Airport se ghar ka safar najane usne kaise teh kiya tha. Rote hue chote chote bachey aur dono bacho ko thaame uske liye safar na zehni tor per asaan tha na jismani tor per.
Apne ghar ke bahir taxi se nikalte hue uske dil pe najane kitna bouj tha. Baby carrier ke saath dono bacho ko aage aur peechey daale hue thi aur dono sakoon se so chuke the. Aise jese apni maa pe aate tufaan se waqif hi na hon.
Safa ne bell bajayi to darwaza Sarfaraz sahab ne khola. Apni bari beti ko dekh ke woh dekhte reh gaye chote do bacho ke saath khari woh larki jese unki pehchan me hi nahi aayi thi. Kon thi woh..?
Woh darwaze se kuch side pe hue jese use raasta diya ho. Ek lafz na bole na usne kuch kaha. Na salaam na dua kuch na tha unke beech.
Andar aate hi usne apni maa ko samne khara paaya. Rabia ne bhi apni beti ko najane kitne saalo baad dekha tha. Parne ke liye bheji beti ko aaj do bacho ke saath dekh ke unki ankho se ansu girne lage woh andar wapis kamre me chali gayin.
Safa ke samne dubara Sarfaraz sahab aa khare hue.
Woh najane kab tak unke chehre ko dekhti rahi phir sar ko jhuka liya. Ankhe ek lamhe me bhar aayi aur ansuon ko jese chupana chaha.
"Chor diya tumhare shohar ne?"
Sakht aur bhaari berehmi se bhari awaaz uske samaat se takrayi. Ek lamhe ko aati dil ki umeed tor di gayi thi us ek baat se. Usne beyaqeeni se chehra utha ke apne baap ko dekha.
"Tab meri sun leti aaj is haal me na hoti Safa"
"Dad Hamdaan ne mujhe nahi chora usne aap ko call bhi ki thi"
"Jis mushkil me woh daal chuka hai tumhe aur khud ko ab kya lagta hai tumhe wapis aa jaye ga? Bach jaye ga woh?"
"Please dad aisa mat kahen..sirf shohar nahi hai woh mera mere bacho ka baap hai..!"
"Usi tumhare shohar ne meri minnaten ki thi ke uski aulaad ko apne ghar panah de dun woh do kori ka sarkari mulazim akhir ko minnaton ke ilawa kya kar saka? Kuch nahi! Tumhe kya diya usne? Kuch bhi nahi! Agar apne maa baap ki izzat rakhti tum aaj ek mehel jese ghar aur ek achi hesiyat ke shaks ki biwi hoti raaj karti!"
"Mera shohar sarkari mulazim sahi lekin kisi bhi achi hesiyat ke aadmi se hazaar baar behtar hai! Aap kehte hain usne mujhe kuch nahi diya? Usne mujhe woh diya hai jo na aap ne kabhi mama ko diya naa aap ke us ache hesiyat ke logon ne apni auraton ko diya, izzat muhabbat aur ehtemaad..!"
Woh aaj bhi khamosh hone wali nahi thi baat uski muhabbat pe aayi thi uske shohar pe woh kese khamosh rehti?
"Mere aage ab bhi zubaan chalate hue sharam nahi aayi tumhe?!"
Unka haath utha tha aur uske gaal pe jaa laga. Woh larkhara pari agar deewar ka sahara na hota shayad woh zameen pe jaa girti. Sarfaraz usi lamhe wahan se chala gaya aur Safa apna gaal thame zameen per gir gayi.
Uski beti ki ankh khul gayi thi aur usne uska maatha choomte use chup karwane ki koshish ki woh to kuch der baad chup ho gayi lekin use chup karwane wala aaj uske paas na tha.
Woh choti si Hamia ko thaame najane kab tak roti rahi. Uske paas aaj koi thikana na tha. Woh use yaad karke roti rahi jo uske liye uski dhaal tha.
Raat ke waqt jab uska phone baja to usne lapak ke call attend ki thi.
"Hamdaan..!"
"Kesi ho?"
Woh rone lagi. Tarap ke hichkiyon ke saath rone lagi.
"Safa kyun meri jaan nikal rahi ho? Kya hua he?"
"Mujhe nahi rehna yahan..!"
Woh dard se boli Hamdaan ko apna dil doobta mehsoos hua.
"Kisi ne kuch kaha hai..?"
Usne besakhta pucha.
