114

379 16 0
                                    

"Usne bohot dukh se Soniya ko dekha.

Agar mere aur aap ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallqam) aaj hamare samne hote to kya aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki mojoodgi mein bhi

aap yahi baat keh sakti hain?

Soniya ek dam bilkul chup ho gayi.

Batayen na bhabhi! Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne aap se poocha jata to aap, aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke bataye hue asoolon ko

support karti ya apne sas-susur ko?

Soniya ne lab kholay, magar kuch keh nahi saki. Uske paas sare alfaz khatam ho gaye the. Haya nay dabi se zara si vaseline nikali aur doosri edi par dheere dheere ragadte hue boli.

Kya aap jaanti hain ke Dawar bhai pehle mujh se shadi karna chahte thay? Soniya ki ankhain hairat se zara si khuli.

Dheere se usne nafe mein sar hilaya.

Bilkul aise jaise Farukh kuch arse pehle tak mujh se shadi ke liye tai ammaa ko tang karta raha hai, waise hi Dawar bhai ne bhi bohot asar kiya tha. Yeh baat maine tai  ke munh se aap ki shadi se do roz pehle suni thi. Jaanti hain

Dawar bhai aisa kyun chahte thay?

Woh kuch nahi boli. Woh bas bina palak jhapkaye shaq ke aalam mein use dekh rahi thi.

Kyunke main hamesha bohot tayyar raha karti thi. Ab bhi rehti hoon. Mere kapre, jootay, baal, nakhun... main har

cheez mein aaj bhi itni hi tarash kharash karti hoon jitna pehle karti thi. Farq bas itna hai ke ab main bahar nikalti

hoon khud ko dhak leti hoon. Jaanti hain is se kya hota hai? Bas itna ke doosri aurton ke shohar meri

taraf mutawajjah nahi hote aur yun apni biwi se nakhush hone ki koi wajah nahi rehti unke paas.

Edi mein saree chikanai jazb ho chuki thi. Woh ab bhi pehle ki tarah khurdaar thi magar woh jaanti thi ke yeh chikanai

ek dam se asar nahi karti. Aahista aahista woh khurdaar pan ko naram karegi aur yun phati hui jild waisi ho jaye

gi jaisa ke use hona chahiye.

Kya aap ab bhi mujhe ghalt samjhti hain? Tashu se haath ponchte hue usne bohot itminan se dekha. Woh jo bilkul gum

sam si bethi thi. Kuch kahe bina uth khari hui.

Hayanay door tak Soniya ko jate dekha aur phir apni phati ediyan. Aahista aahista yeh naram par jaayen gi. Woh jaanti thi kuch

cheezein kaafi waqt leti hain. Is din us se sirf itni ghalti hui ke woh bina bataye Zara se milne chali ayi thi. Aaj office mein kaam zyada nahi tha, waise bhi Baqir Sahab ko woh apni top hierarchy ko az sar-e-naw tashkeel de kar nigran ban chuki thi. Ab

isi hafte wapas Turkey ja kar clearance karwani thi inhi sochon mein ghaltan woh uske ghar ayi."

Zara andar kamray mein hai, Fareeha wagaira aayi hui hain. Tum andar chali jao. Zara ki mami usay darwazay pe hi mil gayi. Woh kahin jane ke liye nikal rahi thin. Khush ikhlaaqi se bata kar woh bahar nikal gayi. Woh sar hila kar andar aayi.

Zara ka kamra corridor ke aakhri saray pe tha. Ghar mein khamoshi thi. Kamray se baaton ki awaazain arahi thin. Fareeha aur Misaal ki awaazain, uski class fellows aur friends, yaqeenan woh achay waqt pe aayi thi. Unse bhi mil le gi. Yehi soch kar woh chand qadam aage aayi magar iss se pehle ke woh manawtiyat paida karne ke liye awaaz deti adh khulay.

Darwazay se aati awaazon ne usay rok diya.

Haya ko mat bulana please! Be zaari se bolti woh Zara thi. Be ikhtiyaar woh peechay hati dewaar se jalgayi. Saans rokay. Woh Ab un ki guftagu sun rahi thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now