part 136

453 20 3
                                    

"Us ki reerh ki haddi mein ek sansani khez lehar doudi.

Tum ghair qanooni tareeqe se sarhad paar kar ke jao ge? Usne dubi awaz mein dehraaya. Wo dono apni zuban mein baatein kar rahe the.

Mujhe qanoon ki pasdari pe koi lecture mat dena. Mujhe isi tarah wapas jana hai. Shaam ke liye turkon ka visa aur kaar nahi hota, magar passport dikhana padta hai.

Acha theek hai! Phir kab jana hai?

Abhi nahi, kal bataun ga.

                 Fairy Chimneys

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Fairy Chimneys.

Dooor, niche zameen bohot chhoti nazar arahi thi. Wo ab Fairy Chimneys ke upar se ud rahe the. Fairy Chimney ya pari bajlari ek qudrati saakht thi jo lavas sochnay ke baad is sar zameen pe tashkeel paayi thi. Kaafi faslay per unchay unchay suton khare the. Jin ke saroon pe topiyan thi. Bilkul jaise mashroom hote hain. Bas un khambiyo ki dandiyan bohot unchi thi.

Matlab hum border tak saath jayenge?

Haya... hum ankara tak saath gaye, yeh bohot hai. Tum ab idhar aakar kya karogi? Wo jaise uqta gaya.

Humari baat Turkey tak hui thi. Deal deal hoti hai bas. Hum border tak saath hain.

Waise tum to sirf Kapadokia dekhne aayi thi. Nahin?

Is ke andaaz pe Haya ka dil chaha ke wo kahe ke nahin har guz nahi magar... ana... ana her dafa ud jati thi.

Haan aur ab tumhari wajah se mein zyada din kapadokia mein rah bhi nahi paon gi. Is liye usay mera ehsan gardaana. Wo be niazzi se shanay uchka ke boli.

Haan mein ne yakeen kar liya. Waise yeh jagah dekh kar batao duniya ka sab se khoobsurat sheher kaun sa hai.

Islamabad, of course. Wo muskura kar boli.

Tum dono kya baatein kar rahe ho? Bahare yaqeenan un dono se bore ho kar Pinar ko miss karne lagi thi. Insaan ka azal se abad tak ka masla. Usay apni tareef karne wale hamesha se hi achhe lagte hain.

"Mein ata hoon tumhare paas. Phir wo Haya ki taraf murra. Usay kuch mat batana ghalti se bhi nahi.

Fikar na karo mujhe raaz rakhne aate hain.

Jihan ne ek nazar usko dekhte hue taeedi andaz mein sar hilaya. Wo ek nazar bohot apni apni si thi. Jaise wo dono shareek raaz the. Apne the, razoon ki apnaiyat, usay bohot acha laga tha.

Tumhe lagta hai mein bohot kam aqal hoon? Wo usi khushgawar mood mein kehne lagi aur tumhe yeh bhi lagta hai ke mein tumhari baatein samajh nahi sakti. Magar you know what Jihan! Tum yeh baat maanna hi nahi chahte ke tumhari biwi tum se zyada smart ho sakti hai. Rawani mein "tumhari biwi" kab us ke labon se nikla usay pata hi nahi chala.

Jihan us sare mein pehli dafa muskuraya.

Meri biwi, jitni bhi smart ho mujh se do qadam peechay hi rahe gi. Waise aap ka paon kaisa hai?

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now