113

347 18 0
                                    

"Logon ne mujhe is liye chhoda, kyunke maine Allah ko nahin chhoda. To mujhe waqai aise logon ka sath nahin chahiye.

Usne ankhein kholi. Woh waapas palat raha tha. Usne dhundli basarat se gardan mod kar us shakhs ko seerhiyan charhtay dekha, jis se uski zindagi ka ek hissa mohabbat karne mein guzra tha. Woh upar chala gaya, magar haya usi tarah se seerhiyon ko dekhti rahi.

Chand minute baad woh utar ta dikhai diya. Uska dasti bag uske haath mein tha. Woh bina uski taraf dekhe, bina kuch kahe, bahar nikal gaya. Usne usay nahin roka, awaaz tak nah di. De hi nahin saki. Aansuon ne har rasta roka ya. Woh ja raha tha. Woh jaane ke liye hi to aaya tha.

Woh ja raha tha. Woh jaane ke liye hi to aaya tha.

Usne bheega chehra khara ki taraf mod aya. Woh ab usay tez barish mein subuk qadmon se lawn guzar raha nazar araha tha. Buchhad usay bhigoo rahi thi magar usne us se bachne ke liye bhi sar par kuch nahin tata tha. Gate ke qareeb pohanch kar woh lamhe bhar ko ruka aur palat kar dekha.

Haya ka dil doob kar ubhra. Rukhsar par behate aansu mazeed tezi se ladhakne lage. Jihan ne aakhri bar palat kar usay nahin, balke upar apni maa ke kamray ki khidki ko dekha tha, chunkay phupho udhar nahin thin, so agle hi pal jihan ne gardan

dharasi taya farqan ke ghar khulne wale darmiyani darwaze ki taraf modi uski maa wahan thi.

Usay ab bhi sirf apni maa ki fikr thi. Phir woh mura aur gate khol kar bahar nikal gaya. Haya palatne lagi, tab hi usay bahar darmiyani darwaze ki oot mein kuch ghayab hote dikhai diya. Gulabi aur peela anchal. Eram ka dupatta jo woh pehchanti thi. Yaqeenan rram udhar ai thi aur woh sab sun chuki thi. Usne gehri, thakn zarra si saans andar ko kheenchii.

Eram kis silsile mein udhar ai thi, woh nahin janti thi, nah hi yeh ke jihan ne usay dekha tha ya nahin, magar woh itna zaroor janti thi ke woh waapas ja kar tamam rishta daro ke beech khari ho kar sara qissa mazay se dehraaye gi. Quran

khwani ki taqreeb mein rang bhar jaaye ga.

Gosip ka ek naya mawadha.

Lounge mein darwaza ammaa pura band kar ke nahin gayi thin, sawa se yeh kham khayali har ghuz nahin thi ke eram ne kuch nah suna hoga. Bas chand hi minute pore khandaan ko pata chal jaye ga ke haya ne jihan ko gawa diya hai. Woh haya ke parday se tang aakar usay chhod kar chala gaya hai. Woh thake thake se andaz mein waapas sofa pe agrai. Khidki ke sath sabz si bottle ki karchiyan abhi tak bikhri thin. Usmein unhein uthane ki himmat nahin thi usmein abhi kisi shay ki bhi himmat nahin thi. Usmein abhi kisi shay ki bhi himmat nahin thi.

Woh eram hi thi aur usne wahi kiya jo haya ne socha tha. Fatima waapas aayin to sakht mutasir thin. Woh seen phupho ki baat sun hi nahin rahi thin jo baar baar keh rahi thin.

Bhabhi! Woh us wajah se nahin gaya, usne mujhe subah bata diya tha ke woh aaj chala jaye ga. Usne waise hi chale jana tha. Phupho ko eram se bhi shikwa tha. Unhon ne eram ko halka sa dant bhi diya tha ke ghalat baat na kare magar Fatima ka andaz bata raha tha ke unhein yakeen nahin hai. Un ke nazdeek agar koi us sab ka zimma daar tha to woh haya thi jis ne apni "zid" ke peechay sab kho diya tha.

Jab taya ne usay be izzat kar ke ghar se nikala tha, tab woh royi thi lekin jab jihan chala gaya to us ne apne aansu ponch liye the. Khandaq ki jung mein sirf bano quraiza hi to nahin hota na. Us mein jaade ki sakhti bhi hoti hai, woh sardi aur khuski jo logon ke rooyon mein dar ati hai. Rishte sard mehar ho jaate hain aur us mein bhook ki tangi bhi

hoti hai. Maashi dabao aur fikr bhi hoti hai. Woh ab pur va kaise banakaan lapetay amma ki saari baatein sunti rehti aur aage nikal jaati. Office mein albata ab rooye zarra badla tha. Us ki baat suni jaati thi, kabhi kabhi taeed bhi ho jaati. Woh corridor mein chal kar ja rahi hoti ya lift ke intezaar mein khari hoti, log udhar udhar hat jaate. Us ke liye

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now