part 84

399 22 0
                                    

Friend ko bulaya, jab wo apni reezi dance kar rahi thi. Usne mere apartment mein par Jihan ko treat kiya aur band saye waghera kiya. Phir Jihan ne mujhe bus itna bataya ke uske peeche koi hai aur wo kisi se bhagta phir raha hai. Uske paas Turkey ke ticket ke liye paisay bhi nahi thay, so usne mere Abba se keh kar raaton raat paisay arrange kiye thay. Wo subah hotay hi waapas Turkey chala gaya, phir ek hafte baad hi usne paisay wapas bhejwa diye. Bas yahi baat thi.

Wo haq daq sunay jarahi thi.

Abba ko pata hai is baat ka?

Nahi aur tum bhi mat batana. Wo pehle hi Jihan se muktalif rehte hain. Yeh baat batai to... Wo to bas Jihan ki laparwahi ki wajah se us se khinche khinche thay magar ab aisa nahi hai.

Nahi, wo kisi aur baat pe us se buras gaye thay, ab mat poochna ke wo kya baat thi. Mein abhi jaldi mein hoon, baad mein bataonga, magar itna yaqeen rakho ke wo jis zakhmi halat mein mere paas aaya tha, mujhe wo usi din se acha lagne laga tha aur mein ye wusooq se keh sakta hoon ke wo sach bol raha tha jab usne us raat mujhe kaha tha ke "Rohail, IM naat di bed gaye, balkay jo mere peeche hain, wo bure hain."

Aur wo dosri baat? Usne asar karna chaaha magar Rohail usse koi mauqa diye baghair, mez se apni cheezen sametne laga.

Usse bahar jana tha aur wo jaldi mein tha. Haya be dil se log out kiya. Uska dil ekdam bohot bohot jhul gaya tha.

Uske ghar wale usko chhota samajh kar us se itni baatein chhupate kyun thay akhir?

Ayesha ne letay huye bahaarein. Ye kambal barabar kiya, phir ek nazar usse dekha jo bahaarein ke is taraf leti, chat ko takay jarahi thi. Wo teeno yun soti thi ke bahaarein darmiyan mein hoti.

"Ayesha!" Usne Ayesha ki nigaahon ka irtikaaz mehsoos kiya tha ya shayad wo usse pukarne ka iraada pehle se rakhti thi.

"Kaho!" Ayesha pehlu ke bal leti, narmi se bahaarein ke ghanghralay baalon ko sehla rahi thi.

Meri seep se moti kyun nahi nikalte? Mein itna jhoot to nahi bolti. Wo chat ko takte kehne lagi. "Tum bahaarein"Ke falsafe ko zehan se nikal do. Yeh to rizq hota hai. Kabhi nikal aata hai to kabhi nahi."

Chand lamhay kamray ki tareeki mein doob gaye jihan sabz night bulb ki madham roshni phaili thi. Baharein ki band aankhon se saans lene ki awaaz hole hole ubhri ja rahi thi.

"Ayesha." Usne usi tarah chat ko takte hue phir se pukara. "Kya mujhe dunya ne dhokay mein daal rakha hai?"

"Tumhein kya lagta hai?"

Pata nahi. Mujhe lagta hai jaise mein bohot door nikal aati hoon, itni door ke mein un baaton se khud ko relate nahi kar paati, jo tumhari zindagi ka hissa hain.

Haya! Door humesha hum jaate hain. Allah door nahi jaata."

Wo nigaahon ka zawiya mor kar Ayesha ko sawaaliya andaaz mein dekhne lagi.

"Agar tumhein lagta hai ke dooriyan bohot barh gayi hain to unhein khatam karne ki koshish mein pehle bhi tumhein karni hogi."

"Kaise?" Wo be ikhtiyaar boul uthi.

"Tum kya karna chahti ho?"

Mere abbaazoo mujh se roz yeh sawaal karta hai ke mein kaun hoon, mein chahti hoon ke mere paas is ke sawaal ka koi achha jawab ho. Mein zindagi mein kuch achha karna chahti hoon.

Is liye taake tumhari seep se moti nikal aayein?" "Nahi." Wo zara khauf zada hui. "Balki is liye taake mujhe us aag mein kabhi na jalna pare jis se mujhe ab bohot darr lagta hai."

Phir us faaslay ko sametne ki koshish karo.

"Haan, yeh jo humara Allah se faasla aajata hai na, yeh seedhi sarak ki tarah nahi hota. Yeh pahaar ki tarah hota hai. Is ko bhag kar tay karne ki koshish karo gi to jaldi thak jao gi, jhust lagao gi to darmiyan mein gir jao gi, udne ki koshish karo gi to hawa sath nahi degi."

jannat ke pattay...[Leaves Of Paradise]Where stories live. Discover now