part 135

455 24 1
                                    

"Voh hai ghaasq! Haya ne us ki ungli ke ta'qub mein dekha. Wahan siyah aasmaan par chaand ki ek tukiyah jugmagaari thi.

Chaand? Ghaamq ka doosra matlab chaand hota hai? Us ne be yaqeeni se dohrate hue jihan ko dekha.

Jihan ne zara sa muskurakar sar ko asbaat mein hilaya. Us ka chehra aadha andhere aur aadha silwarr roshni mein tha. Chaand ke shar se panah? Magar chaand mein kaun sa shar hota hai? Usay abhi tak us ki baat samajh mein nahi aayi thi. Har cheez mein khair aur shar dono hote hain. Chaand bohat pyaara aur bohat hi khubsurat hai. Tum ne kabhi dekha hai?

Samandar ki lehron ka mad wa juzur?

Haya ne sar asbaat mein hilaya. Yeh to woh jaanti thi ke...

Chaand kheenchta hai un lehron ko, chaand mein bohat kashish hoti hai. Magar woh samandar ki baat hai insaan ka is se kya talluq? Kehte hue Haya ne phir gardan pher kar sheeshe ke paar aasmaan par chamakte chaand ko dekha.

Haya chaand samandar ko nahi, chaand paani ko kheenchta hai. Chaand har paani ko kheenchta hai aur us ne ungli se Haya ki kanpatti ko chhua.

Idhar tumhare dimaag mein bhi fluids hote hain, paani hota hai, chaand us ko bhi ahni taraf kheenchta hai. Jin logon ka dimaag ghair mutawazan ho jata hai woh paagal kehlata hain aur paagal ko hum angrezi mein kya kehte hain? Woh lamhe bhar ko ruka, woh kisi sehar ke zair asar sun rahi thi.

Chaand ko hum Leona kehte hain aur paagal ko lunatic kehte hain. Chaand aur dimaaghi amraz ka bohat gehra talluq hota hai. Yeh insaan ke hawaas pe asar andaaz hota hai. Iss liye jo log marz-e-ishq mein mubtala hote hain shaair waghera woh chaand ka zikr bohat karte hain. Chaand bohat khubsurat hai yeh andhere mein hamein raasta dikhata hai. Us ki khair hamein sametni chahiye magar us ke shar se panah mangni chahiye. Kya ab tum maanti ho ke Quran ki pehliyan zyada dilchasp hoti hain?

Haya ne hoolay se asbaat mein sar hilaya. Us waqt saare jahaan mein aisa jaadui asar chhaya tha ke usay laga ke us ke kuch kehne se woh toot jayega.

Aur haan! Mein ne apne phone ka mutabaadil password hata diya tha. Us ne kaha aur ek dam se sehar toota chaandi cheen chali gayi aur us ki pur teen kahin hawa mein tahlil ho gayi."

"Woh jaise kisi khwaab se jaagi phir zara se shaaney achkaye aur waapas ka wajh peh ja baithi. Jihan dheemi muskurahat se usay dekhta bed ki taraf chala gaya.

Vand chaim ki pankhriyan abhi tak chaandni mein nahayi hui thi.

Subah us ne Bahaare ki achi khass class li thi. Tum ne mujhe yeh tasur diya ke safir ne tum se yeh sab kaha tha jabkeh us ne aisa kuch nahi kaha tha. Tum ne mujhe misguide kiya.

Mera matlab wahi tha. Woh manmaai magar Haya us ke samne kamray mein idhar se udhar tehliti sun hi nahi rahi thi.

Tum ne jhoot bola mujh se. Tum ne jhoot bolna nahi chhoda.

Acha, sorry! Ainda nahi bolongi. Woh baar baar us ko sorry karti manane ki koshish kar rahi thi magar Haya khafa khafaayi samne soofe peh ja baithi.

Jihan ke samne uthaai jane wali sharmindagi ka badla kisi se to lena tha.

Kya tum mujh se naraz ho? Woh uth kar us ke samne aakhir hi hui aur dar te dar pucha. Haya ne abru utha kar ek sakht nigaah us pe daali.

Nahi! Mein tum se bohat khush hoon aur agar mein ne yeh sab Ayesha ko bata diya to...

Is baat pe Bahaare ne apni sab se masoom shakl banayi aur bohat hi naseehatana andaz mein boli.

Achi larkiyan shikayat nahi lagati. Haan! Magar achi larkiyan thappar bohat achi tarah laga sakti hain aur mein tumhein bata rahi hoon kisi din tum mere haathon bohat peeto gi.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz