112

400 25 2
                                    

"Assalam-o-Alaikum, Zeshan Uncle, main Haya baat kar rahi hoon.

Car traffic ke saath bahti chali ja rahi thi. Issi tarah uske tension aur pareshani kaafi barh rahi thi. Inse baat khatam ki to office se phone aaya.

Vendor mall ki supply kholne par taiyar nah tha aur purani qeemat par to hargiz nahin. Sarasar black mailing thi aur black mailers se to usay nafrat thi. Kal meri meeting arrange karwadein Vendor se. Main unse khud baat karna chaungi. Iss ne band kar diya. Car restaurant ke samne aakhir hoee thi.

Wo Italian restaurant ki upper floor ki seedhiyan chadhti oopar ai. Dopehar ka waqt tha. Tamam mezaain khali thi. Hall ki ek deewar sheeshe ki bani thi, jis se neeche double road aur uske paar green belt ke darakht aur sabzah nazar aa raha tha. Sheeshe ki deewar ke saath kone ki meez pe wo baitha tha. Usay aate dekha kar, wo dheere se muskuraya.

Wo bina kisi dikkat ke usay naqab mein pehchaan leta tha. Pehli dafa jab wo naqab mein uske paas gayi thi, Freedom Flotilla ke intiqal ke din, tab bhi usne koi hairani zahir nah ki thi. Shayad wo hairan kam hi hota tha.

Pehle faisla kar lo lunch kis ki taraf se hai? kursi kheench kar beth te hue, meez pe usne apna purse rakha.

Of course tumhari taraf se hai. Asghar and Sons ki qaim muqam MD mujhe ghareeb aadmi ko lunch to karwa hi sakti hai.

Sure! Usne bhashat se kehte hue mobile rakhne ke liye purse khola. Mahmal ka tukra androni jeb mein hazaar ke note ke saath rakha tha.

Hazaar ka note? Wo zor se band karte hue chonki. Phir namahsus andaaz mein purse ko andar se dekha. Uska raipuon wala pouch office mein hi reh gaya tha. Ab siwaye Lawarish se us neele note ke uske paas kuchh nahin tha. Allah, Allah!

Karobari uljhnon mein pouch uthana yad nahin raha. Ab kya kare? Kya hua? MD Sahiba! Paisay to nahin bhool aaye? Wo muskuratay hue usay dekha raha tha. Ek to us aadmi ki aqabi nazrein, us ne sanbhal kar purse band kiya.

Tum MD Sahiba se aisi ghair-zimmedarana harkat ki tawaqo kar sakte ho?

Bazahir muskuratay hue wo seedhi hui. Nahin! Khair order karo. Tumhara sheher hai. Tumhein zyada pata hoga. Wo peechay ho kar betha gaya.

Haya ne Sure kehte hue menu card uthaya. Us ko lunch karwana tha aur wo bhi hazaar ke note se. AT&M bhi pouch mein tha aur wo koi aisi harkat nahin kar sakti thi, jis se jihan ko pata chale ke wo paisay waqai bhool aaye hai, warna adaaigi kar dega. Sawal Ana ka tha.

Lekin ek haz mein usay Italian lunch kaise karwaun?

Usne qadray izterab se fehrist dekhi.

Suno! Sirf main course mangwana, salad, starter aur drinks ke faltu expenditures mujhe pasand nahin hain. Wo kursi ki pesh se teekh lagaye, muskurahat dabaaye usay baghor dekhta keh raha tha.

Okay! Mujhe to koi khaas bhook nahin hai, dil hi nahin chaa raha. Order de kar usne card rakh diya. Jihan ne muskurahat dabaate hue samajh kar sar hila diya. Chand lamhe khamoshi ki nazar ho gaye. Wo sheeshe ki deewar se bahar dekhne lagi.

Us sheeshe se to koi parinda nahin aatak raha tha. Shayad parinde tameer ke baad sirf pehle mosam mein takrate hoon. Baad mein aadi ho kar raasta badal lete hoon. Raasta parindon ko hi badalna parta hai, deewar to waisi hi khadi rehti hai.

Kal kya hua tha?

Haya ne nigaahain mod kar usay dekha.

Ab tak tum ne pata to kar hi liya hoga. Behr haal Tayya ne saare khandan ke samne...""Meray parde ki wajah se be izzat kiya, tamasha banaya aur ghar se nikal diya. Iss ke ilawa kuch khas nahin.

Jihan ne qadaray tasif se inkaar mein sar hilaya.

Purani aadatein aasani se nahin jaati. Iss tarah logon ko zaleel karne ke woh aadi hain. Kitna aasan hai un ke liye apni ana ke peechay rishte tor dena.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now