part 134

413 19 3
                                    

"ho na ho! Woh band aankhon se zair lab bar-barayiyan.

'O ke! Woh khuli haath mein liye is lambay se kaooch pe atki jo bed ki painti ke qareeb hi deewar ke saath laga tha. Abaya

Usne nahi utara tha bas naqab neeche kar liya tha.

Doctors keh rahe thay tum bohat jaldi re-course kar lo gay chand lamhe guzre to usne gulab ki tehni ko ungliyon pe

Ghumate huay baat karne ki ek aur wusat ki.

Pata hai mujhe. Usne aankhein nahi kholi albeha mathay pe ek akatah bharhi shikan ke saath jawab diya. Woh parwa kiye baghair haath mein pakre safed gulab ko usi tarah ghumayi gayi. Bohat kuch yaad araha tha. Tumhein yaad hai jab hum pehli dafa Istanbul mein mile thay tab tumne poocha tha ke kaun haya. Zara sa muskura kar kehte huay usne jihan ko dekha jisne is baat pe aankhein khol kar ek achti nazr us pe dali thi.

Jaise ke tum jaante hi nahi thay ke kaun haya.

To tumne aage se kya kaha? Phupho ki bhatiji. Yani phupho se milne aayi ho.

Haan to unhi se hi milne aayi thi na. Usay un baaton ko dohrane mein maza anay laga tha.

Bilkul! Jaise abhi kapadokia dekhne ayi ho.

Wo to hai. Usne zara se shane uchakay.

Aur koi tha jo taiya ke ghar joote utar kar dakhil ho raha tha. Aur apple tea ke ilawa to usay kisi chai se waqfiyat nahi Thi.

Jihan ne aankhein wapas band kar li. Kaooch ke is taraf sheeshay ka ek darwaza tha jo bahar khulta tha. Us ke paar Ankara ka mosam jaise bohat khula khula lag raha tha yun ke jaise is dafa bahaar july mein utri ho.

Aur mera chulha theek karte waqt mujhe tum mere alfaz luta rahe thay magar mujhe kya pata tha ke koi meri mails bhi parhta Hai.

Agar tum yeh sab keh kar mujhe sharminda karna chahti ho to woh mein nahi hoon ga. So bolti raho.
Aur koi kehta tha ke woh bohat ghareeb aadmi hai. Usne asar liye bina apna mashghala jaari rakha.

Wo to hoon.

"Aur jab tumharay driver ne Jihan Sikandar ka naam lia to kya mein us ke saath na aati? Woh ab phool ko tehni se Pakray us ki kali ko apni thodi pe ghumarahi thi.

Usne sirf naam lia tha hi nahi kaha tha ke usay Jihan Sikandar ne bheja hai tumhein poochna chahiye tha.

Aur mujhe nahi pata tha ke tum Tayya Furqan se itna darte ho. Mausam ki shadabi us ki chehre pe bhi nazar arahi thi.

Muskurahat dabaaye woh saari baatein dohrana bohat acha lag raha tha.

Mein kisi se nahi darta.

Aise phupho kehti hain ke Jihan ki mat suna karo woh to khwamakhwah kehtarata hai.

Mammi ki mat suna karo woh you nahi bolti rehti hain.

Woh ek dam chonki phir beikhtiyar hans di. Jihan ne aankhein khol kar gardan zara utha kar usay taajjub se dekha.

Hain kyun?

Kuch nahi. Bhai ne muskuratay huay sar jhatka. Aur yaad hai ke kis tarah tumne aur Ayesha ne zahir kia tha tum ek

Doosray ko nahi jaante? Gulab ki pattiyan ko apne rukhsar aur thodi pe mehsoos karte huay usne is waqt ka

Hawala diya jab Ayesha aur Jihan ke liye bandar gah tak aayi thi.

Ghalat hum ne kuch zahir nahi kia tha. Agar tum poochti to hum bata dete.

Woh bata deti magar tum............

Mera ek kaam karo gi? Usne baat kaat kar bohat sanjeedgi se Haya ko dekhtay huay kaha.

Haan kaho! Woh bohat sanjeedgi se sunte kaooch pe zara aage ko hoi. Pehli dafa Jihan ne us se chai banwai thi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now