue wo bohot la parwahi se us ko apna kaam dikha rahe the.

Yeh trade center hai, yeh park king lot hai, yahan hum yun karenge, yahan yun... Haya usi andaz se kamar seat se tikaye hathon melay bethi bohot tahammul se us ki baat sun rahi thi.

Ab aap ko to itna pata nahi hoga mam! Bahar hal yeh itna shandar project plan hai ke imarat dekhte hi gahak foran car

udhar park karega aur shopping shuru karega.

Kher! Main to is maut ke kunwon mein kabhi car park nahi karun gi. Car ko kuch ho gaya to Rohail kabhi nahi chhode ga ke wo us ki car thi, magar ab to Rohail ne bohot kuch chhod diya... aur car to jjhan ke paas thi. Pata nahi,

woh is waqt kya kar raha hoga. Uff Haya kaam par tawajju do.

Wo sar jhatak kar us ki taraf mutawajjah ho gayi. Design ki usay waqai kuch samajh nahi thi, lekin agar wo itne qabil architect us ki itni tareef kar rahe the to yaqeenan wo bohot acha hoga, wo qail ho gayi.

Board of directors ki meeting us ki tawakku se zyada buri rahi."Jab wo conference room mein dakhil hui to conference table ke dono atraaf kursiyo ki qataron pe soot'd booted afraad muntazir se bethe thay. Sarbarahi kursi khali thi. Wo file sanbhalte tez tez qadmon se chalti kursi ki taraf aayi. Koi uske liye khara nahi hua. Usne meez par purse rakha aur kursi sanbhalte hue file kholi phir gardan utha kar dekha to sab mard hazraat usi ki taraf mutawajjah thay. Taaya Farqan, Chacha Zahid Chacha, Dawar Bhai Walid aur chand ghair shanasa chehre lamhe

bhar ko us ka ittemad danwa dol hoa.

Jo ladki itna kuch tanha sahti hai. Wo bohot mazboot ladki hoti hai. Usne foranse khud ko sanbhal lia.

Tamheed ke baad wo apne azli ittemad aur do tok andaz mein kehne lagi.

Suleman Asghar ki attorney in fact hone ke natay mein unki sehat yaabai tak mein unki seat sanbhalon gi. Mujhe umeed hai ke kisi ko i'tiraz nahi hoga.

I'tiraz to kher hai, magar kya kya ja sakta hai? Taaya Farqan ne nagawari chhupane ki koshish kiye baghair haath jhala kar kaha. Usne gardan mor kar bohat sanjeedgi se unhein dekha. Ji sar! Main jaanti hoon ke bohat se logon ko i'tiraz hoga, magar chunkeh aap mere saath hain, is liye mujhe un ki parwah nahi hai. Ab kaam ki baat par aate hain. Usne unko kuch is tarah se ghera ke wo nah haan kar sake aur nah naan. Wo
meeting ke maqasid ki taraf a gayi.

Uski ghalt fehmi thi ke Walid dobara us ke raste mein nahi aayega. Walid samait taqreeban sab hi hattay ke Dawar Bhai bhi tamam arsey mein us se baat be baat sawaal karte rahe. Jaan boojh kar confus karne wale sawal aur us ki tawajjuh pe istehza'i andaz mein sar jhatk dia jata. Gussa aa gaya, magar use Ayesha Gul ki achi ladki ki tarah tahammul se kaam lena tha. Lekin aakhir mein us ka sabr jawab de gaya, jab Dawar

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now