"agar yahan kisi ko iss bachi ki parwaah nahi, to mein le jaunga ise.... or ise itna kaabil banauga ki ek din ye khud aap logo se aa kr apna hak maangengi"
"ye mere pati or mein inki patni Bonditaa..."
"ba-ris-ter- ba-bu, ab thik??" "khoob bhalo!!"
"Mein tumhe apne saath, apni hi tarah, barrister banana chahta hoon" "Barrister babu Bondita" "hehheee.....Biristra Bondita Roy Chaudhary??? ban jaungi me pati babu"
"vaada kijiye mujhse ki jab bhi kam se culcatta jaenge, to ek badaam waale roshogulle le kr aenge..."
"aapko gussa aa rah h na pati babu?" "nahi aa raha Bondita" "aa raha h na??" nahi aa raha Bondita..." "aa raha h" "nahi aa raha Bondita" "nahi aa raha h..." "aa raha h" "hahahhaaa!!"
"aaj Bondita bhi kehti h aapse, ami tomake bhalobhashi" "huh!!! Bonditaaa....amio tomake bhalobhashi....khoob bhalobashi..."
"aaj mat rokiye khud ko pati babu.... keh dijiye jo mein sunna chahti hoon aapse.....keh dijiye jo aapke dil mein h...." "I love you Mishti..." "I love you too pati babu..."
"tum mujhe kabhi chod kr to nahi jaogi na Mishtiii??" "kabhi nahi....Mishti apne Aunu ko kabhi chod kr jaa skti h kya bhala??"
"tumhaar liye duniya chod sakta hoon me Mishti, pr duniya ke liye tumhe nahi chod skta, samjhi??" "Thank you for everything Aunu, you are the best thing that ever happened to me....I love you so so so so much!!!"
" I didn't complemented you na... so rather speaking something formal I chose my actions to show how irresistible you are looking today....." "ohh really!!! Then this is the best compliment I've ever got from anyone in my life......" " and you'll get this type of compliment only from me"
"ese kya dekh rahe h??" "tumhe nahi dekh raha..." "to kise dekh rahe h??" "apni patni ko dekh raha hoon, tumhe koi dikkat??"
"Aunu I'm expecting....I'm expecting from 2 months..."
"waada kijiye ki kal subah mere uthne se pehle chale jaenge, aapko jaate hue nahi dekh paungi mein...." "tum bhi waad karo jab mein waapas lautunga to sabse pehle darwaaze pr tum mera swaagat krne aaogi..." "waada raha!!!"
"aaaaahhhhhhhhhhhhh" he shouted breaking the mirror with the vase kept beside..... "nahi nahi nahi nahi nahiiii....." he covered his ears with his palm to stop those voices which were haunting him now, he curled up in a ball lying on the floor of their room......."tum esa nahi kr sakti....nahi kr skti tum esa....."
Saudamini, who was passing by his room coincidently, heard his voices and immediately rushed to him as the door was already open....
"Anirudhh....Anirudhhh kya hua tumhe....." "tum esa nahi kr skti mere saath" he was continuosely blabbering throwing her legs on the ground and pulling his hair in frustration....while he himself was crying like a baby..... Saudamini shook him harshly and loudly asked, "kya hua h Anirudh?? boloooo...." he looked at her and immediately sat up and held her hands, "tu..tu...tum meri bachpan ki dost ho na?? to...to...to tum meri madad karo naaa...." Saudamini was so happy to know that he still considers her as his childhood friend, despite knowing the fact he was not in his senses....."bolo na....karogi na meri madad??"
Sau: haan haan haan....me karungi...bolo kya madad krni h....
He smiled widely and wiped of his tears and stood up immediately, he took the frame from the bedside and merrily went to her while she looked at him with a small smile seeing that he is happy...... he showed her the photo and excitedly said, "tum ise dhoond do....ye kho gayi h.... dhundogi na tum ise???"
Her eyes welled up seeing Bondita's photo in his hand....
Sau: Anirudh....mein Mishti ko kese.....
Before she could complete her words, he grabbed her neck harshly choking her, "tumhaari himmat kese hui ise Mishti kehne ki.....ye sirf mera hak h samjhi...."
Saudamini wriggled in his grip as she was coughing badly.... and she couldn't even utter a single word....