"Mujhe bas wapis aana hai Hamdaan mujhe aap chahiyen mujhe kuch acha nahi lag raha.."
"Bas kuch arsa Safa bas kuch arsa.."
"Main akeli ho gayin hun aap ke bagair..aap ko mera khayal kyun nahi aata..?"
"Mere bas me hota to tumhe khud se ek lamha bhi alag na karta Safa..ek second ke liye bhi nahi"
Woh nahi jaanti thi agar woh wahan ro rahi thi to phone ke dusri taraf bethe us khoon se lat pat insaan ka dil ro raha tha.
"Safa?"
Dheemi awaaz.
"Yeh kabhi mat sochna maine kabhi tumse muhabbat nahi ki...yeh kabhi mat sochna ke meri muhabbat kamzor thi ke maine tumhe chor diya.."
Uska har ek lafz uske ansuon ki raftaar ko taiz karta gaya. Zindagi bohat behrehem thi. Zindagi ne unhe kis mor pe laa ke khara kar diya tha jahan woh dono ek dusre ke liye tarapte rote magar koi hal na nikal pate.
Zindagi sach me bohat beh rehem thi...
_______
"Yeh kon hai..?"
Us din usne pehli baar Fahad se sawaal kiya tha. Jise usne ek nazar dekha phir use dekha.
"Tumhe mujhse kuch puchne ka haq nahi hai remember?"
Woh bol ke apne phone pe lag gaya.
"Fahad...main yahan hoon kyun agar mujhe poochne ka haq nahi hai aap ki biwi ban ke rehne ka haq nahi hai...?"
Woh na cheekhi thi na gussa hui thi bas beyaqeeni ke alam me boli thi.
"I am not answerable to you Eyila. Aur tum yahan kyun ho yeh main bhi achey se jaanta hun aur tum bhi. Ab rona dhona daal ke kya mile ga tumhe?"
"Agar aap ki aulaad hai already to aap ke parents mujhe kyun roz taane maarte hain..? Mera kya wajood hai..?"
Aaj jese uska sabar jawaab de gaya tha ab use apne sawaalon ke jawaab chahiye the. Woh kamzor eyila kisi ke samne uff tak na karne wali eyila ko aaj jawab chahiye tha.
"Kyun ke poori zindagi bahir reh ke bhi unki dakiyanusi soch hai. Unhe lagta hai jayaz aulaad me aur najayaz me farak hai. Khair mujhe koi farak nahi parta."
Us lamhe un do saalo me pehli baar Eyila ko Fahad ki zaat se ghin aayi thi. Use usse nafrat mehsoos hui thi.
Woh uske baad ek lafz na boli. Aur koi sawaal na pooch saki. Aur koi jawaab sunne ki himmat na bachi.
Us shaam usne bohat arse baad apni maa se phir umeed lagayi thi usne unhe call ki thi jisse use apna masla batane ka mouka na mila magar yeh maloom hua ke Safa wapis aa chuki thi. Woh agli subha hi apni saas ko batake ek saal baad apne ghar wapis gayi thi.
Us din woh apni behen ke gale lag ke pehli baar dil khol ke royi thi. Safa najane kitni baar use gale lagati uske chehre ko choomti use dekhti rahi uski choti si behen sehermand si behen ab kahin use nazar na aa rahi thi woh ab ek kamzor si larki thi jiske ankho ke neechey gehre halke the aur chehre ki jild bhi sookhi si jese apna khayal rakhna hi chor diya ho usne.
"Aap ko bohat yaad kiya maine"
Woh boli to Safa ne uske gaal ko thaama.
"Maine bhi.."
Safa ne fikarmandi se use dekha tha aur jese kuch lamhe ke liye uski apni pareshani ek kone me chali gayi thi.
"Yeh kya haal ho gaya he tumhara Eyila? Tum meri calls bhi nahi uthati thi phir tumhara number band ho gaya main itna pareshan thi tumharr liye."
"Main theek hun aapi. Mera phone kharab ho gaya tha number naya kar liya.."
Woh use kese batati ke uska phone kisi ne tor diya tha aur use naya kisi ne na dilaya tha na woh le payi thi. Uska guzara ghar ki landline ya Ismat ke phone pe hua karta tha.
"Kahan se theek ho..?"
"Aap apna haal dekhen? Hamdaan bhai kahan hain kya hua he ek dam?"
Safa ne use sab bataya aur Eyila herat se kuch lamho ke liye kuch na keh payi phir boli.
