Anger

73 1 0
                                    

"Congratulations bhai apki toh nikal padi." Ayesha apne bhai ke pass baithti hui boli.

"Wo raazi hogayi?" Fardan apne behn ki muskurahat dekhte hue puchne laga.

"Haan bhai...mai ne khud usse pucha. Usne khud iss rishte ke liye haan kaha." Ayesha khushi se boli phir kuch yaad aane pr uske aankh mein aansu aagye.

Fardan apni behn ke aansu dekhte hue pareshaan ho kar puchne laga, "ye toh khushi ki baat hai na tum kyun aansu baha rahi ho?"

"Bhai mai bahot khush qismat hu jo mere pass aap ho. Aaj jo Faiza ki halath thi wo dekh kar mujhe rona aa raha hai." Ayesha ke aansu rukne ka naam nahi le rahe the. Wo apne bhai ke pass baithi sab yaad karti hui bole jaa rahi thi.

"Mujhe lagta hai zaroor kuch toh galat tha. Faiza ke mama mami usse pasand nahi karte shayad. Wo toh usse jald se jald bhagana chahte hain. Pata nahi pr mujhe lagta hai uska chehra dekh kar ke wo bemaar thi aur shayad usse bahot maar" Ayesha Faiza ki halath sochte hue Fardan ko bol hi rahi thi ke usse ek vase tootne ki awaaz aayi aur wo darr se uth gayi. Fardan ke haath se khoon jaa raha tha aur Ayesha bhaagti hui first-aid le aayi.

"Bhai apko kya hogaya? Ye kya kiya aapne?" Ayesha uska khoon saaf karti hui puchne lagi.

"Mai kuch der akela rehna chahta hu Ayesha. Hum baad mein baat karenge." Fardan apne gusse ko kaabu karne ki koshish mein nakaam hua toh wahan se chala gaya.

Fardan ek kamre mein baitha koi tasweer haath mein liye dekh raha tha. Uski aankhein uss tasweer ko dekh kar gusse se laal ho rahi thi. Fardan jis kamre mein baitha tha wo kamra Faiza ki tasweer'on se bhara tha jise wo dekh raha tha. Uska gussa kam ho hi nahi pa raha tha. Wo bahar aaya aur gaadi tezi se chalata hua kahin chala gaya. Ayesha ko apne bhai ki iss halath pr taras aa raha tha. Wo jaanti thi Fardan Faiza se bahot mohabbat karta tha. Ye koi nayi mohabbat ya attraction nahi tha. Fardan toh Faiza ko bahot saalon se jaanta tha aur usse paane ke liye bahot kuch kar raha tha jo Ayesha bahot ache se jaanti thi.

Bachpan mein Fardan aur Ayesha ke maa baap ek car accident mein marr chuke the aur yahi wajah thi ke bahot choti si umar se Fardan Ayesha ka sab kuch ban kar usse paal raha tha. Ayesha Fardan se 5 saal choti thi lekin Fardan ne usse aise sahara diya tha jaise wo usse 10-15 saal bada ho. Ayesha Fardan se bahot mohabbat karti thi aur uski har khwahish poora karna chahti thi pr Fardan ne toh kabhi kuch maanga hi nahi tha.Jab se wo Fardan ko dekhti aayi thi ye pehle dafa tha ke usne Ayesha ke alawa bhi kisi se itni mohabbat ki ho. Wo har kisi se jallad ki tarah pesh aata pr Ayesha ke liye wo ek bahot pyaara bhai tha. Faiza se nikah ki khwahish hi ek khwahish thi jo Fardan ne sabke saamne zaahir ki thi. Ayesha har haal mein Faiza ka nikah apne bhai se karwana chahti thi pr Faiza ko zabardasti apne bhai ke saath bandhna nahi chahti thi. Wo yahi baatein sochti hui Fardan ka intezaar karti hui wahi sofe pr sogayi.

*******************************

"Fardan beta tumhein nahi lagta ye bahot zyada jaldbaazi kar rahe hain hum? Faiza abhi padh rahi hai aur hum itna jaldi nikah kaise kar sakte hain?" Phuppo ne samjhate hue kaha.

"Faiza ki padhai nahi rukegi mai nikah ke baad bhi usse padha lunga. Aap bas kal hi nikah karwa dijiye. Mai chahta hu wo uss ghar mein ek minute aur na rahe." Fardan Ayesha ki baatein yaad karta hua gusse se bol raha tha.

"Pr beta.." phuppo kuch bol hi rahi thi ke Fardan ne beech mein tok kar kaha, "Please phuppi mujhe apse behes nahi karni. Ap bas unse baat karke kal nikah karwa dijiye. Agar wo inkaar karte hain toh mai dekh lunga unhe."

Fardan apni baat mukammal karke bina koi jawab sune wahan se chala gaya. Fardan bachpan se hi gusse ka tez tha isliye sab usse darte the. Phuppi ne hi Ayesha aur Fardan ko paal kar bada kiya tha pr jab Fardan 18 saal ka hua toh apne walid ka business sambhalne laga aur Ayesha ko le kar apne purane ghar mein rehne laga jo kisi mahel se kam na tha.

