part 122

404 17 4
                                    

Main mojood security ahalkaar is pe nighaahen markooz kiye hue thay.

Woh ek risaala utha kar is ki warq gardaanii karne laga. Us ka irada ghanta bhar mazeed tehleel kar wapas ho lene ka tha. Kaun sa kisi ne aana tha? Ab itni garmi mein woh kyun khwaar ho raha tha?

Risaala rakh kar woh murne hi laga tha ke shop se nikalti teen larkiyan hansti muskurati, baatein karti yun ek dum us ke

samne aayin ke woh un se takra gaya.

Oh! Jis larki se woh takraaya tha, woh ek dum itni boo khilai ke us ki kitaabein aur files neeche ja gireen. Woh jaldi jaldi

maazrat karta us ki kitaabein uthane laga.

Woh college uniform mein malbus larkiyan thi. Jis se woh takraaya tha, us ne sar pe do patta le rakha tha. Safaid dopte ke haalay mein chamakta chehra bohat masoom, bohat ghabraya ho alag raha tha. Jihan ke saath jhuk kar us ne apni file

uthayi aur kuch is tarah se uthayi ke us par likhe alfaz wazeh ho gaye.

Woh bohat koshish se apni hairani zahir kiye baghair utha. Dil ek dum zor se dhadkne laga tha. Larkiyan jaldi jaldi

apni cheezein sanbhal kar wapas mud gayin. Woh khud ko pur sukoon rakhte hue phir se book rack ki taraf mutwajjah ho gaya.

Ek kitaab utha kar us ne chehre ke samne taan li ta ke us ke tasurat us ke nigranon se chip sakein.

Is larki ki file par ek officer ka naam, Rink aur us ki tafteeshi team mein shamil honay ka din likha tha. Saath mein pehchaan

ke liye jihan ka apna code number aur us ke code number ka mukhaffaf likha tha. ARP.

Agent rose petal-

Is mein aur gulab ki pankhri mein koi mamaslat nahi thi. Yeh bas ek code name tha, jaise aam tor par hota tha.

Shayad jis ne ulta kiya tha, us ke samne us waqt Rose Petal Tissue ka dabba rakha ho, behrhal is larki ki file par

likhe yeh alfaz pehchaan ke liye kaafi the. Us ne kitaab wapas rakhte hue sarsari se andaaz mein dukaan ke sheeshe

ke darwaze ko dekha jihan door mukhalfat sammu jati teen larkiyan ka aks numayan tha.

Usi pal file wali larki ne gardan mod kar usay dekha. Us ki aankhon mein ek muskurahat thi.

Merah Jameela

Ek khoobsurat aurat.

"Agley hi lamhe Merah Jameela wapas palat gayi. Woh teeno larkiyan ab bas point ki taraf barh rahi thi. Woh sab kuch itne aam se andaaz mein hua tha ke in darjanon nigranon ne bhi kuch mehsoos nahi kiya. Ek ghante baad woh wapas chale aaye.

Ab is ke paas mazeed ek haftay ka waqt tha. Agley haftay us ko aakhri dafa in logon ko is jagah pe le kar jana tha. Us ke taawun ke pesh-nazar haftay das din us pe tashaddud nahi ki gayi thi. Khana bhi qadaray behtar mil raha tha. Shayad woh yeh samjhe ke agar woh raaz agle din de to woh us ko chhod denge.

Halankay woh janta tha ke tab bhi woh mara jayega magar ab usay umeed thi. Usay laawaris nahi chhoda gaya tha. Usay bas is officer ka intezar karna tha jo chand din mein yahan ajayega aur farar mein us ki madad karega.

Aur phir ek din woh officer us ki tafteesh pe tainaat ho hi gaya. Us ko umeed thi ke woh us ki madad karega, magar us ne us pe tafteesh aur tashaddud ke pahaar tor dale. Woh us pe chalata tha, us ko galiyan deta tha, aur bohat zulm karta tha. Jaise us ka yeh qaidi ki zabaan kholwana us ka personal masla tha. Woh us officer ke bare mein shash-o-pans mein mubtala ho gaya.

Ho sakta woh larki bhi un hi bharaton ki bheji gayi ho ta ke woh us officer ko apna hamdard samj kar us se dil ki baat kar baithay.

Magar phir us larki ki file pe us ka code number kaise likha tha?

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]حيث تعيش القصص. اكتشف الآن