"InshAllah sab theek ho jae ga aap fikar mat karen. Aap mujhe mere bhanji aur bhanje se nahi milwaen gi?"
Woh baat ko badalte hue dheemi muskurahat ke saath boli to Safa ke honto pe kitne arse baad muskurahat aayi.
Eyila to apne gham chupane ki aadi thi use yeh hunar in 2 saalo ne bohat achey se sikha diya tha magar woh jaanti thi Safa ke liye ziyada bara gham tha uski judai muhabbat karne wale shohar se thi.
"Allah kitne chote chote hain dono..!"
Eyila ki goud me chota sa Hamish tha jo ke apni khala ko dekh ke roya nahi tha balke uske baalo se khel raha tha.
"Dono Hamdaan bhai pe gaye hain? Aap ki jesi shakal to nahi hai"
Usne kaha to Safa has di.
"Haan dono apne baba pe hain. Hamia se to Hamdaan ko itna pyaar hai tum soch nahi sakti. Aur yeh Hamish se thori ziyada un jesi lagti hai.."
Woh apni sochon me bolti gayi aur ankhe nam ho gayin. Use gour se dekhti Eyila dheere se boli.
"Itna pyaar karti hain aap Hamdaan bhai se..?"
"Main khud bhi nahi bata sakti kitna karti hun.."
Woh gehri awaaz me boli aur ankh ke kone ko ragra.
"Eyila ek waada karo gi mujhse?"
"Kya?"
"Kabhi agar Hamdaan aur mujhe kuch ho gaya to tum inhe inki dado tak poncha do gi..? Inhe yahan mat rehne dena Eyila...dad inse nafrat karte hain bohat nafrat.."
"Aapi kesi baate kar rahi hain aap? Allah na kare aap dono ko kuch ho..! Aap dono apne bacho ke saron pe salamat rahen"
"Bas ek waada chahti hun ke mere bachey nafrat ke beech na palen"
Usne uska haath thaam liya to Eyila ne gehra saans le ke apni behen ki ankho me dekhte jawab diya.
"Waada karti hun inhe aisi kisi jagah nahi rehne dun gi jahan inhe muhabbat ke ilawa kuch bhi mile.."
Safa ne jese sakoon ka saans liya jese ek farz adaa kar diya ho..
__________
"Phir? Kya hua?"
Usne besakhta pucha.
"Phir woh hua jisne sab barbaad kar diya. Ek shaam aayi call ne ek lamhe me sab khatam kar diya."
"Hello?"
"Main Zafar baat kar raha hun."
"Zafar bhai? Kese hain aap? Sab theek hai aap ne is waqt call ki?"
Safa ne fikarmandi se pucha.
"Woh...I'm sorry bhabi... aaj subha me Hamdaan ki ek accident me death ho gayi..."
Safa us lamhe samjh na paayi thi ke jo use kaha gaya tha woh sach tha ya phir koi ghinona bura khuwaab.
Woh kya keh raha tha? Woh kis Hamdaan ki baat kar raha tha? Uska Hamdaan?? Woh kese use chor sakta tha? Woh to keh raha tha ke bas kuch arse ki baat thi woh use humesha ke liye kese chor ke jaa sakta tha??
"Bhabi? Jaanta hun yeh khabar kitni bari hai magar uski zubaan pe akhir tak yehi baat thi ke aap wapis pakistan mat aaen. Na aap na bachey kisi bhi surat usne aap sab ko wapis aane se rokne ko kaha tha. Aur woh sach keh raha tha bhabi halaat is tarah ke hain ke Sajid Aleem ka jitna nuksan ho chuka hai uska dil Hamdaan ko maar ke nahi bhara woh usse jure kisi rishte ko nahi chore ga"
Safa ke haath se phone gir chuka tha. Uske zehen me ek bhi baat na aayi thi. Woh kya keh raha tha kyun keh raha tha kuch bhi na samjh aaya use.
Use us lamhe apni poori duniya apni ankho ke samne toot ti bikharti dikh rahi thi. Sab khatam ho chuka tha. Uski duniya khatam ho chuki thi.
Woh zameen pe girti chali gayi. Ek siski labon se nikli ek cheekh gale se nikli dil ki dharkan ne saath chor diya. Woh sisakti roti cheekhti rahi.
"Kya hua he?!"
Rabia begam ne apni beti ko dekh ke pucha woh roti chali gayi.
