Academic Affections: A Tale of Forbidden Love I

372 42 52
                                    

Target: 45+ Votes and 45+ Comments

Wanted to write something on Anuseena this day as you all know 2 years ago on this day Anubhav's character came to an end

Shower your love and have faith in the author....

Not proof read

Pinnacle Business Academy, Bengaluru

Two girls were sitting in an empty lecture room.... 

Tanvi: Yaar Haseena.... Kab taq aisa karegi???

Haseena: Matlab??? Hum kuch samjhe nahi....

Tanvi: Acha.... Matlab Ms. topper itni choti baat samjhi nahi.... Samjhi nahi ya samajhna nahi chahati.... Pichle cheh mahino se you are trying to seduce Anubhav sir.... Par tu yeh kab samjhegi ki voh aadmi.... Voh nahi patne vala yaar.... Leave him yaar

Haseena: Tanu voh kehete hai na Try try but never cry.... Aur hum konsa dinbhar unke aage piche ghumte rehete hai???

Tanvi: Acha.... Toh roz unki class ke baad..... Jab sab chale jate hai tab tu kyu rukti hai.... Har function mein.... Har event mein tu Anubhav sir ko dundhti hai.... Kayi baar toh faculty members se bhi puch leti hai.... Kissi teacher ka koi extra kaam nahi karti par Anubhav sir ke toh bas kehene ki der hai..... Aur kayi baar toh bina kahe bhi..... Abhi yeh last week jo dance drame hua tha.... Mujhe pata hai tujhe uss mein koi interest nahi tha but kyoki voh Anubhav sir karwa rahe the isliye madam ne puri script likhi.... Juniors ko dance aur acting sikhai aur stage pe ik baar bhi nahi aayi....

Haseena: Bas bas kar humari maa.... Anubhav sir ke teaching style ko hum shuru se.... like day 1 se pasand karte hai.... Unki class mein unhone jo bola uske notes hum ussi time likhte hai.... Isliye time lag jata hai.... Aur yeh baat na voh bhi jaante hai.... Kissi bhi event ya exam pe agar hum unki shakl dekh le toh humara paper bahut accha jata hai.... Issliye unhe dhundhte hai.... Aur sach kahe toh inn kuch saalo mein humare liye kuch badla ho ya nahi par humare dil mein unke liye respect bahut badhi hai.... And he truly deservers it.... Aur yeh baat na faculty mein sab jaante hai....

Tanvi: Par kissi ne iska galat matlab nikaal ke teri complain kar di toh???

Haseena: Although I don't act like ki yeh college humare abbu ka hai but truth to be told yeh college actually humare Abbu ka hai.... So don't worry.... 

A girl came inside... 

Girl: Haseena.... (Haseena looked at her) Professor Anubhav is calling you....

Haseena: Hume?? Kaha pe jana hai???

Girl: room number 22.....

Haseena: Thank you.... (To Tanvi) Hum aate hai....

Tanvi nodded

*********

Room number 22

Haseena: Please may I come in sir???

Anubhav: Come in..... (Haseena  came in) Sit here Haseena.... (Anubhav pointed at the chair kept in front of his teacher's desk..... Haseena sat down.... Now both were face to face with each other)

Anubhav: Haseena you are one of my best students isliye hum nahi chahate ki tum faltu ki inquiries mein phaso..... 

Haseena: Sir hum kuch samjhe nahi....

Academic Affections: A Tale of Forbidden LoveWhere stories live. Discover now