part 133

460 23 4
                                    

"Nahi di. Kya yeh munasib tha ke mujhe tum yun chhod kar aate aur sarey khandan mein Mir Atma Shah banta? Tum har dafa yeh samajhte ho ke baad mein tum doosrey ko manaloge. Manalene se dil par lage zakhm mit jate hain? Sakht lakri par bhi kahiladi ki ek zarb lagao to sari umr ke liye nishan reh jata hai. Main to phir insaan hoon. Kya tum sari zindagi yahi karte rahoge?

Is ki awaz dard se phatne lagi. Jihan ka be tasur spot hota chehra dekh kar isay aur bhi ghussa chadhne laga. Jab se woh ghuse se bolne lagi thi tab se is ka chehra be tasur para gaya tha.

Aur agar mujhe koi kuchal de to phir kis ko wazahaten dene aao ge? Magar tum nahi samjho ge.

Woh be bassi do keh ke sath palte aur tez tez qadmon se jalte bahar nikli. Phoola tanafus aur ankhon mein jamia ansoo. Aziyat hi aziyat thi. Woh bhi kis ko samjharahi thi? Woh parwah kahan karta tha?

Rawadari mein ek qadmon se chalti woh be awaz roti aage barhti ja rahi thi phir ek kamrey mein bethne ko waisi hi chuki nazar aai to ja kar udhar hi beth gayi aur chehra dono hathon mein chhupa kar be ikhtiyar rone lagi. Chehra is liye dhanpa tha ke gehre kanwin ki qadeen deewar mein is ke ansoo na dekhein sarnag is ki siskiyan na sun sakein aur masnooi mashal ki roshni mein is ke hichkiyon se larzate wajad ka saya na pare magar ansoo siskiyan aur larzish dhanp lene se bhi nahi dhaaktein.

Woh bhi kis ko samjhana chah rahi thi? Woh kahan is ki manta tha? Woh is ke sath Kapadokia mei rehna chahti thi jitne bhi din woh idhar hai magar woh isay ab hamesha ki tarah wapas bhej de ga. Be bassi si be bassi thi.

Is ne bhiga chehra uthaya.

Sarnag mehrabi chaukhtiyan bhool bhulian sab sunsaan pari thi. Woh wahan nahi tha. Deewar pe girta saya akela tha. Jjhan woh ke sath nahi tha. Woh apne ghuse mein sab bhool jaya karti thi ye bhi ke ek dafa phir woh hamesha ki tarah isay chhod kar agayi thi. Woh sab baten keh kar jo woh sirf is ko hurt karne ke liye keh rahi thi. Is ka matlab woh har gaz nahi tha. Is ne dil se woh sab nahi kaha tha.

Allah Allah ye is ne kya kar diya. Woh ab kaise aaye ga isay manane?

Jihan woh bad hawasi ke alam mein uthi aur rahdari ki taraf aayi woh dain se aai thi ya baain se shayad dain se hatili ki pesh se gaal ragarti woh is janib bhagi. Ek mor do sar adaien taraf woh kamar jaahan do saaye takraye the ab woh wahan nahi tha ab woh khali tha. Jihan! Ansoo phir se is ki ankhon mein jamie hone lage. Woh kahin bhi Nahi tha usne use ek bar phir use kho diya tha. Woh ulte qadmon waapas mudi bamushkil seerhiyan mili baahar jaane ka raasta samajh aaya guide sayah abhi tak wahi thay. Baharein aur Panar bhi ek taraf khadi thi usne Baharein ka haath thaama aur apni surkh matwaram aankhein chhupane ki koshish kiye baghair bas itna boli waapas chalte hain meri tabiyat theek nahi hai kya ho Panara pehle hairaan aur phir pareshan ho gayi magar koi jawab diye bina wah gahray kanwon daakhli rozan ki taraf barh gayi jahan se sooraj ki roshni jhank rahi thi woh teeno sarnag mein aage peeche chalti gayi gharr ka andhera

Chhatta gaya aur bal aakhir gharr ke dahane par sooraj chamakta khada tha woh kahin nahi tha kahin bhi nahi Panar ne phir koi sawaal nahi poocha Baharein jo be chain ho rahi thi usay bhi chup karwadiya. Us ka dil baar baar bhar raha tha woh kyun phir use chhod gayi aakhir woh kyun roothne manane se aage nahi barhte the? Apne kamrey mein aakar woh surkh soofay par khadi ki ki taraf baith gayi sir ghotnon mein diye be awaaz ro rahi thi. Baharein pata nahi kahan thi har khayal aur fikr se be par wah wah ansoo baha rahi thi. Us ka dil baar baar kisi khauf ke zair asar sukarta ja raha tha Baharein usay khane ke liye bulane aayi magar woh nahi utthi. Do paher ki roshni aahista aahista bujne lagi aur shaam ka andhera kapadokia mein phelne laga har so paharon par batein jagmagaane lagi woh isi tarah sur soofay mein diye baithi rahi ansoo bhi paani se bante hote hain aur paani aasmanon se utara jata hai so ansoo'n ke baad marham bhi wahi se aata hai neend par sukoon neend us par kab neend taari ho gayi usay pata hi nahi chala zehan mein dil mein ankhon ke peechhe har jagah zair zameen shehr ka manzar amad arha tha woh ghuse mein us pe chla rahi thi aur woh dheeme lehje mein usay pukaar raha tha haya! Baat suno magar woh usay suna nahi chaah rahi woh us se faaslay par khadi thi magar phir bhi pata nahi kaise uska hule se shaanah hila raha tha haya utho meri baat suno chandi ke mojzmay loot aaye the gahray kanwon ka andhera chhatta gaya chandni ki jheel har so phailti gayi us ne ek jhatke se ankhain kholi kamrey mein madham si roshni pheli thi woh soofay ke samne meez ke kinaare baitha jihan bahut takan se usay dekh raha tha usay ankhain kholte dekh kar thake thake andaz mein muskuraya yaad dekh lo tum mere liye kapadokia nahi aaye magar mein har dafa tumhare liye aajata hoon phir bhi kehti ho mujhe par waa nahi hai? Woh ek dam uth kar baith gayi bina palken jhapkaye woh yak tak usay dekhne lagi phir achaanak bahut se ansoo usay aankhon se tap tap girne lage.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now