part 131

397 17 0
                                    

Woh poori tarah bhig chuki thi. Magar woh abhi tak yunhi shal si baithi thi. Yeh kya ho gaya tha? Woh ab kya karegi? Walid ke haath uski kamzori lag gayi thi. Woh uske khilaf gawahi na de to kya walid bas kar dega? Nahi, woh jaan chuka hai ke uske paas kya cheez hai. Woh usay baar baar istemaal karna chahega. Kya woh isi tarah uske haathon black mail hoti rahegi? Usne kyun walid ko thappar nahi de mara? Woh kyun dar gayi? Woh kyun zahir nahi kar saki ke

Usay is baat se farq nahi padta? Magar woh yeh zahir nahi kar sakti thi. Woh sab kuch itna ghair-mutawaqqi hua tha ke insaan hone ke natayej woh sambhal nahi saki thi aur walid jeet gaya tha.

Allah ne usay maaf nahi kiya. Neeli masjid mein beth kar usne kitni maafi mangi thi. Kitna noor manga tha aur ab khud ko uski pasand ke mutabiq dhaalne ke baad jab usay apne gunah bhoolte ja rahe the to achanak woh sab uske samne lakhra kar diya gaya tha. Woh buri ladki nahi thi uska koi affair nahi raha tha. Dukaandar ko rupay pakarte waqt bhi ehtiyaat karti thi ke haath na takraye magar khubsoorat dikhne ki khwahish se us se chand ghaltiyan hui thi aur woh
ab tak maaf nahi ho saki thi.

Jane kab woh uthi shower band kiya aur bheegay baalon aur kapron samait bed ke neeche carpet par baithi. Ansoo thay ke rukne ka naam hi nahi le rahe thay. Aksar wo baithe sine ke gird baaz o lapetay sir ghutnon mein diye woh kab so gayi usay pata bhi nahi chala.

Jab woh uthi to isha ki azaan ho rahi thi. Kamray mein tareeki pheli thi. Libas aur baal abhi tak nam thay. Zara

hawas bahal hue to Rohail aur uski biwi ka khayal aya. Usne to usay theek se dekha bhi nahi tha pata nahi
Amma ne kya naam liya tha.

Fresh ho kar angoori lambi qameez ke sath meron choodi daar pajama aur meron do patta le kar woh giley baalon ko dryerr se sukha kar bahir ayi to ghar mein chehl pehl si thi. Sehrish aur Sana Aabida bhabhi ke sath ayi thi.

Eram Sanya aur Saima Tai bhi launch mein thi.

Rohail ki biwi Fatima ke sath wale sofe par do pehr ke andaaz mein baithi thi. Teek laga kar taang par taang rakhe. Gulabi qameez ke sath khepri. Baal siyah ghunghralay magar bhuri sunehri striking mein dryer kuro ware khay thay.

"Naqoosh se woh Nepali kam aur zara saaf rangat ki Afro-American ziada lagti thi. Rang gand mein rukhsar ki haddiyan oonchi bhanwein be had baarik aur chehre ki jild aam American larkiyon ki tarah face waxing karwane ke baais jaise chhili hui si lagti thi. Labon pe ek halki si muskurahat.

Haya ko samajh nahi aaya ke woh usay achi lagi thi ya Buri

Sorry! Subah meri tabiyat theek nahi thi, sahi se mil nahi saki. Angrezi mein us se baat karte hue usne ek nazar amma par daali. Amma itni normal kyun thay? Kya amma aur abba ne us ladki ko qabool kar liya tha? Itni aasani se?

Usay kuch aise hi nahi to andaaz mein rakha tha na hi walhanah garmjoshi. Bas normal sober sa andaaz. Haya abhi tak khadi thi. Us se baitha hi nahi gaya. Ajeeb si bechaini thi. So maazrat kar ke kitchen ki taraf chali ayi. Kitchen aur lunch ke beech

ki adhi deewar khuli thi soa se door se phupho kaam karti nazar aayi thi.

Tum theek ho? Woh ek dish ki dressing karte hue ahat par plates. Wohi jihan wali aankhein wohi narm muskurahat.

Ji, sorry main dopahar mein zara thaki hui thi.

Natasha se mil len? Phupho ne door launch ke sofaon par bethi auraton ki taraf ishara kiya. Woh chonki.

Us ka naam Natasha hai? Sar goshi mein poochte bazahir cheezein utha utha kar phupho ko de rahi thi.

Haan kyun kiya hua? Oh... phupho samajh gayin. Agar Russian is khoobsoorat naam se kuch ghalat
matlab lete hain to us mein is naam ka kya qasoor? Qasoor to Russians ka hai na.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now