Rone se jo bhaRraas thi dil ki nikal gayi,
Ansuu bahaye chaar tabiyat sambhal gayi,
Main ne taras taras ke guzari hai sari umar,
Meri na ho gi jaan jo hasrat nikal gayi,
Bechain hoon main jab se nahin dil-lagi kahin,
Woh dard kya geya ke meri dil ki kal gayi,
Kehta hai chaaragar ke na paye ga indimal,
Acha hua ke zakham ki surat badal gayi,
Ae shamaa hum se soz-e-mohabbat ke zabt seekh,
Kambakht ek raat main saari pighal gayi,
Shakh-e-nihal-e-umar hamari na phal saki,
Yeh to hai woh kali jo nikalte hi jal gayi,
Dekha jo us se pyar se aghyar ki tarf,
Shayar qasam khuda ki meri jaan jal gayi..