"Aap logon ki baddua lag gayi mujhe...sab khushiyan chin gayin mujhse..!"
Woh cheekh ke boli thi apne maa baap ke chehre ko dekhti woh cheekhi thi.
"Sab chin gaya mujhse sab kuch..! Ab khush hain aap dono...?"
Woh dard ki shiddat se jese ab apni kisi baat ko bhi samjh na paa rahi thi. Uska sar phatne ko tha uske jisam ka har hissa jese uska saath chorne ko tha. Sab khatam ho kyun nahi raha tha..?
Sab kuch akhir ruk kyun nahi raha tha?
Hamdaan Ali ne usse waada kiya tha ke woh uska saath nahi chore ga aur aaj usne apna waada tor diya tha.
Aaj usne pehli baar apna waada tor diya tha. Aaj woh uske rote bilakte wajood ko sambhalne ke liye wahan kahin na tha.
Use maloom na tha kis ke baazu the uske aas paas aate kis ki awaaz thi use pukaarti. Woh apne hosh me na rahi thi aur ek lamhe me sab andhere me doob gaya tha.
__________
"Jab unho ne kaha tha na unhe bhi nahi pata woh unse kitni muhabbat karti hain sahi kaha tha unho ne. Unki judayi seh nahi sakin thi woh bimaar rehne lagi thin shadeed depression me chali gayin thi."
Eyila ki dukh bhari awaaz thi.
"Kya unho ne khud ko..?"
"Nahi..woh ek maa thi apne bacho ke saath khud aisa kuch nahi kar sakti thi. Hamdaan bhai jinke khilaf case lar rahe the unke tallukaat aur dushmani itni thi ke unhe laga shayad abhi bhi kuch saboot Safa aapi ke paas hain unho ne unhe bhi marwa diya. Meri behen cheen li unho ne...Hamish aur Hamia se ek saal ki umar me baap ke saath saath unki maa bhi cheen li un jaanwaro ne...!"
Eyila ne sar jhuka liya woh apne ansuon ko na rouk saki. Uske haath ko un mazboot haatho ne thaama aur halka sa apni taraf morte hue kaha.
"Eyila..tumhe is sab ke bare me batane ki zaroorat nahi-"
"Nahi...hai zaroorat aaj hai zaroorat..."
Woh sar jhatakti boli.
Beti ki mout ne Rabia aur Sarfaraz ko hila diya tha peechey bachne wale dono bacho ka dihaan Rabia rakh rahi thi magar woh usse sambhale na jaate aur wahid kisi se bachey chup hote to woh Eyila thi.
Eyila apni behen ke gham me alag nidhaal thi magar uske bacho ko sambhalti to use jese woh dukh woh dard halka hota mehsoos hota. Dil me laga zakhm kuch bhar sa jata. Magar phir bhi woh yehi sochne pe majboor ho jati ke akhir uske saath aise kyun ho raha tha? Zindagi me jo bhi use kuch acha kuch behtar milta woh usse cheen liya jaata..akhir wohi kyun..?
Sarfaraz sahab ko jab baat ki gehrayi ka maloom hua to unho ne bacho ki dadi aur phupho se raabta karne ki koshish ki ke kisi tarah woh bacho ko unke hawale kar dete magar raabta ho ke nahi de raha tha. Din ba din unhe fikar hone lagi ke agar unki zindagion me koi masle shutu ho gaye to woh kya karen ge?
Unke zehen pe bandi khouf aur khudgarzi ki patti unhe yeh tak na dekhne deti ke jinse woh apna peecha churwana chah rahe the woh unke apne sage nawasa nawasi the.
Ek mah ki koshish ke baad jab Pakistan koi raabta na ho paya to unho ne ek bara faisla kiya. Bacho ko adoption ke liye de dene ka.
"Aap log kese kar sakte hain yeh? Aapi ke bachey hain yeh! Khoon hain humara!"
Jis din Eyila ko yeh baat maloom hui use apne kaano pe yaqeen na aaya.
"Jinka asal khoon hain woh khud inse jaan churwae bethe hain aur hum khud ab is umar me nahi hain ke bachey paalen ya kisi bhi kisam ka masla sar len"
Sang dili ki inteha ho chuki thi. Sarfaraz sahab ke seene me jese dil ki jagah patthar ne le li thi.
"Aap me dil nahi hai kya dad? Aap ko taras nahi aata ke aapi ki ruh kitni tarpe gi..?"
