117

388 20 1
                                    

Us ne kuch keh kar unhein roka. Woh dono palte thay. Itni door se woh un ki guftagu nahi sun sakta tha magar un ke tasurāt bukhubi dekh raha tha. Saniya ne tray usi liye pakṛi thi taake woh ye tasur de saki ke woh lobby ke qareeb hi cafe (jismein self service maujood thi) se uth kar ai hai, (is cafe ki entrance par agar aap mojood hain to lobby wahan se saaf nazar aati hai), aur un se baat kar ke woh foran seedhi jihan ki taraf aane ki bajaye andar cafe mein chali gayi taake woh larkiyan us taraf na dekh paayein jihan woh baithe thay.

Siah libas wali larki achnbhe se nafi mein sar hilati kuch keh rahi thi. Un se kafi fasle par baita woh unhein hi dekh raha tha. Dafataan usay ehsas hua ke woh akela nahi hai balkay doosray bohot se log bhi jo aas paas se guzar rahe thay, gardan mor kar ek dafa us pe nigaah zaroor dalte thay. Us ne qadre bechaini se pahlū badla.

Usay kya bar algā tha, woh faisla na kar saka.

Chairity panch hai koi, usi liye ai hai. Saniya un ko bhejne ke baad cafe chali gayi thi aur ab jabke woh larkiyan andar ja chuki thi, woh wapas aai aur sofa pe baithte hue batane lagi. Us ne asbaat mein sar hilaya.

Ghair mamooli security ki wajah us ki samajh mein aayi thi.

Kya baat hui? Woh sarsari se andaz mein poochne laga.

Bas wahi purana harbah ke aap ko mein ne asool-e-deen department mein dekha tha aur mutawwqa tor pe us ne mujhe nahi pehchāna, phir mein ne pooch liya ke idhar kis liye ai hain woh, so us ne bata diya. Woh khamooshi se betha raha. Kuch usay bohot bar algā tha.

Phir jao gay aaj us ke ghar?

Haan! Jaon ga. Us ne asbaat mein sar hilaya magar woh acha nahi mehsoos kar raha tha. Us ajeeb se ittefaq ne ek dam bohot kuch badal diya tha. Khali haath mat jana. Kuch le kar jana.

Mein Turkey se un ke liye kuch nahi laya. Khali haath hi jaon ga.

Acha! Phir kuch khareed kar le jana, acha impression pare ga. Chalo! Chal kar kuch khatte hain. Woh jaise jaan gayi thi ke us ka mood acha nahi hai, so uth'te hue boli. Woh khamoshi se uth khara hua aur meez pe rakha siah pouch utha kar jacket ki jeb mein daal liya.

Tum up seat lag rahe ho...Nahi, bilkul nahi. Woh zabardasti muskuraya. Tum sunao kab tak tumhara mangni tar dubara mujh jatna hai ga?

Chand sessions mazeed lagenge, Bern cafe zyada tha. Baat ka rukh badalne par Saniya usay Hamad ke bare mein batane lagi. Kuch arse pehle ek hadse mein us ka chehra qadre maskh ho gaya tha, albata surgery se woh behtar ho raha tha. Woh be tou jehi se sunta gaya. Us ka zehan wahi peechay tha.

Phir jab Saniya chali gayi to woh bahar aaya. Islamabad ki thandi sardii sarak ke kinare chalte hue us ka dil-o-dimagh mein Saniya ki batein musalsal goonj rahi thi.

Is cheez se bahar nikal aao... Tum apne aba ke kisi jurm mein shareek nahi rahe ho jihan! Is cheez se bahar nikal aao...

Aziyat ki ek shadeed lehar us ke ander uthi. Aankhon ke samne zakhmi kar dene wala manzar phir se lehraya. Saniya ghalat thi. Ek jurm mein woh apne baap ke sath kisi had tak shareek raha tha.

Bachpan ki yadein us ke zehan mein bohot tooti-phooti, bikharri, madham madham si thi. Basphorus ka neela samandar, samandari baglay, Jahangir mein waqe un ka ghar aur dada. Yeh woh sab thay jo bachpan mein us ke sath thay. Dada aba ka sath un mein sab se zyada asar angaiz tha.

Woh apne maan baap ka akelati olad tha. Shadi ke saatwen baras milne wali pehli aur aakhri olad. Ahmad Shah ka aklota pota.

Dada karobar ke silsile mein Turkey aaya karte thay. Woh fauj se Major retire ho gaye thay. Waqt se pehle un ki retire mint ki wajah un ki kharabi sehat thi. Fauj se baaizzat tor par retire mint ke baad woh apne ek dost ke sath karobar mein shareek ho gaye aur tabhi woh turkey aaye aur phir ate jaate rahe. Turkey mein un ka ilaaj, jo Pakistan mein mumkin nahi tha, qadre sasta hota raha.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now