"Anirudhhh, chod use....kya kar raha h beta...." "Anirudh leave her...." "dada chodiye" the family gathered listening to his shouting voices and the scenario left them horrified, Som and Batuk immediately went to them and tried pulling his hand back, "dada chodiye use....mar jaegi vo...."
They pulled him back and Ishaani ran and helped Saudamini to get up, "aap theek to h naa??" she asked concernedly and she too nodded glancing at raging Anirudh.... whose eyes were red like blood and was shooting daggers at her....
"chodo mujhe.....chodo...iski himmat kese hui Mishti kehne ki..... kese kaha isne use Mishti..." He was continuously shouting and was trying hard to get out of their grip and kill her..... while she was standing confused about the matter, Veer went to him and helped them to made him sit on the bed, "mene kaha chodo mujhe..... tum sunte kyun nahi meri...koi nahi sunta meri....usne bhi nahi suni....tum bhi nahi sunte..... iski himmat kese hui use uss naam se bulaane ki......vo sirf mera hak h....koi nahi bula skta use iss naam se....koi nahi....." Veer made him drink a glass of water and to calm him down, he caressed his hair and calmly said, "haaan koi nahi kahega use Mishti....koi nahi bulaega use uss naam se.....tum shaant ho jao....please...." he complained like a child to him, "nahi usne kaha use Mishti..... tum tum daato use.... tum daato nahi to mein...." he again tried to get up again but alll fo them again pushed him to the bed and Veer again calmly said, "haan haan..mein daantunga use.....tum chinta mat karo...." he looked at him hopefully and said, "tum mera ek or kaam karoge??" "haan bolo...." he showed him the frame and said, "tum ise bhi dhoond laoge??/ ye mujhse naaraz hoke chali gayi...."
The family looked at him with teary eyes but what more confusing for them was that he was behaving like a maniac..... and this concerned them more..... kaka was going to make him understand when Veer gestured him to not to say something against him.... he looked back to Anirudh and assuringly said, "haan...mein ise bhi dhoond launga..." "or ise saza bhi doge na?? isne use Mishti bulaya....." he made him lie down on the bed and covered him with blanket and said, "haan...mein sab kr dunga.... tum so jaao please...." "shotttiiiii???" "haan...shotti....so jaao please...." Anirudh glanced at her photo and hugged it tightly and closed his eyes as he was already tired..... they all sighed and the three brothers came near others
Bin: Veer, ye Anirudh ko kya hua h??? ye ese kyu behave kr raha h....
Ksj: maana use sadma laga h bahu ki maut ka...pr ese.....
Veer sighed and said, "vo hosh me nahi h..."
All together: matlab???
Veer took his steps back near his bed and bent down a bit and took out a bottle..."nashe me h vo....sharaab pi hui h usne.... "
Everyone was shocked to listen him....
Som: pr dada aapko kese pta chala....hume to pta hi nahi chala.....
Saud: haan mujhe bhi nahi pta chala...
Veer: vo isiliye kyuki tum sab ka dhyaan sirf Anirudh ki dimaagi haalat pr tha.... mera bhi vahi tha....pr mene bed ke neeche bottles dekh li thi.... or uske paas jaa kr dekha to pta chal gaya ki usne excessive drink ki h.....
Bin: pr vo tumhaari baat itni aaraam se kese maan gaya...
Veer: baba mene use paani pilaya tha.... zabardasti....jisme mene neend ki davaai milaai thi....jisse use neend aa gyi.... use aaram ki bohot zyada zaroorat h.... abhi abhi maut ke muh se lauta h vo.... hosh mein shayad apni aankhein bhi band nahi krta.... isliye mene uske paani me dawa mila di.... aap log chinta mat kijiye....kal subah hone se pehle iski aankhein nahi khulengi.... aaplog bhi jaiye or araam kijiye....mein beech beech mein aa kr check krta rahunga.....
They nodded and left from their understanding that he needs rest and being a doctor Veer can take care of him better than them.....
It was already late at night when Saudamini entered the kitchen and spotted Ishaani there doing some chores.....
Ishu: arrey aao?? aapko kuch chahiye kya?? mujhe bol deti....
Sau: nahi nahi... mein bas paani lene thi....
Ishaani smiled at her and continued her work....
Ishu: Saudamini jii.....
Sau: haan bolo.....