Woh dukh se boli thi.
"Tum kab se itni zubaan chalane lagi? Apne ghar jao tumhara maamla nahi hai yeh"
Woh hatmi faisla sunae wahan se jaa chuke the. Eyila ne khamosh bethi apni maa ko dekha. Unse puchna chahti thi ke woh kesi maa thi magar kya faida tha unse kuch puchne ka? Usne to unse umeed lagana waise bhi chor di thi. Khamoshi se apna bag uthaya aur bahir nikal gayi thi.
Ab use kuch karna tha, ab use apna waada nibhana tha.
Ghar aa ke woh raat tak apne kamre me Fahad ki wapsi ka intezar karti rahi. Bohat arse baad usne is tarah uska intezar kiya tha. Jab woh ghar wapis aaya to woh uski taraf lapki.
"Aap se baat karni hai"
Woh khamoshi se apni ghari utar ke rakhta apna phone dekh raha tha.
"Bolo"
"Aaj tak ek cheez nahi maangi aap se naa hi aage maangun gi naa hi mujhe aap ke kisi rishte kisi aulaad pe koi ehteraaz ho ga bas ek kaam mera kar den. Pehle aur akhri."
Woh sanjeedgi se boli to Fahad ne kuch herat se use dekha. Woh kab se itna bolne lagi thi?
"Blackmail kar rahi ho?"
"Nahi bas ek favor maang rahi hun"
Woh kuch lamhe use dekhne ke baad jawaban bola.
"Kesi favor?"
"Safa aapi ke bachey hain unke daadke se koi rabta nahi ho pa raha aur legal guardian hone ke naate dad unhe adoption ke liye dena chahte hain."
Fahad ne ulajh ke use dekha tha.
"Usse mujhe kya?"
"Main unhe adopt karna chahti hun"
"Pagal wagal to nahi ho gayi ho?"
"Main serious hoon Fahad."
Fahad ne apne maathe ko masla aur uski is nayi khuwaish pe pareshan hua.
"Kyun? Tumhe kya lena dena usi behen ki wajah se tum bhi phasi thi is sab me basically usne hum sab ki zindagi kharab ki hai uske bacho se tumhe kya fafak parta hai?!"
Woh jhunjhula ke bola tha Eyila ek lamhe ki simat si gayi magar phir himmat kar ke boli.
"Waada kiya tha aapi se mehne unke bacho ko akela nahi chorun gi...please Fahad...kuch nahi maangu gin kuch tang nahi karun gi iske baad..ek lafz ek shikayat bhi nahi...please..!"
Woh uski minnat pe utar aayi thi. Fahad uski ankho se behte ansu uski minnaten sunta kuch der use dekhta raha phir dheere se bola.
"Rona band karo main sochta hun"
Fahad ke rawaiye ne Eyila ke andar ek gehri umeed ko jagah di aur phir kuch dino baad woh raazi ho gaya is shart pe ke woh uski girlfriend aur bete wali baat pe koi shor nahi daale gi aur Eyila ne apni zuban pe chup ko farz kar diya. Us lamhe use koi bhi shart manzoor thi.
Kuch dino baad aur Fahad ke bohat mushkil se apne waliden ko manane ke baad bachey unke ghar aa gaye the. Sarfaraz sahab ko had se ziyada herat hui magar unke gale se utarti mushkil thi woh ek lafz bhi na bole.
Eyila bacho ke aate hi aisa unme kho gayi jese uski kul kainaat wohi hon.
Uski andheri zindagi ki nanni nanni roshniyan. Uski behen ki uske liye chore hue do phool.
Bacho ke aane se kuch ajeeb sa hua tha Fahad usme dilchasbi lene laga tha. Najane aisa kya hua tha shayad woh bacho ke aane se khil gayi thi hasne lagi thi ya phir kya tha jo Fahad ko uske kareeb laane laga.
Zindagi ajeeb thi shadi ki takriban teen saal baad is shaks ko usme dilchasbi hone lagi. Woh ghar me waqt guzarne laga. Woh yahan tak ke bacho ko bhi dekhta tha. Eyila ko samjh na aati woh akhir kesa rad e amal deti is situation pe? Khush hoti? Maazi bhula deti? Ya bas pehle jesa rawaiya jaari rakhti?
Kuch mah guzre to pyaar ke liye humesha se bhooki rehne wali Eyila Sarfaraz pighal ne lagi. Zindagi behtar hone lagi thi.
