119

375 17 0
                                    

Rahay thay, peechay gate khula reh gaya tha. Guard, chowkidar, fil waqt koi bhi nahin tha. Shadi qareeb thi. So masroofiyat ne mulazimon ko bhi gher rakha ho ga.

Wo andheri jagah par dam sadhe khara Furkhan mamoon ko dekhta raha. Dil mein ek ajeeb si hawas uthi thi. Purani baatein phir se yaad aane lagi thi. Usne be ikhtiyar sar jhatka aur jaise umdati yaadon ko rafu karna chaaha.

Mamoon ab apne mehmanon ki gaadi ke saath khare un se kuch keh rahe thay. Use yun waqt zaya hone par uljhan ho rahi thi. Chand minute to wo khara raha, magar jab use laga ke mamoon aur unke mehmanon ki guftagu lambi hoti ja rahi hai to wo jungle ke aqab se nikal aya. Wo log bohot door to nahin thay. Albatta aise rukh se khare thay ke kisi ka bhi chehra gate ki janib nahin tha.

Wo Furkhan mamoon ka samna kiye baghair andar jana chahta tha. Kya harj tha agar wo yun hi andar daakhil ho jaye? Furkhan mamoon ko mutawajjah karna aur unke sawalon ka jawab dena? Nahin, abhi nahin.

Bohot aaram aur aahista se wo khulay gate ke andar chala aya. Sardi barh gayi thi. Lawn khali tha. Sab andar thay. Usne gardan idhar udhar gumha kar darmiyani darwaza talash kiya. Wo samne hi tha. Us pe ghanti lagi thi lekin pehle usne darwaza dhakela to wo khul gaya. Use jana to Sulaiman mamoon ki taraf tha, so udhar rukna be fayda tha. Wo darwaze se guzar kar Sulaiman mamoon ke lawn mein daakhil ho gaya.

Itne barson se bina ijaazat dosron ke gharon, lockers, mobiles aur emails mein khamoshi se daakhil hone aur nikalne ki aadat ke bawajood wo official kaam ke baghair trace passing nahi kiya karta tha. Ab bhi yeh karte waqt us ke zehan mein yahi baat thi ke wo us ke mamoon ka nahin, balkay sasur ka bhi ghar hai. Andar ja kar wo batadega ke wo kis tarah daakhil hua. Baat khatam!

Sulaiman mamoon ka her abhar alaan bhi sansan aur sard pada tha. Use pachtaawa hua ke usne phool uthane ka takalluf kyun kiya? Khwamakhwa ek bojh uthaaye phir raha hai. Usne guldaasta lawn ki mez pe rakh diya aur khud ghar ke daakhil darwaze ke samne aakhirah ho gaya.

Ghanti bahar gate pe thi andar daakhil darwaze pe nahin. Ab kya sirf darwaza khatkhatane par koi bahar nikle ga? Bohot tazabzub se usne daakhil darwaze pe dastak di. Albatta wo khud bhi jaanta tha ke andar kamro mein maujood afrad is waqt ye dastak nahi sun payenge. Wo jaan boojh kar is tarah kar raha tha, taake wo un se milna na pare taake pare aur wo keh sake "mammi mein gaya tha, magar aap ke bhaiyon ne darwaza hi nahi khola, mein kya karta, so waapas aagaya".

"Hisab-e-taqaa darwaza kisi ne nahin khola. Woh sardi padte haath jacket ki jebon mein daale, ghar ki deewar ke saath saath chalte yun hi jaiza leene laga is ghar mein kaun kaun hai. Mehman bhi aaye honge shaadi ke. Koi jaag raha tha. Hai ya nahin aisi hi baaton ka sarsari sa maloom karne woh ghar ko ghoom phir kar dekhne laga. Tamam khidkiyan band thi albatta loan ke daahni rukh pe khulti ek khidki ke do sheeshe ke pat khule the. Itni sardi mein kaun khara ki khidki khol kar baitha hai?

Achnbe se bhanwain sikray is taraf aaya.

Sheeshe khule the, albatta jaali band thi. Is ke peeche parda bhi grey the. Do parday ke darmiyan ek darzi si thi, jis se kamray ka manzar dikhai de raha tha. Yahan woh aadat se majboor tha. Nichla lab daant se dabaye, is ne ehtiyaat se gardan zara unchi kar ke andar dekha. Kamray mein madham roshni pheli thi. Sirf ek hi bulb jal raha tha. Roshni ka do sir amnibaa bed ke takia par rakha laptop tha. Jis ke samne woh kahniyon ke bul ondhi leti thi. Screen ki roshni is ke chehre ko chamkaar hi thi. Woh thodi tale hatheli rakhe, doosre haath ki ungli laptop ke beech peyed peh phere rahi thi.

Yeh wahi thi jis ko is ne dopahar mein dekha tha. Is ne wahi siyah libaas pehn rakha tha. Silkay baal malai se bani jild. Is ki cousin, is ki biwi kaisa ajeeb rishta tha ke dil mein koi ehsaas nahin jagta tha. Nah hi is se milne ki koi khwahish thi. Nah jaane kyun, woh mayoos hua tha. Jis tarah log mud mud kar isay hotel ki lobby mein dekh rahe the, isay woh sab kuch nagawar laga tha. Go ke is ka libaas asaana tha, aasteen poori theen, qameez lambi thi, neeche khula trouser tha. Magar is ke kapron ki faal hi kuch aisi thi aur kuch is ka andaaz ke woh tawajju khinchte the. Isay aisi larkiyan kabhi bhi achhi nahin lagti thi. Isay yeh larki bhi qata'a achhi nahin lagi thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now