part 129

536 23 1
                                    

Doopata theek karti khafa aur udaas si baithe ladki jo zara ghuse se samne baithe shakhs ko kuch keh rahi thi.

Jab wo un ke qareeb aya to wo chonki aur ek dum us ka chehra jaise khil utha. Wo hairaan thi aur khush bhi.

Wo itni be ikhtiyar ho kar uthi ke mobile jo shayad us ki god mein tha zor se niche ja gira.

Jihan! Ye Abba ke dost ke bete... wo taaruf karwane lage, ab wo kya bataata ke wo is aadmi ko pehle se jaanta hai, magar walid ko wo zaroor kuch batana chahta tha. Suleiman Mamoon aur Haya se bohot hi apnayet se baat karne ke baad us ne Laghari Sahib ki sawaliya nigaahon ke jawab mein muskuratay hue hi apnayet se sarey rishton ki wazahat ek faiyre mein kar di.

Mein Jihan Sikander hoon, Suleiman Mamoon ka bhanja aur Haya ka husband. Aur is ek faiyre ne is ke apnoon ko jo hairat bhari khushi ata ki, is se Suleiman Mamoon ka bhanja aur Haya ka haze band bil-aakhir ye baat jaan gaya ke wo sab ye rishta chahte thay. Sari narazgiyan door hui, sarey giley khatam huye. Us ne apni biwi ko us shakhs ke samne maan diya jis ke aur us ki biwi ke darmiyan kabhi kuch nahi raha tha, ho hi nahi sakta tha.

Shaam ko jab Mamoon aur Mammi launch mein thay wo kitchen mein Haya ki madad kar raha tha. Tab us ne Haya ka plan jaanne ki koshish ki. Wo use Turkey se bhejna chahta tha magar Haya ne abhi kuch tay nahi kiya tha ke use Turkey mein rehna hai ya doosray mulk. Mammi aur Abba ko wo London mein settle kar raha tha, agar Haya London jaane par raazi ho gayi to wo use un ke saya London bhej dega, lekin agar wo nahi raazi hoti to wo doosra tareeqa istemal karega.

Shaam mein un ki mangni hui. Mammi ko jaise pata chala ke us ne sab ke samne ye iqrar kiya hai wo bohot khushi se do ungliyan nikal laayi jo unhone is mauqe ke liye bohot arse se sambhal rakhi thi.

Wo waqai is roz mutmain tha. Jab raat mein wo Mamoon ko chhod kar ghar wapas aaya to us ka irada apni biwi ke saath achi si coffee peene aur koi achi si movie dekhne ka tha. Family wala ehsas bohot arse baad dil mein jaga tha aur wo us ehsas ko jeena chahta tha.

Magar is se pehle Haya ne use buri khabar suna di. Tumhare liye phone aaya tha koi ladki thi, naam to nahi bataya magar keh rahi thi ke tumhara parcel use nahi mila, kisi galat address pe chala gaya hai.

Aur kisi ne waqai us ka saans rok diya. Us ka ghar ek safe house ke tour par istemal hota tha. Wo jaanta tha wahan shaam se ek contact ki call hi aa sakti thi, aur us ko parcel na milne ka matlab bohot wazeh tha. Jo kuch us neYahan se bheja tha, wapas nahin pahuncha tha, balkay kisi ghalat address pe chala gaya tha. Is ne ek second ke hazaronven hisse mein paighaam ko decode kiya. Is ka bheja hua larka, Umar wapas nahin pahuncha tha. Balkay giraftar ho gaya tha to yaqeenan bohat imaar jinsi suchwi sh thi, is liye paighaam us ke ghar chhod diya gaya tha. Aeen mumkin tha ke paighaam jis ne bheja tha, woh bhi jaldi jaldi apni jagah se pack up kar ke nikal rahi ho. Khuda yeh kya ho gaya tha?

Is ka larka pakra gaya tha. Jail tashadud, azziat is ki her taraf wohi tang o tarik siel chhane laga. Aise mein kafi, Moudi, sab fazool tha.

Puri raat woh usi soofay pe baitha handler ki call ka intezar kar raha, magar call nahin aayi. Dauraton ki bekhawabi ke baa'is subah tak us ki ankhain surkh parne lagi thi, magar woh wahi baitha raha. Har koi jail se farar nahin ho pata. Log barsoon jail mein saza aur tashadud kaat kar wahi khamoshi se jaan de dete hain. Ek aur ek asasa zaya ho gaya. Ek asasa zaya ho gaya. Is ki azziat ki koi hud nahin thi.

Is sare mein haya ka khayal is ke zehan se bilkul nikal gaya. Subah hote hi woh wapas chali gayi. Jahan ne roka bhi nahin. Is ke paas karne ko bohat se doosre kaam the.

Agley roz woh bewak ada chala gaya. Haya, puzzle box, jewels kala kar, is ne sab kuch zehan se jhatk kar khud ko hotel Grand mein masroof kar liya. Restaurant mein is ne bataya tha ke agar is ki dost (Haya) shaam mein aaye to kehna, Jihan jaldi uth kar chala gaya hai, agar subah aaye to kehna, woh aaj aaya hi nahin. Chand roz woh waqai nahin aayi. Umar woh ki giraftari ki tasdeeq ho gayi. Phir inhi dinon woh bilaakhir khud ko raazi kar ke Inqra le aaya. Yahan isay apna check up karana tha, sar ka badtareen dard jo sar se hota ho agar din tak jata, isay ab is ka ilaj chahiye tha. Jail se raha hone ke baad is ne gardan ke ek taraf ka MRI karwaya tha, magar brain MRI is ne nahin karwaya tha. Apna dard is ne her jagah chhupaya tha, tab utni takleef bhi nahin hoti thi. Yeh waqt ke sath sath barhi thi. Panch saal Jihan ne is azziat ke sath guzare the, ab bilaakhir woh is ka samna karna chahta tha.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now