Ishu: vooo.... aaj jo kuch bhi dada ne kiya....uske liye mein aapse maafi maangti hoon..... please, aap unhe maaf kr dijiye.... unki haalat samajhiye....
Sau; nahi nahi.... mein samajh skti hoon.... pr ek baat puchu....
Ishu: haan puchiye na....
Sau: vo Anirudh ne esa kyu kaha ki Mishti naam pr sirf uska hak h.... matlab tum sab bhi to use isi naam se bulaate hoge naa.....
Ishu (chuchkled sadly): lagta h aapko abhi tak unki patni ka asli naam nahi pta chala..... Mishti naam pr kal bhi dada ka hi hak tha....aaj bhi unka hi h...or humesha unka hi rahega..... unhe pehle bhi nahi pasand tha ki use koi or Mishti keh kr pukaare..... or aaj bhi aapne khud dekh liya hoga......
Sau: matlab mein kuch samjhi nahi...
Ishu: Anirudh dada ko Mishti doi bohot pasand h....isliye apne pyaar ko Mishti keh kr bulaate the.... pr uska asli naam Mishti nahi tha.....
Sau: fir kya tha???
Ishu: BONDITA
Sau :kyaaaa??? Bo.... bo.....bo......bonditaaa
She stumbled a bit and held the kitchen counter for support, she was taken aback by this sudden discovery.... She never thought Anirudh to be madly in love with that little girl whom she considered as a doll to play for Anirudh.....
"didaaa.... Anirdh apne liye patni nahi, apne khelne ke liye gudiya laaya h.... jab man bhar jaega to nikaal phenkega apni zindagi se..."
"use to vo patni bhi nahi maanta.... Aaj nahi to kal Anirudh ko mera hona hi h..... "
Ishaani ran and held her, "kya hua aapko?? Aap theek to h??"
She looked at her surprisingly amd again asked, "Anirudh Bondita se pyaar krta h??"
Ishu: haan pr aap itna heraan kyun h??
Sau: iska matlab vo Bondita h jo ab iss duniya mein nahi rahi.....
Ishu nodded slowly and this again made Saudamini's eyes watery....
Sau: or vo....vo..... is haveli me ek choti bachchi bhi to h.... vo kon h??
Ishu: lagta h aapko kuch nahi h dada ki zindagi ke baare mein..... vo Mini h... dada or Bondita ki beti.... Mini...Mini Roy Chaudhary..... agar Bondita ke baad dada kisi se itna pyaar krte h to vo Mini h.... iss ghar ki jaan.... Jo pichle kuch dino se bejaan ghoom rahi h.... jo kabhi bolti nahi thakti thi, ab uski zubaan se ek shabd nahi nikalta.... Jiski aankhon mein iss ghar ke logon ne ek aansu nahi diya.... ab uski aankhon se aansu nahi rukte.... Bhale hoi poora parivaar uske saath h.... par maa baap ki kami kabhi poori nahi ki jaa sakti.... Uski mumma bhi use chodkr bhagwaan ke paas chali gayi or ab apne dadda ko bhi iss haalat mein dekh kr apni dil patthar bana rahi h vo 9 saal ki choti si bachchi.... Use lagta h ki bhagwaan ne usse uska sab kuch cheen liya.... Ab bhagwaan sirf use patthar dikhayi dete h.... jab se Bondita gayi h, hum sabne zor zor se ro kr man halka kr liya... pr vo nahi royi ek baar bhi.... Na jaane kya chal raha h uske man mein.... Na kisi se kuch kehti h...na batati h.... na hasti h... na roti h.... bas aankhon se aansu aate h, pr chehre pr koi bhaav nahi aate.... Humaari Mini esi nahi thi.... Vo to poore ghar me hasti khelti kudti rehti thi... Mumma ki laadli thi.... Or Dadda ki Angel...bohot shrarti thi.... jab Bondita use dant ti thi to dada ke paas bhaag jaya krti thi.... Or Bondita dada ko daant diya krti thi ki unhone use sir pr chada rakha h... or har baar Mini Bondita ka muh ye keh kr band kr deti thi ki, dadda loves Angel, she is Dadda's Angel.... Kabhi dada nahi hote the... apne dadu, kaka daduu ke paas chali jaya krti thi.... Or vo use daant se bacha lete the.... Som or Batuk ki baby doll h.... Batuk ke saath humesha ladti thi.... or usse lad kr usi ke paas jaa kr khelne lagti thi.... pichle kuch dino se hum jo Mini dekh rahe h.... ye vo Mini nahi h.... esa lagta h maano Bondita apne saath hi le gayi humaari puraani Mini ko.... Humne bohot koshish ki usse baat krne ki...usse sambhaalne ki.... Pr maano use akela rehna achcha lagne laga ho... akelepan se dosti kr li ho usne.... Uski aankhein kehti h ki vo jee bhar ke rona chahti h... pr esa lagta h jese kisine use rok rakha h ki Mini tumhe rona nahi h....