"Eyila? Aaj shaam khane me kuch acha bana lena Khawar aa raha hai"
Fahad ke subha batane pe woh kuch heran hui Khawar itne saalo me mushkil se ek ya do dafa wapis aaya tha ab uske achanak aane pe use herat hui.
"Okay bana kun gi"
Khawar ka aana koi ittefaq ya apne ghar walo ki yaad na thi use yeh maloom hua tha ke Eyila aur Fahad Safa ke bacho ko paal rahe the. Yeh baat use hazam na hui thi.
Jab aa ker usne Fahad ka Eyila se badla rawaiyya dekha aur Safa ke bacho ko apni ankho ke samne dekha to uska khoon kholne laga use bardash na tha Safa aur uske shohar ki aulaad uske bhai ke paas uske ghar pale. Woh Safa se badla na le saka tha woh un bacho ko bhi wahan bardash karne wala na tha aur is sab me Eyila bhi uske shikaar ka hissa ban chuki thi.
Ek shaam jab Eyila apne kamre se bahir nikli to darwaze ke samne Khawar khara mila woh heran hui thi aur Khawar masnooi muskurahat liye uske paas aaya. Eyila ek kadam peechey hui thi.
"A..aap ko kuch chahiye..?"
Khawar suske ain samne aa ke khara hota use upar se neechey tak ghoorne laga.
Uska andaaz use acha na laga tha.
"Chahiye to hai kuch"
Eyila ghabra gayi thi.
"Waise bohat change ho gayi ho tum ab tum bhi khubsoorat lagne lagi ho apni behen ki tarah"
Woh bola to Eyila usse door hat ti wahan se jaana chaha.
"Kahan jaa rahi ho baat kar raha hun?"
"Khawar bhai...door ho ke baat karen.."
Woh nazre jhukae boli thi. Magar woh beshrmo ki tarah use ghoorta raha tha.
"Arrey bhai kahan se ho gaya tumhara..?"
Uske baalo ko kaan ke peechey karne laga jab Eyila ne uska haath jhatka.
"Yeh kya ho raha hai?"
Peechey se aata Fahad apni jagah sakid sa khara dikha. Khawar mur ke apne bhai ko dekhata bola.
"Eyila ko kii baat karni thi mujhe rouk liya ab bata hi nahi rahi"
Woh is safayi se jhoot bol gaya ke Eyila hakka bakka use dekhti rahi ek lafz mu se na nikla.
"Khair baad me bata dena koi nahi main konsa kahin jaa raha hun"
Woh wahan se chala gaya Eyila ab tak kuch na bol payi Fahad ne use dekha phir bagair kuch kahe kamre me chala gaya.
Khawar ki aisi harkaten bohat der tak chalti rahi thi aur Eyila ab dar ke maare apne kamre se tak aksar nikalne se darti magar usne Fahad ko kuch na bataya tha. Woh apna waada nibha rahi thi use koi shikayat na karne ki magar ek din uski jese bas ho gayi woh Fahad ke paas gayi thi.
"Fahad aap se baat karni hai?"
"Haan bolo?"
"Mujhe..mujhe kuch acha nahi lagta jab Khawar bhai-"
"Eyila baad me baat karen ge call aa rahi hai"
Woh uth ke chala gaya tha aur uske baad bhi aise hi chalta raha. Khawar ne ahista ahista Fahad ke kaan me Eyila ke khilaaf zeher ugalna shuru kiya badgumaan karna shuru kiya uske kirdaar pe baat karne laga.
Fahad ka sahi hota rawaiyya dubara se bigar chuka tha aur is baar Eyila ko apne liye uski ankho me hakarat nazar aana shuru ho chuki thi aur is sab me use samjh na aaya woh yeh khabar use kese sunati.
Woh us shaam Fahad Shiraz ko yeh batane gayi thi ke woh maa banne wali thi magar Khawar Shiraz ne uski zindagi tabah karne ka intezam kar liya tha.
"Fahad aaj bohat zaroori baat hai please sun len"
Woh boli to Fahad jo ke kursi pe betha kuch tasveeren dekh raha tha use laal surkh hoti nigahon se dekhne laga. Eyila ka dil doobne laga tha.
Magar woh himmat kar ke boli.
"Meri tabiyat nahi theek thi test kiya to pata chala ke..I am expecting"
Woh nervous si boli to kitni der ki khamoshi ke baad uske kaano me ek awaaz takrayi.
