part 43

551 23 1
                                    

Daraazah chokhat ke saath lagne hi wala tha. Zara si darazi se bahar raahdari mein gir gaya guldasta dikhayi de raha tha. Ek do pal mazeed guzre aur zor daar "thaa" ki awaaz ke saath daraazah band ho gaya. Woh apni hatheli ki pishak par siyah rang mein likhe wo teen alfaz dekh rahi thi.

"ARP...

Usne oopar bane cabinet ka daraazah khola. Chand dabbe ulte palte kiye. Nichle khanay mein surkh mirchon ka dabba nahi tha. Woh aidiyan utha kar zara si unchi hui aur oopar waale khanay mein jhanka. Wahan samne ek plastic ke be rang dabbe mein surkh powder rakha nazar aaya.

Usne dabba nikala aur counter ki taraf aayi. Wahan DJ khadi, slab par cutting board ke oopar piyaz rakhe khatta khatt kaat rahi thi. Us ki aankhon se aansoo gir rahe the.

"Biryani ki miqdaar zyada hai, chaar cheech surkh mirch daal deti hoon, shayad zara sa zaiqa aajaye. Theek?" Woh khud kalam ke andaaz mein kehti tokri se chhota cheech dhoondhne lagi.

"Haan theek! DJ ne bheegi aankhein oopar utha kar use dekhte hue randhi awaaz mein kaha aur aasteen se aankhein ragarain.

Haya ab dabbe se cheech bhar bhar kar dhoi'n uratay patile mein daal rahi thi. Balon ka dheela sa jora us ke peechay gardan par jhool raha tha. Sada shalwar qameez pe dhila dhaala sa sabz sweater pehne huye thi, jis ki aasteeniyan us ne kohniyon tak mod rakhi thin. Dopta ek taraf daraazay pe larka tha aur chand leetay jode se nikal kar chehre ke atraaf mein latak rahi thin. Goshth mein chamcha hilati woh bohot masroof lag rahi thi.

Woh dono us waqt Anjam Baji ke kitchen mein mojood thi. Subah Anjam Baji DJ ko dining hall mein mili'n to shaam ko apne ghar mein dawat de daali, jo ke DJ ne yeh keh kar qabool kar liya ke woh aur Hyamal kar biryani banaayen gi. Ab sar shaam hi woh dono haale ko le kar Anjam Baji ke apartment aayi thin.

Ek bed room, lounge aur kitchen par mushtamil woh chhota magar be-hadd nafees aur saleeqe se saja apartment tha. Haale ko unhone lounge mein Anjam Baji ke saath hi baitha rahne diya aur khud kitchen mein aakar kaam mein masroof ho gayi'n.

Yeh painting jo yeh ji laaye the India se. Andar lounge mein Anjam Baji ki haale ko mutalik awaaz aa rahi thi.

"DJ! Yeh jo ye ji kiya hai?" Usne qadre uljhh kar poocha.In ka matlab hai, Javed ji. In ke hair-bandy DJ ne sar goshe ki toh woh "oh" keh kar muskurahat dabati palat kar ubalte chawalon ko dekhne lagi.

Jab Anjam Baji aur haale kitchen mein dakhil hui'n, Haya patiley ka dhakan band kar rahi thi. Aahat par palati aur muskurayi.

Bas dum de rahi hoon. Bohat kharab ho tum dono, mujhe uthne hi nahi diya.

Bas ab aap ko khanay ke waqt hi uthana tha. Woh Jo Yed. Javed bhai aagaye? Woh haath dho kar toliye se saaf karti DJ ke paas aayi.

DJ ka salad abhi tak mukammal nahi hua tha. Ab kahin ja kar woh tamataron tak pahunchi thi.

Bas aane wale hain. Lao! Yeh salad toh mujhe banane do.

Nahi! Main kar loongi. Thora saara gaya hai. DJ ne badi be-fikri se kaha toh usne jitate nazron se use ghoora.

Aap ne is thore mein bhi subah kar diya hai. Lao mujhe do aur plates lagao. Usne tamatar aur chhuri DJ ke haath se le li.

Bale az khud nihayat phirti se sara phela wa sametne mein lagi hui thi. Woh mile bar tan ab sang mein jamay kar rahi thi. Woh un kabhi kabhi kaam karne wali Pakistani larkiyon ki nisbat bohat tezi se haath chalarahi thi.

DJ cabinet se plates nikalne lagi aur Anjam Baji raaita banane lagin.

Haya tamatar ko cutting board pe bayan haath se pakar kar rakha aur chhuri rak kar dabayi. Do surkh tukde alag ho gaye aur zara sa surkh ras bayan hatheli ki pishak par beh gaya, jahan ka jal se likhe teen bade bade haroof the.