Ishaani was sobbing while narrating about the little girl who used to be the most notoroious once... and now who is roaming in the whole haveli .lifeless...... Saudamini too was shedding tears for the girl's misery....who just has lost her mother and turned into a stone....but none of them could do nothing except shedding tears....
Sau: tum Som ki patni ho na??
Ishu (wiping off hertears): jii... do saal ho gaye humaari shaadi ko...
Sau: tumhara or Bondita ka bacha baraabar lagta h....
Ishu: Bondita or meri delivery saath hui thi.... Bondita ki pre mature delivery thi.... 7th month me hi baby ki delivery karvani padi operation se... seedhiyon se gir gayi thi vo.... or ghar pr koi nahi tha... sirf Koyali didi thi.... pr na jaane kese vo behosh ho gayi or Bondita vahan dard me....
She started crying badly while Saudamini patted her back to console her but she herself was crying.....
Ishu: bohot intezaar kiya tha dada or Bondita ne iss baby ka.... Pr Dugga maa ko shayad unhe ye khushi deni hi nahi thi.... dada do mahine ke liye London gaye the apne sapna poora krne...pr vahi fas gaye.... Or yahan Bondita apni pregnancy akeli handle kr rahi thi.... dada baby se phone pr ghanto baat kiya krte the.... Bohot pyaar tha unhe usse.... Bhale hi paas nahi the... pr door rehkr bhi bohot gehra rishta bana liya tha unse.... Pr kismat ka khel dekhiye.... Jab vo iss duniya mein nahi aaya tha to use itna pyaar diya or jab duniya me aaya to usse nafrat krne lage.... Pehle hipre mature delivery ke kaaran bohot kamzor h vo.... Upar se Maa ka saaya bhi nahi mila... or baba ne to jese apne saaya jaan boojh kr hata liya..... bohot rota h vo....kabhi kabhi to mujhe dar lagta h ki kahi use kuch...
Sau: nahi.... Use kuch nahi hone dungi mein....mein dhyaan rakhungi uska.... Mini ka bhi.... Or ho saka to Anirudh ka bhi....
Ishu: aap dadas ko kese jaanti h??
Sau: mein or aniorudh bachpan ke dost the.... Ek doosre se pyaar bhi krte the.... Humaari shaadi tak hone waali thi.... pr Anirudh ne Bondita se shaadi krli.... Bondita mujhe pari didi kehti thi.... pr mene kabhi uske saath acha vyavhaar nahi kiya... mujhe lagta tha ki usne mujhse mera pyaar cheen liya.....Or jalan ki aag ne mujhe Bondita ki pari didi se buri didi bana diya..... Na jaane kya kya jatan kiye in dono ko alag krne ke.... Pr har baar nakaamiyaab rahi..... or mera paagalpan iss had tak badh gaya ki mene Bondita ko maarne tak ki koshish ki,,, or usi ke chaltte 10 saal tak jail me rahi... pr kehte h na jo hota h ache ke liye hota h.... jail ki zindagi ne mujhe zindagi ki ehmiyat sikha di.... Wahan akelepan me reh kr ehsaas hua ki mene kitne paap kiye h.... r ab unhe sudhaarne ka mauka diya h bhagwaan ne mujhe.... In sabka dhyaan rakh kr mein apne paapo ka prayashchit krne aayi hoon.... Aasha h ki Bondita jahan kahi bhi ho, meri koshishein dekh kr apni pari didi ko maaf kr degi....
I know it was boring!! sorry but mujhe kuch samajh hi nahi aaya ki kya likhu.... thoda college pressure chal raha h...... isliye pta nahi kya likh diya....... pr fir bhi acha bura jesa bhi lage, comments me zaroor batana.... or vote bhi krdena....
bye bye,
love you all....