"Kis ka bacha hai..?"
"K..kya..?"
"Main pooch taha hun kis ki aulaad hai?? Sharam bhi nahi aati tumhe?!Tum jesi aurat ke kareeb aana shuru ho gaya tha main mujhe to khud se ghin aa rahi hai"
Woh gusse se cheekha aur tasveeron ko utha ke uske mu pe de mara.
Zameen pe girne wali tasveeren uske hosh ura gayi thin. Woh is kisam ki tasveeren thi jinme woh kayin tarah se aise lagti jese kisi larke ke saath khari hai chipki hai aur najane kya kya jo ke uska dimaag bhak se uraa chuki thi.
"Yeh kya bakwas hai Fahad..!"
Woh beyaqeeni se dabi awaaz me chillayi. Use poora aasmaan apne sar pe aa ke girta mehsoos hua tha.
"Awaaz mat uthana apni..!!"
Woh aage hua aur use ek thappar de mara Eyila apna tawazun kho bethi.
Aaj asal maano me uski zaat ki dhajjiyan ura di gayin thi.
Aaj use aisa laga jese use bharebazar me ruswa kar diya gaya ho jese usse har parda cheen ke use chonk pe khara kar diya gaya ho.
Zillat ki woh inteha thi ke Eyila ki ankh se ek ansu tak na nikla.
"Jaan churawao isse Fahad pehle hi tum bohat seh chuke ho yeh sab"
Peechey se aati woh awaaz Khawar ki thi. Usne Eyila ka baazu khench ke use ghaseeta tha. Eyila ne apna baazu jhatke se churwaya usne kuch thitak ke use dekha.
Eyila uth khari hui. Aur us lamhe nayi Eyila paida ho chuki thi. Use sab ne tor diya tha use ab kisi ki parwa na thi siwae apni aulaad ke jiski zaat ko ek gaali banaya jaa raha tha.
"Bas. BAS!!"
Woh cheekh uthi.
"Main koi safai nahi dun gi. Meri zaat ka mere kirdar ka gawah mera khuda hai. Talak deni hai to do!!"
Woh cheekhti chali gayi. Woh us lamhe khamosh hone wali nah thi. Woh dono herat se use dekhte rahe the. Itni uski awaaz unho ne aaj tak na suni thi aur haqeeqatan usne khud bhi apni itni awaaz na suni thi magar us lamhe woh sirf ek maa thi.
"Dafa ho jao mere ghar se. Abhi isi waqt Eyila."
Aur Fahad Shiraz ne teen lafzo ke saath aaj woh ek adhoora kissa bhi khatam kar diya tha.
_______
Woh khamoshi se aasmaan ko takti rahi thi. Ek gehri khamoshi cha chuki thi aur bas us khamoshi me Eyila ki ankho se ansu behte chale gaye the. Zalaan ki mutthiyan musalsal bhinchi hui thi.
"Main badkirdar nahi thi..main aisi nahi thi magar meri poori zaat ko gaali bana ke rakh diya..."
Usne Zalaan ko dekha tha aur Zalaan ki surkh hoti ankho me use ek aag si dikhi.
"Woh tasveeren asli nahi-"
"Main Fahad nahi hun Eyila. Mujhe koi kuch bhi saboot de de main kabhi tumhare kirdar ko shak ki niagh se nahi dekhun ga."
Woh uski ankho me dekhta bola tha Eyila use dekhti rahi thi. Aur phir ek hi lamhe me use maloom na hua woh kab uske seene me chup gayi.
Zalaan ke mazboot bazuon ne use apne andar chupa liya tha aur Eyila Sarfaraz ko pehli dafa zindagi me mehfooz hone ka ehsaas hua.
Us din use maloom hua ke wahan use kuch nahi ho sakta tha wahan uspe uthne wali koi ungli us tak nahi aane di jaye gi wahan uspe aane wala har waar Zalaan Alamgir se ho ke guzre ga.
Ab woh mehfooz thi...
_______
Assalamu alaikum!
THIS CHAPTER WAS SO FREAKING HARD TO WRITE I HATE MYSELF FOR WHAT HAPPENED TO SAFA AND HAMDAAN😭
And it was supposed to be more detailed but I am too attached to them I couldn't write their death scene 😭🫷🏽
Still lmk what you guys think about the chapter and story and please vote and share!
Lots of love!