"ARP.....

Woh do teen roz se is ARP ke mutalliq soch rahi thi, ab bhi kuch soch kar usne gardan uthayi.

"Anjam Baji!"

Rahi ko kantay ki madad se phentti'n Anjam Baji ne haath rok kar use dekha.Aap ne kisi "ARP" ke mutalliq suna hai?

"ARP"? Anjam Baji ne hairat bhari uljhan se dohraaya.

Ji, ARP. ARP. Usne wazahat ke liye bajay kar ke bataya.

"Oh not again Haya please ubaale jo sink ke aage khadi thi, qadre ukta kar plate." Uske haath mein jhaag bhara isfanj tha jise woh plate pe mil rahi thi.

"Tum phir wahi mawad le kar beth gayi ho? Iske andaz mein khufgi bhar ehtijaaj tha.

Magar haale... ab ke woh uljhi thi. Yeh mawad to usne abhi tak haale ke saath desks bhi nahi kiya tha, phir...?

Maine kaha tha na, yeh sab bekaar ki baatein hain.

Magar maine poocha hi kya hai?

ARP... Abdul Rehman Pasha aur kaun? Maine bataya tha na ke yeh gharilo aurton ke afsanay se zyada kuch nahi hai. Yeh Istanbul hai. Yahan qanoon ka raaj hai, mafia ka nahi. Ab iske baad main is mawad par kuch nahi sunongi.

Haale ab palat kar jhaag se bharay plate ko paani se khangal rahi thi aur woh... woh hairaton ke samundar mein ghari khadi thi.

ARP... Abdul Rehman Pasha... aur... yeh khayal use pehle kyun nahi aaya?

"Okay okay!" Woh bazahir sar jhukaye tamatar kaatne lagi magar uske zehan mein bohot se khayal gud mud rahe the. Haale aur Jahan dono ek jaise the aur apne Istanbul ke difa'a ke ilawa kabhi kuch nahi kahenge, use yaqeen tha, magar kisi ke paas to kuch kehne ke liye ho ga aur use us "kisi" ko dhoondhna tha.

Woh meez lagarahi thi jab Javed bhai aag ne.

Woh PHD kar rahe the aur spinach mein parhate bhi the. Be-had milansar, sada aur khush ikhlaaq se desi mard the. Purane Pakistani programs ke shoqeen aur parastar. TV ke sath reek mein unki, tanhaiyan, dhoop kinaare, aangan teeda, alif noon samet bohot se classic dramas ki DVD qataar mein saji thin. Un dono miyan biwi ka ek doosre ke liye tarz-e-takalluf bohot dilchasp tha. "Javed ji" aur "Anju ji". Use bohot hansi.Ai, baqi teenon kitchen mein the, jab Haya paani rakhne wale mez par aayi to Javed bhai ko tanha bethe paya. Woh kisi kitaab ki warq gardani kar rahe the.

"Javed... Javed bhai!" Woh gud bada kar tasheeh karti un ke samne kursi kheench kar bethi aur mohtaat nigaahon se kitchen ke darwazay ko dekha.

"Ek baat poochni thi aap se."

"Ji ji, poochiye." Woh foz akatab rakh kar seedhe ho bethe.

"Istanbul mein ek Indian Muslim rehta hai Abdul Rehman Pasha naam ka. Aap use jaante hain?" Woh mohtaat si kursi ke kinare namkeen bolte hue baar baar kitchen ke darwazay ko bhi dekh leti.

"Kaun Pasha? Woh Bewak Adawala?"

Aur Haya ko laga, use us ke jawab milne wale hain.

"Ji ji wahi. Woh khaas mashhoor hai."

"Haan suna to maine bhi hai. Bewak Ada mein us ka kafi hold hai. Woh maal import export karta hai."

"Kya woh mafia ka banda hai? Aslaha smuggling karta hai?"

"Ek professor ko mafia ke bare mein kya maloom hoga Haya ji?" Woh khisiyat se muskuraye.

"Yani ke woh waqai mafia ka banda hai? Aur aap ko maloom bhi hai, magar aap iqrar nahi karna chahte."

"Main theek se kuch nahi jaanta." Unhone sadgi se hathiyaar daal diye.

Dafata kitchen se Anjam Baji ki cheekh buland hui. Woh jo kursi ke kinare pe nikli thi, ghabra uthi aur kitchen ki taraf leeki.

"Kya hua?"

Anjam Baji surk bhejo ka chehra aur aankhon mein paani liye khadi thi. Un ke haath mein khali chhicha tha.

"Mirchein... itni mirchein Haya!"

"Nahi. Yeh Turkey ki mirchein pehki hoti hain to maine sirf chaar chhe..."

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now