Ayesha aur phuppi saari taiyyari karne mein lagi thi. Ghar ke saare mulaazim unki madad kar rahe the. Ayesha aur phuppi ne Faiza ke mami se baat karli thi aur wo kal nikah karwane ke liye raazi the. Sab iss shaadi se bahot khush the siwaye 2 logon ke, jo the Faiza aur Shafiq.

******************************

"Faiza tum kyun raazi hui shaadi ke liye? Tum saaf inkaar kar deti aur sab sach bata deti!" Rumaisa Faiza ko samajha rahi thi.

Faiza uske gale pad kar ro rahi thi. Uske aansu apni dost ko dekh kar aur zyada behne lage. Usse Rumaisa ke saamne ro kar ab kuch sukoon mila tha. Wo boli, "tum jaanti ho na mami kaisi hai...wo mujhe iss ghar mein dekhna nahi chahti. Agar main iss shaadi ke liye raazi na hoti toh mujhe wo ghar se nikaal deti phir main kahan jaati? Kyunki tum toh jaanti ho college ke hostel mein bhi rehne ke liye mujhe paise dene padenge. Aur agar wo log mujhe muft mein rakh bhi lenge toh Chairman ka rishta thukrane ki wajah se wo log mujhe aage padhne bhi na dete. Main bahot majboor hu Rumaisa. Mai nahi jaanti unhein mujhme kya dikha pr mai abhi tk sure nahi hu iss rishte ko le kar. Main hamesha khudko sabse thukraya hua mehsoos karti hu...sirf tum ho jo mere liye sabse khaas ho pr pata hai hamare chairman pehle insaan hai meri zindagi me jo saamne se mujhe apnana chahte hain aur hairat ki baat ye hai ke ye ek hi rishta hai jisse mai bhaag rahi...warna toh har rishte me main hi hamesha se zabardasti rahi hu kyunki mere mumma ke jaane ke baad toh koi mujhe apnana nahi chahta tha. Bas mama ki khaatir mami ne mujhe ab tk jhela hai pr ab mujh pr ek dhabba lag gaya jis wajah se wo bhi mujhe apnane se picche hatt rahe hain." Faiza apne aansu saaf karte hue boli.

Rumaisa khamoshi se Faiza ko sun rahi thi. Usse rota dekh uske aankh mein bhi paani aagaya tha pr wo khudko control karti hui Faiza ko sambhal rahi thi. Rumaisa kuch bolne hi lagi thi ke mami kamre mein aagayi aur boli, "Faiza tum jaldi se taiyyar hojao, 10 minute mein Ayesha tumhein beauty parlour le kar jaane ke liye aa rahi hai. Aur agar tum chahti ho toh apni iss saheli ko saath le jaa sakti ho aur khabardar jo Ayesha ke saamne koi nakhre kiye ya iss rishte ko todne ki koshish ki toh mujhse bura koi nahi hoga."

Faiza ne haan mein sar hilaya aur taiyyar hone chali gayi. Usne ek safed kurti pehni thi jispe green leggings aur multi colours ki chunri odhi hui thi. Baalon ko dheeli choti mein bandhne lagi thi ki Ayesha uske kamre mein aagayi. Ayesha uska kamra dhiyaan se dekh rahi thi. Ek chota sa kamra hone ki wajah se yahan zyada kuch samaan tha nahi. Sirf kuch kitabein jo ek table pr padi thi. Ek chatai jo zameen pr bichi hui thi aur ek bada sa bag ek kone mein pada tha. Ayesha ko Faiza pr taras aa raha tha pr usne wo zaahir nahi kiya.

"Kaisi ho Faiza? Last time jab mai aayi thi toh tum bemaar thi...ab tum theek ho na?" Ayesha Faiza ki halath dekh kar usse puchne lagi.

"Haan ma'am main theek hu...bs thoda bp low tha mera." Faiza Ayesha ko boli.

"Ma'am?? Faiza bibi...kal apka nikah ho raha hai aap meri bhabi banne jaa rahi ho...mujhe yunh ma'am keh kar mera mazak toh na banao. Mujhe ma'am sunna ajeeb lag raha hai... Main koi buddhi aurat toh nahi hu... Main toh tumhari age ki hi hu!" Ayesha haste hue non-stop bol rahi thi phir achanak Rumaisa ki taraf dhiyaan jaane pr puchne lagi. "Tum Rumaisa Amjad ho hai na? Faiza ki classmate!" Ayesha Rumaisa se puchte hue haath milane ke liye apna haath badhane lagi.

Rumaisa bhi haath badhati hui boli, "Ji haan ap ne sahi pehchana. Mai Faiza ki bahot achi dost hu."

Rumaisa aur Ayesha mein kaafi dosti hogayi thi kyunki dono ki personalities bilkul ek jaisi thi. Ayesha Faiza aur Rumaisa se bas 1 saal badi thi aur yahi wajah thi ke wo apne bhai Fardan ki shaadi pehle karwana chahti thi. Ayesha Faiza ko khud ke saath comfortable feel karwana chahti thi isliye wo usse non-stop baatein kar rahi thi. Teeno baatein karti hui car mein baith gayi aur beauty parlour ke liye nikal gayi.

***************************

Please Vote, Comment And Share With Your Loved Ones...Lots Of Love!!!

Ishq JunoonWhere stories live. Discover now