part 140

638 28 20
                                    

Usne bohot arsa yeh baat apne tak rakhi, aap logon ko nahi batayi is liye nahi ke woh aapko apna nahi samajhta tha. Haan, theek hai ke uski job ki noo'iyat aisi thi ke use apni shanakht chhupa ke rakhni thi, lekin woh chahta toh bata sakta tha jaise phupho ko hamesha se pata tha jaise bohot se doosre logon ko maloom tha. Lekin usne aap logon ko nahi bataya... Usne logon kehte hue Tayya Furqan ko dekha... Boht fakhr se kaha tha ke kisi ghaddar ke bete ko fauj mein commission nahi mil sakti, halankay aisa nahi hota tha taya aba, kitne hi ghaddaron ke bete bhartiye aaj bhi fauj mein kaam kar rahe hain aur bohot dyan dari aur muhabbat ul watan se kar rahe hain. Isi liye jab usko job mili toh usne aapko nahi bataya ke aap ghamand na tootay, taake aapke fakhr ko thees na pohanchay.

Woh janti thi ke woh kaafi zyada bol rahi hai baron ke samne itna nahi bolna chahiye magar baat karte hue bhi woh tameez aur tehzeb ki hud se aage nahi barhi thi albatta uski awaz zara unchi thi. "Baaz dafa insanon ke khudgharz mujame ko apni baat manwane ke liye thora sa badtameez aur loud hona parta hai." Drawing room mein itna suna tha ke agar suii bhi girti toh toh gunj paida hoti, Furqan Tayya ke chehre pe ek rang araha tha aur ek jaraha tha jaise woh samajh hi nahi paraye the ke yeh sab kya hua hai.

Natasha Rohail se dheemi awaz mein kuch keh rahi thi aur woh jawab mein kuch batara tha. Natasha uski baat sun kar zara muskurayi aur fatahna nigahon se usay dekha aur kaha

Drawing room mein mojood woh woh wahid thi jise is khabar ne muzayyan kiya tha

Kya karta hai woh army mein kya rank hai uska ?? Zaahid Chacha pehle the jinhone sawal kiya. Shayad unke zehan ne is baat ko qubool kar liya tha.

Major hai. Us se pehle ke woh jawab deti, jawab kisi aur ne diya. Na usne na PhuPhu ne, Haya be ikhtiyar chonki.

Suleman Sahab!

Ab heraan hone ki baari unki thi. Us ke lab zara se khul gaye aur aankhon ki patliyan phail gayi. Aba ko pata tha ?? Aba ko kab pata tha?? Usne PhuPhoo ne ki taraf dekha woh heraan hui thi.

"Kya tumhein maloom tha??" Tayya Furqan ko jhatka laga.

"Ji kaafi arsay se pata tha" unhone kehte hue Haya ko dekha jaise keh rahe hoon ke tum woh wahid nahi ho jise yehBaat toh mujhe maloom thi. "Main is shehr mein rehta hoon mere apne bhi sources hain, mujhe kaafi arsay se pata tha aur mujhe is par usi baat ka ghusa tha ke kya tha jo hamein bata deta. Hum us ke apne thay, dushman toh nahi thay."

Haya ne be ikhtiyar Rohail ki taraf dekha. Rohail ne isbat mein sar hilaya. Toh yahi baat thi jis liye Aba us se baghawat rahte thay. Woh ladki wala mamla nahi tha. Woh yeh baat thi Rohail ko bhi pata tha Aba ko bhi pata tha, Natasha ko shak tha, bas ek wahi be waqoof thi jo teen mahinay se us ki pehliyan dhond tairah gayi. Kash woh un sab se pehle pooch leti. "Herat hai." Tayya Furqan bemushkil ke paaye woh abhi tak be yakeen thay "Usay kabhi toh chahiye tha ke woh hamein bata de mujhe... pata nahi."

"Woh batana chahta tha magar us ki job ki kuch majbooriyan thi ke woh nahi bata sakka. Aap toh jaante hain ke aisi job mein mushkil ho jati hai. Baharhal us ki taraf se mein aap se maafi mang leti hoon. Sabee'n PhuPho ne bohot sukoon se kaha tha. Un ke chehre se zahir nahi hota tha magar woh mutmain thi bohot mutmain.

Tumhein kis ne bataya." Fatima abhi tak heraan thi. Kabhi use dekhti kabhi Suleman Sahab ko woh samajh nahi parahi thi ke unhein is baat par khush hona chahiye ya nahi.

Jihan ne! Usay mujhe hi batana chahiye tha na. Us ne shanay achkaate hue jawab diya. Bas woh ek jawab har jawab par bhaari ho gaya. Saima Tai, Amana chachi ke ma'ni khiz nigahon, tanz o ta'nay ke nishtaroon, har baat ka jawab mil gaya.

Woh waapas palati toh dekha Drawing Room mein mojood larkiyan usay shushd ro heraan nigahon se dekh rahi thay.

Haan khabar badi thi magar jald hi sab usay qubool kar lenge. Agar woh aaya toh pata nahi sab us ke saath kaisa sulook karenge. Magar woh aaye toh sahi kab aaye ga... woh janti thi woh jihan bhi hoga jis jang mein bhi hoga akela nahi hoga woh us ke saath safa no 55 saath ho ga.

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang