Corridor mein khade khade usne apne sandals utaare. Tabhi usne Salar ko kitchen area se paani ka glass le jaate aur phir dinning table ki kursi par baithte dekha. Ab uski pusht Imama ki taraf thi.
Paani ka glass khali karke table par rakhte hue woh ab apne galay se tie utaar raha tha. Woh chand lamhe khadi use dekhti rahi, phir aage badh aayi. Kursi kheench kar woh bethi hi thi ki woh kursi dhakelta hua uth khada hua tha.
"Salar! Meri baat to suno!"..."Abhi kuch aur reh gaya hai jo tumne mujhe batata hai?" Usne Salar ki aankhon me apne liye kabhi tehqeer nahi dekhi thi..lekin aaj dekh rahi thi...
"Mujhe wazahat ka mauqa toh do." "Wazahat? Kis cheez ki wazehat? Tum mujhe yeh batana chaahti ho ki tumne apne ex-boyfriend ke liye apne shohar ko dhoka dena kyun zaroori samjha?"..Uski aankhon mein aansu aane lage. "Ya tum mujhe yeh bataogi ki tumhare ex-boyfriend ki woh kaun si khubi hai, jo tumhare apne shohar mein nazar nahi aayi?" Woh apne lehje se use kaat raha tha..isse behtar yeh hai ke tum mujhe sirf yeh batado ke tum kabse usse mil rahi ho.."
"Main ittefaqan us se mili thi... Sirf ek baar." Usne bharayi hui awaaz mein kuch kehne ki koshish ki..
Salar ne dinning table par quwat se haath maara tha.."Stop befooling me, women!"
Woh poori quwat se chillaya tha. Imama ki awaaz band ho gayi. Uske haath kanpne lage..Eutopia khatam ho raha tha. "Tum samajhti ho main ab tum par aitbar karuga..Tumne meri nazron mein aaj apni izzat khatam kar li hai."
"You are nothing but a bloody cheater."
Wo kehte hue wahan ruka nahi tha. Bedroom mein jaane ke bajaye woh study room mein chala gaya tha.
Imama ne muthiyan bheench kar jaise apne haathon ki kapkapaahat ko rokne ki koshish ki thi. Uske alfaz uske kaano mein baar baar goonj rahe the. Woh be had takleef deh the, lekin is se bhi zyada takleef woh uski kaat daar nazrein thi.
Baat itni badi nahi thi jitni Salar ne banali thi, lekin baat itni chhoti bhi nahi thi jitni usne samjhi thi..
Woh uske aur Jalal ke maazi ke ta'aluq se waaqif naa hota toh kabhi bhi kisi class fellow ke sath khana khane par wo itna hungama khada naa karta..wo conservative nahi tha..
Use khud hi Jalal se mulaqat ke baare mein bata dena chahiye tha. Wahan baithe baithe, bahte aansuon ke saath ab woh khud ko malamat kar rahi thi.
Woh uth kar bedroom mein aagayi. Sone ka to sawaal hi paida nahi hota tha. Woh mauf zehen aur hawaas ke saath sirf Salar ke alfaz zehan se nikalne ki koshish kar rahi thi. Sawal yeh nahi tha ke woh use galat samajh raha tha, sawal yeh tha ke aisa kyun hua? Kya woh bhi use isi tarah na-qabil-e-etabar samajhta hai, jaise woh use samajhti hai. Woh saari raat jagti rahi.
Salar bedroom mein nahi aaya tha. Use yakeen tha, subah tak uska gussa khatam nahi hua toh kam zaroor hojayega, aur woh use dobara baat karna chahti thi. Woh fajr ke waqt kamre mein aaya tha. Us par ek nazar daale bagair woh kapde tabdeel kar namaz parhne ke liye chala gaya tha. Uski waapsi hamesha ki tarah gym aur jogging ke baad office jaane se kuch der pehle hui thi.
Usne Imama ko tab bhi mukhaatib nahi kiya tha. Imama ke nikale huye kapdo ke bajaye, woh apne nikale huye kapde le kar washroom mein gaya tha.
Woh kuch dilbardashta hokar kitchen mein nashta tayyar karne lagi. Salar tayyar hokar lounge mein aaya, lekin nashte ki table par jaane ke bajaye woh study room mein chala gaya.. Use pata tha ki woh apna laptop lene wahan gaya tha lekin yeh woh nashta karne ke baad kiya karta tha... Aaj pehle lene ka matlab tha ki... "Salar nashta laga diya hai..maine." Uske study room se nikalne par Imama ne use kaha tha..
"Us ke liye tum Jalal ko bula lo." Usne baat nahi ki thi, use kora maara tha. Woh safed pad gayi. Woh ek lamha ke bagair appartment ka darwaza khol kar nikal gaya. Use ehsaas nahi hua ki woh kitni der wahin dinning table ke qareeb khadi rahi. Uske lafz kisi khardar taar ki tarah uske wujood ko apni grift mein liye hue the. Woh sara din kuch nahi khaa saki thi. Usne dobara Salar ko call ki, lekin usne call receive nahi ki..use yehi tawakku thi..usne text message ke zariye usse maafi mango..usne text message ka bhi koi jawab nahi diya tha...
YOU ARE READING
Aab e Hayat || COMPLETED
RomanceAab e hayat Aab E Hayat is a sequel of Peer E Kaamil. Our Peer E Kamil is being remove by wattpad All credits goes to Umera Ahmad, We have translated it into Roman Urdu/English version for those who have problem reading in Urdu Also follow us on ins...
part30
Start from the beginning